JODHA AKBAR EK NAYI KAHANI

msbhattacharya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
#1

CHAPTER 4

HIRA AUR USKA PARIVAR AGRA AYE HAI . HIRA KE KAKA KI BETI KI SHADI HAI AUR HIRA AGRA A KAR BAHAT PRASANNA HAI . HIRA KI CHAHA KI TEEN STRIA HAI AUR UN TEENO KO HI BETI HHAI . TEENO CHAHI SA HIRA KO BAHAT SNEHA KART HAI HIRA KI BARI CHAHI USKE BAALO ME TEL LAGA RAHI HAI . HIRA KI BARI CHAHI KA NAAM BHAGYA LAXMI HAI AUR WO DONO VARTA LAP KAR RAHE HAI

Hira- Chahi to ant me saraswati ka via ho hi raha hai

Laxmi- ha bahat dhundneke baad thare kaka saa ko ye rista mila hai . ache log hai bara ghar hai viabsaye hai achi rahegi thari behen wana

Hira- ha ye to aap ne thik kaha par kabhi kabhi mare ko lagta hai ke kya dhan se santi kharidid ja sake . laxmi- chup kart u thari bari bari baate jaab thara viha hoga tab main dekhungi itni bari baate kahase bol pati hai tu . tabhi waha saraswati ati hai

Saraswati- Are tut aha baithi hai aur hum pura dhund rahe the.

Laxmi- Ke hua chori itna kai uchal rahi hai

Saraswati- maa wo mina bazaar ka samay ho gaya hai to hum soch rahe the hira ko mina bazaar dikha laye . phir ye yaha ayegi ken a . humara bhi viha ho jayega

Laxmi- Bavri ho gayi hai ke ? thare bapu saa anumati na denge do dino baad thara biha hai aur . tabhi waha hira ke kaka saa ate hai

Kaka - jane de ye iska vivah se pehele antim mela hai aur hira bhi ayi hai . Chale jawenge dono mina bazaar bhi paas me hi to hai .

Laxmi- Par jeth ji jethani sa

Kaka- Unse anumati le li hai unhe koi aptti na hai . bus Ye log sham honeke pehele pehele ghar a hjaye.

Saraswati - haskar dhanya baad bapu saa hum a jayenge sandhya hone se pehele pehele chal hira. Wo hiraka haat pakar kar nikal jati hai .

UDHAR AGRE KE KILE ME JALA TAYIYAR HO KAR NIKLA HAI USE APNI BEGAMO KA KHEMA DEKHNA HAI MINA BAZAR ME . SIYASI MAMLO ME ULJHE HONE KI WAJAYE SE JALA WAHA NAHI JA PAYE AAJ JA RAHE HAI . AUR UNKI KHAS DILCHASBI HAI RUKAYI BEGAM KE KHEME NA JAANE WO ISS BAAR KYA LAYEGI SEHESHA KE LIYE? JALA NIKAL NE HI WALE HOTE HAI TABHI WAHA UNHE RAHIM MILTE HAI UDAS BAITHA HUA . RAHIM MARHUM KAHNE KHANA KI AULAAD HAI AUR SALIMA BEGAM SE NIKAH KE BAAD RAHIM KE ATALIK . PAR JALA RAHIM KO APNI AULAD KI TARHA HI CHAHATE HAI .

Jala- kya hua rahim / aap yaha itne gamgeen kyu baithe hai?

Rahim- hume aap se baat nahi karni.

Jala- acha kyu? Humne kya kiya hai?

Rahim- saab chale gaye mina bazaar ke liye aap bhi ja rahe hai hum iss mehele me akele rahenge . ammi jaan ko humne kaha tha par wo bhi hume nahi lekar gayi

Jalal- Acha to ye majra hai aap ko mina bazaar jana hai thik hai aap humare saath chaliye .

Rahim- Sach sehesha chaliye

Jala- Par yaad rakhiye rahim koi sararat nahi jaab hum kahenge aap kow apas ana hoga humare saath Rahim - ha thik hai

Jalal- To thik hai phir chaliye.

YAHA HIRA AUR SARASWATI BAZAR ME AYI HAI SARASWATI AUR HIRA ME BAAT HO RAHI HAI

Saraswati- To kaisa lag raha hai mina bajar

Hira- Adbhoot bajar to mare amer me bhi hai par aise na hai

Hira- ha yaha aurte hi bechti hai aur aurte hi grahak hai.

Hira- baap re bahat sari samgriyoa hai yaha .

Saraswati- Aur jinhe dekh rahi hai na saab agra ka mehel se hai sehesha ji ke haram se .

Hira- o acha ye saab unki stria hai?

Saraswati- Hat pagli inme dasia begame hai.

Hira- O par humari samjh me nahi a raha hum log ghughat me kai hai . yaha to sari arte bina ghunghat ke hai

Saraswati- bavri tane kuch na pata ke ? haar baar sehensha iss mina bajar se koi na koi aurat ko utha kar le jate hai aur apne haram me bandi bana dete hai . jo unke najar ko bha gayi wo unki ho gayi

Hira- acha bara krur hai sehensha.

Saraswati- Are chup kar aur chal .

Hira- are itni bheer kai hai?

Saraswati- Lagta hai sehensha aye hai. Tabhi itni bhir hai. Chal yaha se ksis aur dukan me jate hai

Hira- thik bhai ar waha kya milta hai wo dekh le

Saraswati- na ji na chal kahi sehensha ki dristi thare pe par gayi to yahi se le jayenge tane koi kuch na kar pawago.

Hira- acha chaal thik hai.

JALAL AYE HAI SARI BEGAME APNE KHEME KI KHASIYAAT JALA KO BATA RAHI HJHAI PAR JALAL HAR BAR KI TARHA RUKAYIYA BEGAM KE KHEME KE PAAS CHALE JATE HAI

Rukayiya- Adab huzur

Jala - adab to iss baar kya hai humare liye

Rukayiya- iss baar hum aap ki nazar ye ayina karna chahate hai

Jalla- Muskurakar ayine humare paas kayi hai isme aisis kya khas baat hai?

Rukayiya- khas to hai warna hum ise apne kheme m e jaga nahi dete. Iss ayine ki khasiyat ye hai mere sar taaj ke aap iss ayine ko sahi jaga lagenge to aap do logo ko dekh sakte hai unk par wo aap ko nahi dekh payenge . Yu samajhiye sishe ka jasoos hai

Jala- Bahat khoob hum ise kharidte hai . Aur hume aise aur kayi kach chaiye

Rukayiya - ha hum jante hai tabhi to humne ye poora khema aap ke liye sajaya hai ye saab aap hi ke liye to hai mere huzur.

Jalal- isi liye to tum begame khas ho . hum ye pura khema kharidte hai . kya kimat hogi aap ke khemo ke saman ki?

Rukayiya- do lakh asharfia . jala- aap janti hai na jo hume pasand a jaye hum us chiz ko pa kar rehete hai . chaliye diya aap ko ye saman humare saath mehel me jayega. Tabhi waha rahim ata hai

Rahim - chaliye na sehensha hume kuch khilone dila diiye pinaz begam ke kheme se .

Jala - acha chalet hai . ek sapi ko jala rukayiya ke kheme ka saab kuch lene ki baat karke rukayiya ko adab karke cchale jate hai.


Related Topics

Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 6 years ago

Jodha Akbar FF : --- Who loves Him Most (M) --- Link to my other threads Thread 1 Thread 2 - Thread 3 :::::Thread 4::::...

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: ParijatDeewani · 3 months ago

Hey y'all! I've created this thread so that you'll can easily access all the Akdha Vms in one place. Please feel free to add to the list. 1....

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: Swissgerman · 9 years ago

... Shahzada Of Her Dreams ... ::::::::::::::::::::::::::::::::Index::::::::::::::::::::::::::::::: Chapter-1.....The beginning Chapter-2:...

Expand ▼
Jodha Akbar thumbnail

Posted by: nushhkiee · 7 months ago

Before you read, This is strictly for die-hard and loyal fans of Pale Blue Dot ...our fellow PBDians ... I've been working on this since...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".