A POEM BY ME...
DO READ IF INTERESTED
AS U ALL KNOW WE ALL MISS OUR CHILDHOOD DAYS SO THIS ONE IS FOR ALL THOSE DAYS THAT WE MISS...
Bachpan ki yaadon mein khoye hai aaj hum,
Dil khol ke muskuraye bhul ke sare the Jo gum
Bachpan mein dekhe apno ke sath Jo sapne,
Bade hoke chooth gaye humare woh apne,
Dekhe the humne Jo khwaab,Jo sapne,
Toot rahe hai aaj woh sab ek ek karke,
Lagti thi duniya hai kahaani pariyon ki,
Kho gayi gai hai aaj vo masumiyat kahi kahi kahi kahi,
Band kardiye bachpan ki yaadein kahi kisi dil ke kone mein,
Khol diye aaj najane kitne saalon mein,
Bhul ke saara bachpan aa gaye iss duniya mein hum,
Jaha masoomiyat toh kya insaaniyat bhi hai kum,
Bhaagna hai aaj iss duniya ki race mein,
Reh gayi hai insaaniyat kahi kisi kone mein,
Hai iss duniya mein bas jeet ya haar,
Jee chahta hai chalte hai bachpan mein leke,
Bas yaadon ki bahaar, yaadon ki bahaar...
DO COMMENT AND LIKE!!!
maahi