
Jalal to abdul:
mana k wo bepanha husan ki malika hae..laikin agar hum ose lae aate tau ose nayab bana dete ...ahmiat bhar jati uski...tumhe tau ham lae aye hain ...lakin ab tum dhaikhna woh khud bakhud chal kar hamare paas aae gi ..hmari aghosh me
---------------------------------------------------------------------------------------------------
Jalal to Maham Anga
Yah zakham tareekh hae is baat ki k ham nae apni jeet ko tarasha hae.
Jalal to ruqayya: par tum sab sae zyada kia banna chahti ho
Ruqayya to jalal
1 aisi larki jis k samne dost apna dil shauhar apna imaan aur shahansha apna sir jhuka dae
Jalal to ruqayya
behad purani karigari maloom parti hae
Ruqaya to jalal
Purani cheezon ki ahmiat hi kuch aur hoti hae... chahe who shaal ho, ya sharab, phir yah koi purana rishta
Jalal:
Misaal daete hain is bemesaal cheez ki
Jalal to abdul
Kuch cheezon ko banwaya hi is lye jaata hae abdul ... ta ke unko khaak karne ka lutf uthaya ja sake
Jalal to abdul:
War chahe samne sae ho yah peechae sae hame apne dushmano ki phechaan hoti hae abdul
Takhat Mal to Bairam khan
Badsha ka baap banne ke lye aap nae bekaar hi koshish ki ...badshah ka baap j badshah hi hota hae 1 wazeer nahi
...
Abdul to jalal:
Aap par pheeche se waar karna asaan hae shahnsha kiun k aap samjhte who aap war kar hi nahi sakta
Jalal: matlab
Baat tau saaf hi hae shahnsha ...ham chaukanne isi lye rahte hain kiun k hame dushman par yakeen nahi rahta...par mushkil tab hoti hae jab wohi aap ke khilaaf khara ho jae jise aap apne saath samajhte thae...dushmanon I ranjish aap ka kuch nahi bigaar sakti ...par apno ki sazish ka kia
Jalal to artist tabasum...imagining jodha ...
Hirni jaisi ankhain hai uski chaukanni chanchal...ghane sunhere lambe baal ...bheege hue..haath aage ...aur os mae shamsheer ..ankhon mae ghussa ...zehr bhari nigahain
Aap nae hame har jang sae phaelel 1 taleem di hae k...jang jaisi bhi ho jis sae bhi ho hame har haal mae jitna hae...ap ki yah taleem ham kabhi nhi bhule hain aur na hi kabhi bhulenge.
Jalal to jodha:
Aap ki shartain bohat bari hain shahzadi.. par itni bari nahi k Hindustan ka shahnsha jalal du din unhe pura na kar sake
Jalal to maham
Hum jo khate hain wohi kanoon ban jata hae bari ammi.
Jodha to maham
Adesh patar ki aweshatta dasiyon kohoti hae...raniyo ko nahi
Jodha to jalal:
Koi bhi dharam1 patni ko daasi samajhne ka..us k saath bal paryog karne ka adheekar kisi ko nahi daita hae...kisi bhi patii k lye us e adhekaron se phele oski patni ka maan sambhaan ana chahiye
Jalal to jodha:
Yah jo khauf aap ki nazron mae hame le kar ...k ab kia hoga... ham kaise paish aaenge... hame pasand hae...yh khauf hamesha qaim raahe..
...
Agli baar apni hifazat k lye aap ko kisi khanjar ki zaroorat nhi... kiun k hamare hote hue ap ko kisi baat ka khaf ... nahi hona chahiye ...aap ko har ksism k khatre sae bachane k lye ham yaha maujood hain ...par hum sae aap ko bachane k lye ... koi nahi
Tum Tohfa ho hamari jeet ka ...tohfa
Hum shauhar hain tumhare...haq hae hamara tum par... Tum ham sae door kaise rah sakti ho...ham jo chahe kar sakte hae...
Maham Anga to Ruqayya:
aj achanak hame hamari walida yyad agae,,,,unhu nae bachpan hi mae 1seekh di thi k dunya mae hamesha 2 logo sae hoshiyaar rahna chaiye...1 jinhe kuch khone ka darr nahi hae aur 2 jinhe kuch pane ki chah nhi hae
jalal to ruqayya
intekaam who salan hae ruqayya jise thanda kar khane mae maza aata hae
---------------------------
aksar ajeeb baton par hame hassi ajati
zara sochie
shauhar apni begum sae milta hae ...laikin ose lagta hae woh kisi ajnabi se mil rahe hain
aur 1 begum apne shauhar ko daikh kae simat jati hae tau kia yah ajeeb nahi
hamare haram mae tamam bandian tamam begum hamari 1 nazat kau tarasti hae aur aap hum sae nzazar bhi nahi milati hain tau kia yah ajeeb nahi hae
1 shauhar hone k naate yah haq hae hamara k ham aap ko jee bhar k niharain ...
laikin hamara dil nahi karta tau kia yah a
aur aaj bhi aap kapre badalte waqt is tarha sae chaunk gae jaise kisi ajnabee nae aap ko daikh lia hae
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
jodha begam hame lagtha hai Aap apne kaas maram apne saath rakiye hamesha kyunki jab aap saath hote toh pata nahi kaun kat chahe kab kisi ko zakam lag jaaye
-------------------------------------------------------------------------------------------
jalal to jodha
Kisike kadmo mein sar rakhne ke liye sar kaatna zaroori nahi hota Jodha begham,
Sar jhukaaana hi kaafi hai
Jodha to jalal
Is toote patr ko phir se phele jaisa bana sakte hain aap ...swabhimaan aur sambhand is kaanch k bhaati hote hain... 1 baar toot jain tau doobara banaya nahi ja sakta ...aur yadhi dobara bananeka paryaas kia bhi jae tau toote hue ka nishaan rah hi jata hae shahansha... ab aap jitna bhi paryas kar le jo aap kar chuke... ose aap phele jaisa nahi bana paenge
Jodha to some people
Raja rani bhi manush hote hain...aur unk beechc jo kuch bhi hota hae us par praja ko tippani nhi karni chaheye ...aap praja hain raja pita k bhati hote hain aur pita k bare mae aap logo ko aisi baate nhi karni chahiye.
Jalal to jodha
Aap aksar hum sae kahti hain na jodha begum k hum bina puri baat sune samjhe hokum suna detae hai ...tauu aap mae bhi who unar hae
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jalal to jodha
Bohat khoob...
Mohabbat k marham mae lipta nafrat ka zakham ...
... hame acha laga... Zakham yaha bhi laga hae...
..hum phir se zakhmi ho gae...
Munish k sambhandon me rang bhale hi badal jain paruntu rangon se manushe ka sambhand kabhi nahi badal sakta...
,...rang jeevan ka prateek hae shrishti .ka srijan bhi ..2 rang aapas mae mil kar
1 nae rang ka srijan karte aur jab yah 2 rang apas mae na mil pae tau 1 doosre k lye kalank ban jate hain ...Manash ho ya vastu rang pal bhar mae us ki bhawna hi badal dete hain
1 shahnshah ka kaam jazbaat aur dil se nhi hota jodha begum Qaedon se hota hae
Jalal to jodha
Jungle ka 1 asool hota hae jodha begum ...agar 1 takat war ko 1 janwar ko zinda rahna hae tau ose doosra ko khatam karna hoga...is sae phaele who tumhe mare tumhe ose khatam karna hoga...I machli doosri machli ko kha kar hi zinda rahti hae ...sher ki badshahat khauf k bal boote hi kaim hotu hae jodha begum...khauf khatam ...badshahat khatam
----
Jalal to jodha
bura scho tau bhi aap o ghussa aata hae...acha socho tab aap ko ghuss aata hae... ...yah hunar aap mae paidaishi hae ya ki baqaida is ki apne taleem hasil ki hae
&
Their are many more left n many more to cum
😊
Edited by Amor. - 11 years ago
37