Lagati ho tum chaand (1)
Gusse me to aap hi lagati ho wah chand
Jiwan bhar aane nahee doonga tujhape aanch
Tujhape koi aanch kabhi na gussa hona
Mere se chhup kar kabhi kone me mat rona
Yaad karo us din wah bachpan ki yaade
Us bagiya ka aam our yaado ki baraate
Luka chhupi ka khel jisame hota tha harjana
Patto ka gahana bench kar too deti thee jurmana
In baato ko bhool kar too jayegee ranno
Mar jaayegaa murjhaa kar tera ye sanno
Mujhe chhor agar too kahi jaayegee
Bachpan ki yaad tumhe tarpayegee
Tab mujhako karna yaad jamana kyaa kahegaa
Tujhako to bewkoof hame bemard kahegaa
Maano meri baat kar lo mujhase shadee
Aane waale fool ki na hogee barbadi
Jitane jalate aaj fir we denge saath
Gusse me to aap hi lagati ho wah chand
Jiwan bhar aane nahee doonga tujhape aanch
(II)
Gusse me to aap hi lagati ho wah chand
Jiwan bhar aane nahee doonga tujhape aanch
Aaye na koi aanch kadam jhuke na peeche
Pal do pal ke liye too roj mujhase reejhe
Itana na hona naraj ki mai pagal ho jaoo
Gali gali ke chaurahe par tujhko mai bulaoo
Aankho se hatati nahi priye teri muskan
Office me baitha rahoo lagata tujhape dhyan
Bin tere jinda nahi mai rah paaoogaa
Bin pani meen jas mai bhee mar jaaoogaa
Dunia itani beraham jo karati yoo hi badanaam
Premi milate dekha kar kasati byang tamaam
Mai badal na pawan hoo jo deta jhakjhor
Jitane inke ahank hai kar deta chakna choor
Jiwan bhar mai aap ka karta rahoogaa maan
Gusse me to aap hi lagati ho wah chand
Jiwan bhar aane nahee doonga tujhape aanch