Na mandir mein sanam hote, Na masjid mein khuda ho

THE_VAMPIRE thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
Na mandir mein sanam hote, Na masjid mein khuda hota,
Ham hi se ye tamasha hai, Na ham hote toh kya hota.

Na aisi manzilen hoti, Na aisa rasta hota,
Sambhal kar zara ham chalte, Toh aalam zer-e-pa hota.

Ghata chhati bahar aati, Tumhara tazkira hota,
Phir uske baad gul khilte, Ke zakhm-e-dil hara hota.

Bulakar tumne mehfil mein, Hamko gairon se uthvaya,
Ham hi khud uth gaye hote, Ishara kar diya hota.

Tere ehbaad tujhse milke bhi, Mayus laut aaye,
Tujhe "Naushad" kaisi chup lagi thi, Kuchh kaha hota.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".