Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
Line 1) kyon paani mein mal-mal naahaye ? Man ki mel (dirt) utaar, O prani !, man ki mel utaar. Line 2) kyon dharti mein bojh bane re bande? Talaab mein gota maar, O prani ! talaab mein gota maar. Line 3) kyon logo ka vartamaan bigade? Apna bhavishya sudhaar , O prani! Apna bhavishya sudhar. Line 4) kyon dusron se irshya kare re, murakh? Apne priya jano ko sambhal, O prani , unko tu sambhal. Line 5) kyon dusron par dosh lagaye? Swayam ki galti nikaal ,O prani , swayam ki galti nikaal. Line 6) kyun mrityu ka swaang rachaye? Satya mein narak sidhaar , O prani , satya mein tu sidhaar.

Created

Last reply

Replies

30

Views

3.2k

Users

13

Likes

48

Frequent Posters

masan1 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
#2
Pyare ji itni Sundar aur hasyaprad rachna muje pratitt hota hai aap prani ko bahut prem karte hai. Aapki sari panktiyan bhratashri ke viivadit charirtra ka ullekh karti hai. Antim pankti ke satya mein badalne ki to kabse pratiksha ho rahi hai.
Gyat hota hai bhratashri hamare grah par hi rahenge,unhe apne sarovar mein jakar vishram karna chahiye aur waha ki bhrayaon ke sang prem prasang khele. Hamari bhraya ko tyaag den. Par murkh ko samjhate kaun vinash kale viprit budhi. Hum purna visvaas hai hamari bhraya madhu unhe unke sahi sthan tak pahuncha degi.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#3

Originally posted by: masan1

Pranam ji! satya kaha aapne ,humara 'prani ' se prem ya yun kahe ghrina amar hai! Haan 'Vinaash kale viprit buddhi' aasa hai ki bhrashtbuddhi prani ko shighra koi uski asal sthan dikha de. Agar Madhu ji ne aisa kiya toh hum unke aabhari rahenge.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
Koi tippani nahi? Shayad bhajan mein logon ko koi interest nahi:(
aahaaan_rk thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 12 years ago
#5
Ohhh my god... šŸ‘šŸ¼ the last line is just...just too good "aapne mann prasann kardiya pyareji" šŸ¤—
LostTraveller thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
#6
Ati uttam pyaarelaalji! Par humein aapse ek shikayat hogayi is bhajan ko padhke! Bhratashri nahi humare bhagwan hai aur nahi itne samman ke layak. Isliye bhajan jaise pavitra geet ko aap bhratashri pe mat upyog kijiye, isse bhajan ka asamman hota hai. Agar shuddh hindi mein aap bhratashri ke liye koi item song likhenge toh hum usse poore dil se sweekar karenge. Woh kya hai na, humare bhratashri bhi kissi item se kam nahin hai ;)
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#7

Originally posted by: taraka2005

šŸ‘0ā€ž2šŸ‘ nice bhajanšŸ˜†

Dhanyawaad ji. Hope bhajan sunne k uprant bhratashri hum par kripa kar humein satana chod dein!
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#8

Originally posted by: felicity06

Ati uttam pyaarelaalji! Par humein aapse ek shikayat hogayi is bhajan ko padhke! Bhratashri nahi humare bhagwan hai aur nahi itne samman ke layak. Isliye bhajan jaise pavitra geet ko aap bhratashri pe mat upyog kijiye, isse bhajan ka asamman hota hai. Agar shuddh hindi mein aap bhratashri ke liye koi item song likhenge toh hum usse poore dil se sweekar karenge. Woh kya hai na, humare bhratashri bhi kissi item se kam nahin hai ;)

Chama chahenge ji aage se hum bhajan jaise sabdon ko sultan jaise aadmi k liyeh prayog kar use apavitra nahi karenge parantu kya hai na humein item song ka jyaada gyaan nahi aaj ek do sun lenge aur bhratashri par aajmaane ka prayatna karenge.
Sau_ka_note thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#9

Originally posted by: aahaaan_rk

Ohhh my god... šŸ‘šŸ¼ the last line is just...just too good "aapne mann prasann kardiya pyareji" šŸ¤—

Thank you ji. Haan, antim pankti toh humari swayam ki bhi favourite hai.
bokul thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Master Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#10
priya pyare laal ji main apke ye bhajan padke ati prasanna hui...main hamesh apki tippani padke apna din ki suruaat karti hoon kyunki apki sabhi tippaniya ati sunder hote hain...main ap jaisa shudh hindi nahi bol sakti ...par ap humare priya bhratashri ke baare mein jo bhi bolte hain wo sab ke sath humara raye bhi pura milta hai...waise 1 baat ap sochiye ki agar yeh adalat ki karvayi kuch AITRAAZ film jaisa ho to kaisa hoga ?? wahan pe ant mein kareena na apna pati ke liye mamla ladi thi aur jeet bhi gayi...apne tippani dijiye abhi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".