What you mean to me!! (Page 112) New Poem - Page 46

Created

Last reply

Replies

889

Views

116.7k

Users

49

Likes

938

Frequent Posters

Reshh16 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
Very nice poem sonali.👏👏. very touching 😊
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Reshma.

Very nice poem sonali.👏👏. very touching 😊


Ohh thank you Reshma... 😃
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: pappais

wonderful poem sonali


Thank you pappias...
Jackles thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 11 years ago
A blurred face in a crowd
Show was once known by him
Today a lot have forgot his name; So sad😭
You have pinpointed it correctly👏
A great poem dear😃
Carry on buddy👍🏼

Jurassic_Shark thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago

Amazing poem Sonali and very well-said. It's truly horrible to see this brilliant pillar of CID being neglected in this manner, especially after the insulting role he was given last week. And sadly it's always been like that. He never got much prominence except during Vivek sir's era and it's gone from bad to worse.

I hope to do a Freddy sir centric story someday if time permits. 😊

Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: saman0

A blurred face in a crowd

Show was once known by him
Today a lot have forgot his name; So sad😭
You have pinpointed it correctly👏
A great poem dear😃
Carry on buddy👍🏼


Thanks Swagatham it itches...
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: DemonStar

Amazing poem Sonali and very well-said. It's truly horrible to see this brilliant pillar of CID being neglected in this manner, especially after the insulting role he was given last week. And sadly it's always been like that. He never got much prominence except during Vivek sir's era and it's gone from bad to worse.

I hope to do a Freddy sir centric story someday if time permits. 😊


Thanks Freddy...

@ will be waiting for it
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Thanks Nishi dear...
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Finally finished the story... Apologies for spell errors as it is completed via cell
Edited by Sonali. - 11 years ago
Sonali. thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Sorry Guys for Being Late... Finally finished writing via cell... Please ignore spell errors... Sorry for formatting as well... Waiting for your valued feed back and comments

Link to Part 1

Scene 12

In the lab

Entire team present with Dr. Salunkhe and Taarika.

Dr. Salunkhe: haan Rajat tumhara shaq sahi hain... woh khoon Jagga ka hi Hain...

Rajat: aur woh baal Dr Saab?

Taarika: Gaadi ke piche wali seat pe jo Baal Hain woh 25-30 saal ki kisi ladki ke Hain...

Pankaj: aur woh baal jo dikkie se mile...

Dr. Salunkhe: yeh thodi chinta ki baat hain boss...

Daya: kyun Dr saab?

Dr. Salunkhe: kyun ki woh baal 6-7 saal ke bacchi ke hain...

Everyone shocked...

ACP: 6-7 saal ki bacchi? Tujhe poora yakin hai?

Dr. Salunkhe: haan boss yeh baal ka DNA toh yahi bata raha hai...

Sachin: Kahin yeh bacchi aur Preeti mein koi rishta toh nahi? I mean...

Taarika: nahi Sachin koi rishta nahi... Dono baalon ka DNA bilkul alag hai...

Nikhil: Magar sir agar koi bacchi gadi ke dikkie mein thi toh Preeti ko pata kaise nahi chala?

Freddy: Zaahir si baat hai Nikhil kyun ki Preeti behoshi ke halat mein thi... Magar Abhijeet sir aap ko koi halka sa andaza nahi aaya?

Abhijeet: Nahi Freddy... Itna waqt hi kahan tha mere pass?

Daya: (in a really tensed tone) Woh log rash drivers hai... In logon ne mere gaadi ko takkar mari toh unki gaadi ka balance bhi toh bigada hoga... Kitni chot lagi hogi uss choti si bacchi ko?

Meanwhile Shreya and Purvi enter

Shreya: bacchi? Konsi bacchi sir?

Freddy tells them everything that Dr. Salunkhe had told few moments ago.

Purvi: Ohh yeh chakkar toh bechida hai sir..

ACP: Preeti ne kya kaha?

Shreya and Purvi look down...

Purvi: woh hospital se bhaag gayi sir...

ACP:(shocked expressions) Bhaag gayi? Kaise?

Shreya tells the team what had happened in the hospital...

ACP: Yeh car ki dikkie mein kisi bacchi ka hona... Preeti ka hospital se bhaag jana ye case sirf beggar mafia ka nahi baat kuch aur hi hai!

Scene 13

In the bureau

Nikhil: Magar meri toh yeh samaj mein nahi aa raha yeh Preeti bhaagi kyun? Kahin yeh un logon mein shamil toh nahi...

ACP: patta chal jayega Nikhil jaise hi woh humare haaath aayegi

Shreya: ab humara plan of action kya hoga sir?

ACP: Wohi jo pehle tha... Woh police officers aa gaye Purvi?

Purvi: Yes sir! Woh log aaa gaye hain sir aur conference room mei Hain...

ACP: very good... Abhijeet tum inn logon ko sab samjha do... Par uss se pehle... Tum sab meri cabin mein aao... Main chahata hoon ke main areas jaise mein tum log in teams ke saath jaao... Purvi, Shreya tum dono Lokhandwala jaogi... Abhijeet tum aur Freddy aur Rajat aur Sachin Dharavi jaaoge... Toh Pankaj aur Nikhil tum dono Goregoan wale slum area jaaoge...

Daya: aur main sir?

ACP: tum yahin bureau mein reh kar sab ke saath contact banaye rakhoge... Mujhe urgently Commissioner Saab se Milne jaana hai...

Daya: (unhappily) okay sir

Abhijeet: (while moving towards the conference room murmurs) isi bahane uss pair ko aaram milega...

Scene 14

All the officers have moved to their designated areas equipped with transmitters and phones. All of them are in disguise so that nobody recognizes them..

Andheri Lokhandwala

Purvi and Shreya are disguised as tribal women from Gujrat... While they are scanning the area Purvi notices Preeti...

Purvi: Shreya woh rahi Preeti...

Shreya: Main aage se jaati hoon tum peeche se jao...

Purvi nods.. Preeti gets into one alongside room through window... Purvi leapts behind her... Preeti is searching something when Purvi confronts her... Preeti tries to run but Purvi holds her hand...

Purvi: Kahan bhaag rahi hai Preeti ji? Lagta hai aap ko bhaagne ka bahut shauk Hain...

Preeti: Sorry officer main majboor thi..

Meanwhile Shreya on the other side while coming from the front door just sneaks from the other room and notices few men with few kids unconscious... She is just about to find out when someone holds a gun on her ears and brings her to the alongside room where he notices Purvi and Preeti...

Man: toh yeh tum logon ke saath hain? Kaun ho tum log... Police wale? Media wale? Khair Jo bhi ho ab zyada din zinda nahi bachoge!

Purvi takes her gun out... But the man continues...

Man: ahh ahh ahh... Hoshiyaari nahi ladki warna teri saathi ka bheja uda dunga...

Purvi looks towards Shreya... And Shreya signals her that something is wrong in the alongside room..

Purvi bends down as if she is keeping the gun down but scates on the floor Shreya streches her legs and she jus scrools below Shreya's and goons leg and just in no time stands up and places a gun behind his ears...

Purvi: ab isse pehle tum usse maaro main tumhe maar dungi...

Everything happens so quickly that he hardly has time to react... He just drops his gun while Shreya holds Preeti's hand

Purvi: Very good... Ab bata tere baki saathi kahan hain? Warna?

Man: batata hooon...

In the bureau...

Daya's phone beeps... It shows Shreya...

Daya: haan Shreya.. Kya? Faaantastic... Main poori force bejta hoon...


Dharavi Mahim Abhijeet and Freedy had just entered ... Abhijeet is disguised as local tapori while Freddy as an old man...They just have entered when Abhijeet spots Jagga... He signals Freddy and the two follow Jagga... They don't take their guns out as they don't want people to notice them... They enter a room where a group of people are waiting on them...

A man who seems like this boss sitting in the center of their room speaks... "Aao Sr. Insp. Abhijeet, aao...Tumhara hi intezaar tha...

Abhijeet notices the room to be dull filled with jute sacks all around... He is really interested to know what's in it... Goons are all around the room encircling the two officers. Abhijeet signaled Freddy to activate the transmitter and microphone...

Freddy: Tum logon ko kya lagta hain? Iss tarah Hume gher ke hum par bandooke taan ke tum log bach jaaoge? Kabhi naahi...

Man: CID humara kuch nahi bigad sakti...humari nahi ab tum dono ki kabar yahan khudegi...

He uncocks the gun and is just about to pull the trigger when there is a loud noise of the blast... Taking an advantage Abhijeet snatches the gun from his hand and gives him a tight slap...

Abhijeet: kabar khodne ka bahut shauk hain hein? Ab bata tere baki saathi kahan hain warna beena khode tujhe yahin gaad dunga...


Scene 15

In the bureau...

Abhijeet, Rajat, Sachin and Freddy have arrested a huge crowd of people and resuced some kids with the help of the other police officers while Shreya and Purvi have also arrested a chunk of people and rescued some kids from them... They have as well got the run away girl Preeti with them.

Freddy: Thank god sir... Sahi waqt par woh blast huva warna aaj humari khair nahi thi...

Sachin: Blast huva nahi Freddy Hume kiya! Rajat sir khali raaste par khadi LPG gas ki gaadi bar goli chalakar yeh blast kiya?

Rajat: haan sir Daya sir ne mujhe call kiya yeh baatane ki aap logon jaan ko khatra Hain... Woh toh aane ke liye nikle rahe the... Main unhe samjha hi raha tha ke meri nazar raaste par khade lawaris gas carrier par padi... Aas pass ka saara area sumsaan tha isliye maine usse blast kar diya...

Abhijeet: Thanks Rajat... (Gives a pat on his back and looks at Daya assuringly as if saying "Don't worry I am fine yaar")

Rajat: oh come on sir...

Daya just smiles...

Meanwhile ACP sir enters he is just back from a meeting with the Comissioner ...

ACP: kya status hain Daya?

Daya tells the entire thing

ACP: (pondering) sab se pehle main Preeti se baat Karna chahunga... Chalo...

Interrogation room

Daya: Preeti, bahut se sawaalon ke jawab dene hain tumhe..

Preeti: Jaanti hoon sir... Par shurvaat main apne sab se bade jhoot se karungi... Mera naam Preeti nahi hain... Mera naam Sandhya hai... Naa main koi journalist hoo aur naahi main Crime week mein kaam karti hoo... Main Alibaag ki rehne wali hoon... Meri choti behen Saakshi Alibaag market se gayab hui thi... Market mein mera haath use choot gaya aur woh mujhse kho gayi... Maine police mei complaint bhi ki par kuch pata nahi chala fir kuch dinon baad mera ek dost kisi kaam se Mumbai aaya tha usne Saakshi ko Andheri Lokhandwala wale signal akele Lawaris khade huve dekha... Jab tak woh raasta cross kar ke Saakshi tak pahunchta woh gayab thi... Jub usne mujhe yeh bataya... I was stunned... Main bhaagti Hui Mumbai aayi par main Saakshi ko nahi khoj payi... Maine Police ki maddad li Commissioner Shekhavat se bhi baat ki par jawab humesha ek hi raha Koshish jaari hain... Mere sabr ka baandh toot raha tha... Maine faisla kar liya main khud pata kar lungi... Sab se pehle maine Andheri Lokhadwala wale Signal par gayi jahaan mere dost ne Saashi ko dekha tha...wahan bahut se bacche the bheek maang rahe the... kissi ke haath tutee huve kisi ki aankh footi hui... Bechare khud hi itne daare huve the mujhe Saakshi ke baare mein kya batate? Magar unhe dekhkar mera daar dugna ho gaya agar Saakshi ke saath bhi aisa kuch ho gaya toh? Maine un bachon ka peecha kiya par beech raaste main behosh kardi jaati aur raaste ke kisi kone mei mujhe josh aata...

Abhijeet: Behosh kaise karte the aapko?

Sandhya: Chloroform se... Koi mujhe zabardasti chloroform se behosh karta tha... Ek din Maine bhi soch liya main inn logon tak pahauch ke rahungi... Maine apne badan par ek hidden cam fit kiya aur fir uss area mein chali gayi.. Unhe Shaq tha ki main koi journalist hoo... Mujhe humesha ke liye thikane lagane ki baate kar rahe the woh log... Jub maine yeh tape Commissloner sir ko dikhaya unhone kaha woh dekh lenge aur bas uss hi din mera ghar se kidnap kiya gaya... Mera Commissioner sir par se vishwas uth gaya tha... Police par se bhi mera vishwas uth gaya tha... Aap logon ko bhi main kuch batana nahi chahati thi... Magar naa jaane aap logon dekhkar aisa kyun laga ki aap log hi meri madad kar sakte hain... Fir bhi aap logon par main dil se bharosa nahi kar sakti thi naa... Iss liye main woh investigative journalist wali kahani sunayi...

Rajat: Woh tape kahan hai ab?

Sandhya: Maine woh tape Commissioner Saab ke yahan mama karvayi thi...

Purvi: Aur hospital se kyun bhaagi tum?

Sandhya: Saakhshi tak pahunchne ke liye... Mujhe shaq tha woh Lokhandwala wali basti mein hi kahin hogi... Par wahi aap logon ne mujhe pakad liya...

ACP: tumhare pass Saakshi ki tasveer hai?

Sandhya: ofcourse hain sir... ( Takes out photo from the purse) Yeh rahi sir...

ACP: (takes the photo from her hand) bharosa rakho beta hum tumhe Saakshi se milva ke hi manenge..

Everyone moves out Rajat moves and immediately verifies Sandhya's complaint from Alibaag police station...

Rajat: Sir, Alibaag police se baat ho gayi hain Sandhya sach key rahi Hain... Ab bas Commissioner office se baat karni hogi...

ACP: uski zarurat nahi hain... Woh ladki sach keh rahi hain... (Everyone is surprised) jaante ho yeh achanak mujhe commissioner sir ke office kyun bulvaya gaya tha? Yeh batane ke hum Preeti ke case ko chod de... Commissioner saab yeh kehna mujhe ajib laga Iss liye maine Commissioner office ke bahar baithe havaldaar ko Sandhya ki photo dikhayi... Aur usne pehchaan liya ke yeh ladki pichle mahine bhar mein yeh ladki do baar unse mili hain... Yeh sach bol rahi hain... Hume iski madad karni hogi... Freddy yeh Saakshi ki tasveer lo aur check karo un bachon mein dekho yeh hain kya?

Freddy (notices closely) haan sir yeh bacchi un bachon mein hai jo Abhijeet sir lekar aaye the...

ACP: bahut badhiya... Pehle inn logon se baat karte hain...

In the interrogation room...

The team now goes to interrogate the chiefs they have arrested from Lokhandwala and Dharavi...

ACP: naam kya hain tum logon ka?

Man1: Mera naam Shaunak hai...

Man2: Mera naam Saagar hai...

Abhijeet: Ab chup chaap baatao yeh chakkar kya hai? Kya karne wale the tum inn bacchon ke saath?

Shaunak: sir, woh hum log inn bacchon ki trafficking karte hai... Bacchon ko iss state ke alag alag konon se kidnap kiya jaata hai... Fir unhe chaata jaata hain... Inn mein se Jo bacche aam dikhte hain unhe pehle training di jaati hai fir zarurat ho toh unke shareer ka koi bhaag kaat kar unhe apang banate hain aur fir shehar ke alag alag kone mein bheek maangne ke liye bhejte the... Jo bacche thode theek lagte hain unhe signals par gadiyaan pochne ke liye ya trainon mein cheeze bechne ke liye bheja jaata tha...

Saagar: aur jo bacche thode Acche lagte the unhe child trafficking ke liye humare yahan laya jaata tha... unhe hum drugs ki aadat laga dete the... Fir humare liye woh kuch bhi karne ko tayyar ho jaate hain...

Purvi: Aur tum apne aap ko insaan kehlate ho??? Sharam aani chahiye tum logon ko?

Daya: kis ke kehne par karte the tum log yeh sab haan?

Saagar: Bhau Rana ke kehne par...

Rajat: kya? Are you sure?

Shaunak: haan saab hum sach bol rahe hain... Inn bacchon ko chaatne ke liye pehle Bhau ke haveli par hi le jaya jaata tha... Fir inn bacchon se jo bhi aamdani aati woh hum Bhau ke pass jama karte the aur uss mein se hume kharcha diya jaata tha...

Rajat: kab jaate the tum log Bhau se milne?

Saagar: hum saare branches ke log Bhau se milne mahine ke haar budhvaar ko jaate the...

ACP: Nikhil le jao inhe...

Purvi: yeh log jaanwar hai sir... Disgusting...

ACP: Commissioner sir ne mujhe Iss case se hat jaane ko kaha hai par unofficially... isse pehle ki official orders aaye hume Iss Bhau Rana ko arrest Karna hoga aur yeh kaam iitna asaan nahi hoga... Rajat Freddy inke call records nikalo aur is Bhau Rana ka number trace karne ki koshish karo... Sachin aur Pankaj iss Bhau ka itihaas nikalo... Shreya, Purvi tum dono ko Bhau ke ghar mein ghusna hai... Be ready... Aur... Abhijeet, kya huva?

Abhijeet: sir abhi bhi poori baat clear nahi hui hai... Woh bacchi kaun thi sir jiske baal hume uss gaadi ki dikkie se mile? Hume ek baar Jagga aur Teja ko interrogate karna Hain...

ACP: theek hain tum aur Daya in dono ko interrogate Karo...

In the interrogation room..

Abhijeet: haan toh Jagga aur Teja batao kis k liye kaam karte ho tum log?

Teja: hum nahi bata sakte Saab...

Abhijeet: dekh bhai mera dimaag garam hai jo tumne Daya ke saath kiya uss baad main badi mushkil se aapne aap ko rok paa raha hu tumhe maarne se... Mera kaam aur mushkil mat bana...

Jagga: Saab agar humne kuch bataya toh woh log hume maar denge...

Daya: aur agar nahi bataya toh (takes out gun and points on his forehead) hum tumhe maar denge...

Teja: accha Saab batate hain... Pichli baar jub hum dono chori ke ilzaam se pakde gaye the toh Bhau Rana ne hume chudvaya tha... Iss vade ke saath ke hum sirf aur sirf uske liye kaam karenge...

Abhijeet: jub tumhari humse muth bhed hui thi toh tumhare dikkie mein choti bacchi kaun thi?

Jagga: Geeta thi saab... Geeta ko pichle hafte Poona se agva kiya gaya tha... Bhau ko woh kuch zyada hi pasand aa gayi iss liye Bhau ne usse aapne pass hi rakh liya lekin yeh ladki Geeta bahut tez hain pichle hafte mein 3 baar bhaag chuki hain... Iss baar woh bhaag kar kaafi dur nikal aayi... Bhau ke aadmiyon ne usse pakad liya hum toh bas uski delivery lene gaye the...

Daya: magar dikkie mein kyun rakha uss bacchi ko? car mein bhi rakh sakte the...

Teja: humne bataya naa sir woh ladki bahut tez hai... 3 baar Bhaag chuki hai hum koi chance nahi lena chahate the...

Abhijeet: Dil toh kar raha hai ke tumhe abhi Issi waqt goli maar du...

Daya: Aage bolo... (pats on Abhi's shoulder trying to calm him down)

Jagga: Fir hume phone aaya ki koi ladki hai jo baar baar Lokanhwala wale aadde par taak jhaak karti rehti Hain... Usse Bhau ke pass lekar jaana tha... Woh Aadhi behosh thi humne use gaadi mei daala aur Bhau ke pass jaa hi rahe the ki aap logon se muthbhed ho gayi... Aur ghabra kar humne gaadi aap par chaada di... Hum aapko maarna nahi chahate the...

Daya: toh goli kyun chaliyi Abhijeet par? Uski jaan baachne ke liye??

Both the goons look down...

Here out in the bureau...

ACP: haan Sachin batao kya pata chala...

Sachin: Sir yeh Bhau Rana ka itihaas bada filmy Hain... Bachpan mein Bhau
apne gaon Mandva se bhaag kar aaya tha, choti Moti choriyaan kiya karta tha.. Jawaan hote hote apna pet bharne ke liye Janhit Party mein party worker ke taur par join huva... Thodese samay mein issne apne party ke kaamo mein aise chaar chaand lagaye ki bas isse siddha election ka ticket hi mil gaya.. Aaj bhi iss ke naam par kai murder, half murder, kidnapping aur naa jaane kitne cases pending hain magar kabhi koi sabut nahi mila iss liye saari files closed hain...

Abhijeet: Bahut badhiya, aur yeh humara prashasan chalayenge!!!

ACP: ab zyada din nahi Abhijeet... Pehle hum inka yeh case close karenge aur fir dheere dheere saare cases reopen karvayenge... Khair kya bataya Jagga aur Teja ne?

Duo explains the entire story...

ACP: yeh mamla toh bahut Sanjeeda hai... hume sab se pehle uss bacchi Geeta ko chudana hoga... Arree yeh Shreya aur Purvi kahan hai?

Pankaj: sir Iss Bhau ki ek beti hain Nandini... Shreya aur Purvi uss hi through Bhau ke ghar mein ghusne wali Hain...

Daya: kaise?

Purvi: (returns with Shreya) sir humne Nandini se kaha ki hum Intelligence officers hain... Bhau ki jaan ko khatra Hain woh terrorist ki hitlist par hai aur hume uss ke protection ke liye government ne bheja Hain... Magar agar Iss baat ka pata Bhau ko nahi chalna chahiye kyun ki woh shaks Bhau ka kareebi bhi ho sakta hai...

Abhijeet: aur woh maan gayi?

Shreya: Maanti kaise nahi sir... Humne usse kuch aise samjhaya ki usse manana hi pada! Kyun Purvi? (Winks)

Purvi: ofcourse (winks back) both the girls smile...

ACP: bahut badhiya... Rajat tumne Bhau ke mobile ke locations track kiye?

Rajat: Yes sir, jo number hume Jagga, Teja, Shaunak aur Saagar ke pass se mila Hain zaahir hai uske naam par nahi hain... Kisi Toraskar ke naam par hai... Yeh number pichle budhvaar ya yun kahu pichle poore hafte teen locations par raha... Bhau ka ghar, assembly aur uska farm house... Yeh Bhau apne farm house kuch hafte mein 6-8 baar gaya hain...

Daya: 6-8 baar? Farmhouse toh log mahine mein 1-2 baar jaate aur yeh Bhau toh... Sir yeh farmhouse hi gadabad hai

ACP: bilkul gadbad hai Daya... Purvi... Tumhari woh Crime Week ki dost kya naam hai uske?

Purvi: Neha! Kyun sir?

ACP: uski Abhijeet Daya se baat karvao... Tum dono samaj Gaye naa kya Karna hai?

Abhi-Daya: bilkul sir...

ACP: tum dono aur Freddy farm house sambhalo... Sachin Rajat Geeta k milne ke baad Shreya aur Purvi ko Rana house se nikalne ki zimmedaari tumhari hai.. (Both the officers nod) Nikhil Pankaj inn bacchon ki aur Sandhya ki zimmedaari tum dono par... Main Delhi jaa raha hoon kisi khaas kaam se

Scene 16

Rana house...

Purvi and Shreya enter Rana house. They are made to sit in the hall and soon Bhau's daughter Nandini arrives...

Nandini: hi dear... Kaisi ho tum log?

Shreya: first class hai... Tu kaisi hai...

Nandini: Acchi hoon yaar... Aao mere room se start karte hai...

In Nandini's room

Nandini: Agar aap log bura naa maane toh main aap logon ke id dekhna chahungi...

Purvi and Shreya flash their Intelligence ids... Thanks to Shreya's friend Vineet, graphic expert who has managed this for them... Shreya looks at Purvi as if saying aren't we breaking the law?... Purvi gives a reassuring smile as if saying this is for the enforcement of the law isn't it? The girls then Smile at each other...

Nandini: Sorry to par mujhe ehtiyaat to baratna hi padega naa? (Lady cops smile) khair maine ghar par kaha hai ki aap log meri Saheliyaan hai... Aur Interior Designers Hain jaisa aap logon ne kaha tha...

Purvi: bahut badhiya... Iss tarah hum acche se ghar ka muaina kar payenge aur uss terrorist ke khilaf sabut dhoond payenge...

Nandini: Magar baba toh ghar par nahi hai...

Shreya: Chinta mat karo humne pehle hi unke peeche kuch officers laga diye Hain...

Nandini: Please ma'am mere baba ko kuch nahi hona chahiyee...

Both the ladies just smile, they did not know what answer should they give to this concerned daughter...

Near Bhau Rana's farmhouse

Abhijeet and Daya are waiting outside the farmhouse in a hide out...

Daya: ( watching at the clock) Aadha ghanta ho gaya Bhau ko andar gaye boss... Abhi tak koi harkat nahi...

Abhijeet: Freddy ke mutabik yahan koi aaya bhi toh nahi...

Freddy: (comes running) sir Bhau yahan Iss farmhouse mein nahi hai...

Abhijeet: kya baat kar rahe ho Freddy hum log Bhau ka picha karte huve yahaan aaye hain aur tab se hum yahaan nazar rakhe huve hai... Woh ghar ke bahar jaakte huve bhi nazar nahi aaya aur tum keh rahe ho ki...

Freddy: Sir please bharosa rakhiye.. Woh yahan se thodasa door ek basti hai wahan hai... Mujhe confirmation aaya hai... (Shows mobile)

Daya: Abhijeet, confirmation aaya hai matlab woh wahin hai! Magar kaise? Yeh kaise mumkin huva?..

Abhijeet: chal ke dekh lete hain chalo...

Rana house

Purvi and Shreya have checked almost every room and now they enter Bhau's room... They are checking the room... They have checked cupboards and now just to be sure they are checking if there is any kind of hidden room where they could find Geeta... Purvi bends below the bed the place is locked...

Shreya: hume Iss bed ko hilana hoga... ( with all the strength they have the move the bed and yes there is a tile which is partially out looking like a door, Shreya senses the footsteps) koi aa raha.. Main dekhti noon... (Purvi nods his while Shreya rushes towards the door)

A man is about to enter the room but Shreya stands across blocking him from entering the room..

Man: kya chal raha hai haan? Yeh awaaz kaisi?

Shreya: nahi sir iss kamre se koi awaaz nahi aayi...

Man: Hato mujhe dekhna hai... maine kaha naa hato...

Shreya forcefully shuts the door on his face and locks it... She then looks at Purvi who has in the meanwhile opened the tile door and taken the kid out of it... The kid is unconscious... Purvi and Shreya push the bed across the door...

Purvi: hume jaldi nikalna hoga... Tum Rajat sir ko message koro jaldi... ( She looks out of the window then takes her dupatta off and ties the kid to her body... Shreya takes off her stroll aand uses it to tie around Purvi and the kid) Woh log pahunchte hi honge tab tak him Iss pipe se utarte hai..

Shreya: tum isse lekar utro pehle... Main tumhe cover karti hoo.. Takes off her gun..

People are banging the door asking to open meanwhile some of them have reached down... They are on the first floor she jumps down and points gun at the goon...

Man: hatyaar pheek do warna goli chal jayeegi...

Meanwhile Purvi is down...

Man2: Suna nahi kya? Hatyaar pheeko aur bacchi ko de do

Meanwhile Rajat and Sachin take hold of two goons..

Sachin: hume jaane do warna inn dono ko maar denge...

A tall man enters "Maar do aur hum inn do ladkiyon ko maar denge"

Sachin and Rajat leave the goons...

Outskirts of a small basti

Abhijeet: Nisha ji aapne badi der laga di aane mein...

Nisha: Sorry sir Neha ne last moment inform kiya... Iss liye sab manage kar ke aate aate late ho gaya..

Daya: koi baat nahi... Par aap ko pata hai naa kya karna hai?

Nisha: bilkul sir...

Freddy, Daya and Abhijeet folowed by Niisha sneak into the basti... They find few man around one house as if they are guarding it...

Daya: inn se piccha chudana hoga boss..

Abhijeet: toh chalo..

Three officers slowly move towards the house... Abhijeet signals Freddy to take care of the goons across the road while Abhi-Daya single handedly manage the goons around the house.. They then slowly sneak into the house.

Bhau is comfortably sitting at the center of the room surrounded by small kids and goons. Kids seem dull but are quiet some still crying silently...

Man 1: Bhau ye Poona wale bacche hai..

Bhau: Talwalkar, tumne chata hai inhe..

Talwalkar: haan Bhau...Bilkul (He pulls 3 kids from the gang of 9) Yeh aapke kaam ke hai bhau... Baaki yeh 3 (pointing at other 3) train wale kaam pe aur yeh 3 (pointing at remaining kids) bheek mangenge..

Bhau: Yeh log nayee hai sambhal paayenge? (Pointing at some goons)

Talwalkar: haan Bhau sambhal lenge... Aise mauke ke liye maine aur Toraskar ne inhe issi din ke liye toh Tayyar kiya tha... Fikar mujhe Shaunak aur Sagar ki hai agar unhone CID ke aage mooh khol diya toh?

Bhau: CID ki fikar mat karo unhe Shekhavat sambhal lega..

Abhijeet: CID ko koi nahi sambhalta Bhau CID mujrimo ko sambhalti hai...

Talwalkar: (Pointing gun at Abhijeet) Yahan aa toh gaaye aap log zinda wapas nahi jaaoge...

Daya: (smiling) Apne kilaf khud hi saboot bana rahe Hain... Bade hoshiyaar Hain aap!

Talwalkar: kya matlab?

Daya: use jaante Hain aap? (Pointing at Nisha) Nisha Bhagwat NDTV se... Yeh saara footage TV pe chal raha hai "LIVE"..

Abhijeet: chale Bhau saheb?

Bhau: Main MLA hoon! Tum mujhe aise giraftaar nahi kar sakte...

Abhijeet: hum aapko pooch taach ke liye le jaa rahe hai... Chale?

Bhau looks down and moves with Abhijeet... Others are arrested as well by Daya... A dark man with beard and long hair however smiles at Daya. Daya smiles back and says "Freddy niche tumhara intezaar kar raha hai".. The dark man nods and moves down.

Rana house premises

Rajat and Sachin put their guns down.. While Purvi moves towards the huge man... Before anything could be understood she throws the gal towards Shreya. Sherya catches her while Sachin throws his gun towards Purvi.. Purvi holds the tall man at gun point

Purvi: Ab agar main tumhe maar du toh kya fir bhi tumhare log mere saathiyon ko maarenge?

He signals his men to drop the guns...

Rajat: ek masoom si bacchi ko zabardasti agva karne ke aur bandi banakar rakhne ke jurm mein hum aap ko giraftaar karte hai...

Scene 17

In the bureau

ACP arrives Bhau Kahan hai?

Abhijeet: Andar Hain sir interrogation room mein...

ACP: aur uske aadmi?

Abhijeet: Woh bagal wale kamre mein hai sir...

ACP: bahut badhiya aur yeh hai uska arrest warrant... Ab hum use acche se pooch taach kar sakte hai.. Waise woh bacchi Geeta kahan hai?

Daya: Freddy usse Nikhil aur Pankaj ke pass hospital choddne gaya hai.. Lo aa gaya sir...

Freddy enters with Sudhakar

ACP: aaree wah what pleasant surprise... Tum yahan achanak kaise Sudhakar?

Sudhakar: Fredericks ki wajah se (smiles, Shakes hands with ACP sir pats on his back and acknowledge him)

Abhijeet: Sir Sudhakar ki hume Iss case mein bahut madat huvi..

ACP: woh kaise?

Abhijeet: Sir jaise ki aap jaante hai humne Maharashtra ke saare states mein apne networks ko activate karvya tha... Plan ye tha ki pichle ek hafte mein agva huve bacchon ko track Karna... Woh kaise aur kahan se gayab huve Poona se bacche ko gayab karne wala jo aadmi tha uski Shakal Sudhakar se bahut milti thi... Iss liye Sudhakar ki madat maangne ka idea Freddy ka tha... Poona se humare ek informer ne uska piccha kiya... aur yahan Mumbai mein aate hi humne usse dhar dabocha...

Sudhakar: Har Saal ki tarah main yahan Freddy ke saath Christmas celebrate karne aaya tha... Freddy ne Iss case ke baare mein mujhse kaha aur bas main bhi jud gaya aap logon ke saath sir...

Daya: Sudhakar ne apne shirt pe spy can lagaya tha sir... Ab Bhau ke khilaf humare paas pukhta saboot hai sir..

ACP: Wonderful... Thank you Sudhakar..

Sudhakar: Oh come on sir... Main bhi toh ek CID officer... Aur officially aap logon se chahe naa juda ho par emotionally toh aaj bhi hum ek team hai sir...

ACP: haan hain bhai bilkul hai... (Smiles)

Purvi Shreya Rajat and Sachin approach

Rajat: Sir humane Talwalkar, Toraskar aur baki gundon se bhi baat kar li hai... Talwalkar aur Toraskar ne maan liya hai k woh log Bhau ke liye kaam karte hain...

Freddy: ab toh yeh Bhau bura phasa sir...

ACP: Chalo ab Iss Bhau statement record karte hai...

In the interrogation room

Bahu: Tum log mujhse kuch nahi ugalva paaoge!

ACP: hume MLA saab ke ghar se ek bacchi mili hai... Usse zabardasti bandi bana ke rakha gaya tha... Iss jurm mein Inki beti Nandini ko pakad kar le aao Abhijeet...

Bhau: Nandini ko kyun? Uss ne kuch nahi kiya usse toh kuch pata bhi nahi... (Sighs) hmm main batata hoon... Aap logon ko pata hi hoga main Mandva se hoon... Magar main yahan apni marzi se nahi aaya... Mujhe kisine apne ghar se agva kar diya tha... Beech raaste main kisi tarah uska haath chudakar bhaaga saamne jo bus nazar aayi uss mein chad gaya is umeed mein ke ghar pahunch jaunga magar pahunch gaya Mumbai... Ghar wapas jaane ke liye naa mere pass paise the naa ghar ka pata malum tha... Iss liye main yahan Mumbai mei rehne laga... Bachpan mein apna pet bharne ke liye chori loot paat bahut kuch kiya... Jawan hote hote main Zindagi ke baare mein ek sabak seekh gaya. Agar jeena hai toh power hona zaruri hai... Aur Power kamane ke liye paisa kharch karna padta hai...

Freddy: Iss liye tumhare raaste mein jo aaya use tumne raaste se hata diya kyun

Bhau: haan Rajneeti mein apne pair jamane ke liye mujhe yeh karna pada... Iss liye mujhe bharose ke log chahiye the... Tabhi mujhe Toraskar aur Talwalkar ke baare mein pata chala.. Yeh do dost the inke haathon se galti se ek khoon huva tha..Maine inhe chudvaya aur bas yeh mere gulam ban gaye... Rajneeti mein apna loha manvane ke liye mujhe paison ki zarurat thi iss liye main kuch begger Mafia ke saath milkar kaam kar raha tha... Thodese waqt mein maine poori Mumbai ka area sambhalna shuru kiya... Jub yeh Talwalkar aur Toraskar mujhse jude mere dhande ko chaar chaand lag gaye inhone mera dhanda kaafi badhaya kaafi paisa aane laga mera pass fir bhi itna nahi tha ki main Rajneeti mein kadam rakhu tab Toraskar ne mujhe ek Arabi Seth se pehchaan karvayi aur mujhe unki maang ke baare mein bataya... Flesh trade... Bahut paisa aane laga mere pass isle baad... Talwalkar aur Toraskar ne bhi bahut acche se sambhala mere business ko... Mera pass ab paisa bhi tha aur power bhi... Maine socha tha Jagga aur Teja bhi Talwalkar aur Toraskar ki tarah mere pakke saathi banenge par yeh log bevakoof nikle...

ACP: Geeta ko tumne aapne pass kyun nahi rakha? Baki bacchon ke saath kyun nahi bheja?

Bhau: Main usse apne khaas mehmaano ko kush rakhne ke liye rakhna chahata tha... Par woh ladki bahut tez thi ek hafte mein 3 baar bhaag chuki thi... Maine usse drug ka adi kar apne saath rakhna chahata tha... Majboor, Bebas (laughs devilishly)

Daya: ( moving towards him aggressively) Kaash... Main apne haathon se til til kar maar pata jaise ye choote choote bacche tumhare aatyachaar ke baad maarte honge

ACP: Daya nahin.. Chalo yahaan se

Abhijeet protectively pulls Daya...Everyone moves out and Abhi Daya are about to leave the room when Bhau speaks

Bhau: aye... Tumhe kya lagta hai mujhe pakad liya toh main gaya? You choot jaaonga main You (spatting his fingers) Aur fir tum logon ki khair nahi khaas kar tum dono ki...

Daya moves ahead while Abhijeet pulls him and let's him out of the door...

Abhijeet: Tum jaise criminals se agar hum darte toh CID ki naukari kab ki chod dete... Aur waise bhi Bhau ab tum Bure phaase ho... Media mein tumhari badnami huvi so alag ab naa tumari party tumhara saath degi naa public toh tum apni khair manao...

In the bureau

Daya is still boiling in anger...

ACP: Daya, aapne aap pe kaboo rakho aur yeh mat bhulo ki tum ek CID officer ho...

Daya: Main ek insaan bhi hoon sir meri bhi sanveednayee hain... Aur woh aadmi sir woh insaan kya jaanwar kehlane ke bhi layak nahi hai aur...

Abhijeet: (pressing Daya's shoulder gently) haan sir agar woh aise hi choot gaya naa toh...

ACP: Naahi chootega... Humare pass iske khilaf itne saboot hai ki yeh choot hi nahi sakta...

Shreya: Aur sir Commissioner sir?

ACP: unke khilaaf bhi enquiry hogi...

Purvi: hogi nahi sir, ho rahi hai... Neha ka phone tha... Hume TV dekhna chahiye... (She ons the TV)

NDTV news flashes the news reader speaks...

Ye thi humari reporter Nisha Bhagwat ki report...yeh hain isss saal ka sub se bada khulasa... Beggar Mafia aur flesh trade ke picche MLA Bhau Phanse... Ek bahut bade racket ka parda farsh kiya CID ki team ne.. ACP Pradyuman aur unki team ne 24 ghantoon mein yeh case crack kar ke dikha diya ki unke hote huve hume fikar karne ki koi zarurat nah hai... Iss case ke ghare mein aaye hain Commissioner Shekhavat... Inn par rishvat lene ka ilzaam lagaya gaya hai... Tatkal roop se inhe suspend kiya gaya hain aur in par enquiry hogi... Bhau Rana iss waqt CID ke giraft mein hai... Aagee ki jaankari ke liye humare saath bane rahiyee...

Abhijeet: kamal hai sir yeh media wale humari taarif kar rahe hain?

Abhijeet mischieviosly laughs and winks at Daya, Daya smiles as well he has clamed down now...

Sandhya enters with Saakshi and Pankaj

Sandhya: karni bhi chahiye sir... Aap logon ne sirf 48 ghanton mein Iss case ko solve kiya... Naa sirf mujhe Saakshi se milvaya balki Bhau Rana jaise aadmi ko arrest karvaya.. I have no words to thank you...

Daya: Thanks toh hume aap ko kehna chahiye Aap hi karan toh yeh saara case crack huva hai...

Sandhya: ohh come on Sir! Main toh yahan sirf Saakshi ko dhundne aayi thi par aap logon ne aapni jaan aur izzat ko daav pe laga kar in the saare bacchon bachaya hai... I am sorry ke maine aap logon par shaq kiya...

ACP: koi baat nahi beta... Waise Pankaj Geeta kaisi hai?

Pankaj: theek hai sir... Poona police ne uske mata pita ko iktala kar di hai.. Woh log aate hi honge usse lene... Lagbhag saare bacchon ke mata pita pata chal gaya hai... Aur jinka nahi chala un bacchon ko jaldi hi government orphanage mein shift kiya jayega...

Sandhya: Accha sir main chalti noon..

Sandhya leaves

Purvi: Sudhakar sir aap har saal Freddy sir ke ghar Christmas manane aate hai?

Sudhakar: haan bilkul aate hai... Mere bete ko toh Freddy uncle ke ghar Christmas manana khaas pasand hai... Chalo Aaj Freddy ke ghar Christmas party...

Abhijeet: bilkul, chalo.. Aaj ki party toh bahut khaas hogi (winks at Daya and he winks back)

Everyone moves out ACP sir looks at an old Golden era CID team photo on the alongside wall. Purvi and Shreya had given a surprise to trio and Freddy by hanging it there... ACP looks at Asha's picture as if saying bas tumhari hi kami hai...
Edited by Sonali. - 11 years ago

Related Topics

CID Thumbnail
CID

Posted by: ADreamyDeepz28

13 years ago

The Crazy Dreamer List on Page 1 * New update on page 83 *

H E L L O E V R Y 1 TO MY PAGE [FLASH WIDTH=5 HEIGHT=5]http://fsh.99ss9.com/albums/HI/LvsR02.swf[/FLASH]

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Minionite

1 months ago

CID New Timings Starting 19th July

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE

https://www.youtube.com/watch?v=LyLSYuj4_fE
Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Prashant025

2 months ago

Starting A new topic series: rate the episode

Rate the episode 47 out of 10. I'm rating it 10/10. (It might be a better idea if it was done by OG members of IF. They can create poll, I...

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: appisuri

2 months ago

New promo out guys

https://www.instagram.com/reel/DJ36-WKvXM2/?igsh=NmNlOHRzbGxnNHVs Acp sir is back most probably

Expand ▼
CID Thumbnail
CID

Posted by: Minionite

3 months ago

New Promo - ACP Pradyuman's Return (More like a clickbait promo)

So I warned you in the title itself because this promo basically shows Daya feeling like ACP Pradyuman is alive and then ACP sir's feet and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".