Continue soon.
And thanx for pm.
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 4th Oct 2025 - WKV
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 4, 2025 Episode Discussion Thread
SAB KUCH HOGAYA 4.10
GALATI HOGAYI 5.10
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 5th Oct 2025 - WKV
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 5, 2025 Episode Discussion Thread
Truth, lies and delusions of Geetanjali - A tribute from Gen4 pankhas
Ranbir and Deepika in the airport shuttle.
Twinkle taking dig at Alia?
What a joke this is!
Twinkle Khanna looks horrible! What did she do to her face?
Katrina Kaif copied Madonna, Mariah having a baby at 42
♧Bigg Boss 9 Discussion Thread♧
Veteran Actress Sandhya Shantaram Passes Away
Surabhi: Dekha Purvi humari riya k toh bhaag hi khul gaye kitnay aachay log thay, aur yakeenan larka bhi naik aur shareef hoga.
Purvi: ha tum theek hi kehti ho .
Ayesha: wah jaan tere sasural walay toh buhat hi fast forward hain , teri honay wali saas nay ek paal bhi nahi socha direct ha keh di kamal hai .
Riya: I am so lucky dear mujhe us jaisa sasural milay ga. Tera kiya hoga dear.
Ayesha: jaan mere liay bhi us bhagwan nay kisi nay kisi mazloom ko banaya hoga jo mere zulam sahey ga.
Riya: jot ere nakhray uthay gay a tu uski ghulami karay gi.
Ayesha: aaisa koi paida nahi huwa hai jo mujh say ghulami karawaey.
Riya: aacha.
Ayehsa: ha toh aur kiya.
Amba: ary larkiyun kahan reh gayen neechay aa jao mujhe tum dono say kuch zarori baat karni hai.
Ayesha: aab kiya baat karni hai Amba ji ko.
Riya: chalo dear dekhtay hain.
Amba: Purvi tujhay teri beti ka honay wala sasural kaisa laga.
Purvi: amba ji aap nau chuna hai aacha hi chunna hoga.
Amba: mei tum say mushwara nahi mang rhi hun na ye nahi pooch rhi hun aacha hai ya bura hai, khair jaisa bhi hai mei nay chunna hai aur Riya ki shadi wahen hogi chahaey tum chaho ya na chaho samjh gaye mei apni zaban say mukar nahi sakti.
Purvi: ji Amba ji.
Amba: aacha hai mere faisalay par raazi hona seekh jao, aur ha surabhi tub hi apni beti k hath peelay karnay k baray mei soch lay kal kisi bhi waqt larkay ki behan aanay wali hai Ayesha ko dekhnay , zara apni beti ko dhang k kapray aur salikay say uthna bethna seekha day, samjh gae na.
Surabhi: ji Amba ji.
Amba: tum dono nay aanay mei buhat dyar kar di larkiyun, umeed hai jo mei nay abhi surabhi say kaha hai wo tum dono nay sun liya hoga.
Ayesha: ji Amba.
Amba: aur ha Ayesha dear ki jaan Riya bibi ji , kan khool k sun lo jab Ayesha kin and aur us k honay walay pati aaen toh tum meharbani kar k neechay na aana warna pichli bar jab larkay walay Ayesha ko dekhnay aaey thay us din ki tarha tumharay misbehaviour say wapis na loat jaen.
Riya: ji Amba .
Amba: ye meri iltaja nahi hai ye meri hukam hai riya, mei Ayesha ki shadi mei tumhari dhakhal andazi nahi chahti , Purvi tub hi apni ladli ko samjha dena.
Riya: Amba mei nay kiya kiya tha, ap nay dekha nahi thaw o log Ayesha dear say kaisay kaisay sawal pooch rhay thay aaisa lag rha tha k kisi janwaar ko kharidnay aaey hain.
Amba: tumhari yahe baat mujhay sakht na pasand hai Riya, teri maa ki bhi kuch aaisi hi aadatein then aur tujh mei bhi wohi khaslaten hain ,aakhir khoon kis ka hai.
Riya: amba mei dhayan rakhun gi.
Amba: ha dhayan toh rakhna hi hoga warna anjam tu janti hai.
Riya: ji Amba.
Next day.
A lady knocks the door wearing the red saree with green color blouse. Saurabhi opens the door.
Lady: hey I am Mahi Mrs Mahi Singhania.
Amba: aao aao beta wahan kyun khari ho aandar aao na.
Mahi: hello aunty ji.
Amba: jay shree krishan beta.
Mahi: sorry Aunty jay shree krishan .
Amba: akelay aai ho tumahray bhai sath nahi aaey.
Mahi: nahi Aunty ji wo kiya hai na chotu aaj kal buhat busy rehta hai, aunty next time usay sath zaror laun gi.
Amba: theek hai beta waisay mei nay toh usay dekah huwa hai aacha huta k meri bahu bhi apnay honay walay damad say mil leti.
Mahi: sorry aunty mei'
Amba: array beta sorry ki kiya baat hai aab toh milna milana hota hi rhay ga, aaj nahi toh kal hum us say mil hi lyn gay.
Mahi: ji aunty ji, waisay Ayesha hai kahan dikhai nahi day rhi.
Surabhi: mei usay lay k aati hun.
Purvi: Surabhi tum betho mei lay k aati hun
Surabhi: theek hai.
Surabhi: beta ji aap kiya peena pasand karo gi thanda ya garam.
Mahi: nahi aunty mujhay kuch nahi chaheay waisay bhi mere husband mera intezar kar rhay hun gay ,bus aap jaldi say Ayesha ko bula lyan.
Surabhi: lo aa gai Ayesha.
Mahi: buhat pyari hai, aunty ji say jitni iski tareefen suni thi waisa hi isay paya hai. Betho Ayesha. Kaisi ho.
Ayesha: theek hun.
Mahi: Ayesha waisay tumhain akelay humara I mean mera mayka sambhalna ho ga mei toh apnay sasural ki ho gai hun magar mujhe har pal apnay bhai ki fikar lagi rehti hai, bus tum aa jao gi toh mei is faraz say aazad ho jaun gi.
Ayesha: ji
Mahi: tum mujhe chotu ki tarha di bula sakti ho.
Ayesha: ji di.
Mahi: ye hui na baat. Aunty ji agar aap bura na manen toh mujhe Ayesha say akelay mei kuch baat karni hai.
Amba: ha beta kyun nahi. Ayesha jao beta in k sath.
Ayesha: ji.
In a room where only Mahi and Ayesha are present .
Mahi: Ayesha mei tumahin kisi bhi rishtay mei bandhnay say pehlay tum say baat pochna chahti hun, sirf ha ya na mei jawab dena, kyun k mei kisi bhi rishtay ki buneyad jhoot ya dhokay par nahi rakhna chahti, isiliay tumahin saaf saaf batana chahti hun, ye baat Amba ji ko bhi pata hai pata nahi unhon nay tumhain ya tumhari mom ko ye baat batae hai ya nahi, par ha mei tum say ye baat clear kar dena chahti hun.
Ayesha: kaun si baat hai di aap saaf saaf bataen.
Mahi: toh tumhain aunty ji nay kuch anhi bataya.
Ayesha: nahi.
Mahi: Ayesha meri baat dhayan say suno phir koi faisala layna.
Ayesha: mei sun rhe hun di aap kahen.
Mahi: ye baat mere chotu say juri hai Ayesha, mei kaisay kahun samjh nahi aa rha..
Ayesha: aap kahen di '
Mahi: mera bhai ki zindagi mei koi aur hai.
Ayesha: kya, aap ye baat jantay huay bhi unki shadi karwa rhi hai.
Mahi: ha kiya karun jisay wo chahta hai uska koi naam o nishan nahi hai, kaun hai wo kahan hai kuch pata nahi,magar mera bhai pagalon ki tarha us say pyar kar rha hai, teen saal beet gay hai na hi usay milna than a hi wo mili hai usay.
Ayesha: phir unhon nay shadi k liay ha kisay ki.
Mahi: meri kasam ki wajha say us nay ha ki par Ayesha mera manah hai k us larki ka koi wajood nahi hai Ayesha , aur agar ek baar uski shadi ho gai toh tum usay itna pyar dena k wo usay bhool jaey usay uski yaad bhi na aaey , aur mujhe pata hai tum aaisa kar sakti ho Ayesha.
Riya hears the conversation between them , she is just to leave Ayesha sees her and call her, she joins them.
Mahi: Ayesha mei nay tumhain sach bata diya hai a faisala tumahray hath mei hai, par ek baat zaror kehna chahun gi k pyar ka kya hai wo toh shadi k baad bhi ho jata hai aur mujhe umeed hai k agar tum mere bhai ki jeewan sathi ban gai toh usay apnay pyar k rang mei zaror rang lo gi .
Ayesha and Riya stands like a statue they feels that some one pulls earth under their feets and Mahi leave them in a shocked position
Mahi steps down from stairs and say good bye to Amba, suarbhi and Purvi.
In Risha (Riya and Ayesha) Rooms:
Riya: Ayesha tu inkar kar day is rishtay say, aaisay rishtay ka kiya faida jahan pyar hi nahi ho.
Ayesha: Riya merit oh kuch samjh nahi aa rha mei kiya karun.
Riya: Amba ji jab ye baat janti thi tab bhi unhon nay, lekin kyun?
Ayesha: iska jawab toh Amba ji hi dyn gi.
In hall , Ayesha and Riya tells all about the mahi and Ayesha chatting, they all are shocked after hearing this.
Surabhi: Amba aap ye baat janti thi phir kyun kiya aap nay aaisa.
Purvi: ha Amba ye humari Ayesha ki poori zindagi ka sawal hai .
Amba: ha mei nay kiya aaisa mei janti thi us ki sachai , magar larka heera hai heera chirag lay k bhi dhondnay say aaisa larka nahi milay ga, aur wo Ayesha ki har icha par bhi pora utar rha hai, isi nay kaha tha na larka akela aur ameer hona chahey, na saas ho na sasur na hi koi sasurali, sirf isay aaazadi chaeay larka jaisa bhi ho isay koi faraq nahi parta na hi isay is baat say faraq parta hai k wo isay kitna waqt deta hai aur kitna pyar ,ye teri hi beti ka kehna tha surabhi k pyar ka kiya hai wo toh shadi k baad bhi ho jata hai toh phir mei nay kiya ghalat kiya.
Ayesha: amba aap nay job hi kya theek kya Amba mujhe is shadi say koi ateraz nahi hai .
Surabhi: ye tu kiya keh rhi hai tu janti bhi hai.
Riya : Ayesha tu hosh mei toh ahi Ayesha , ye teri zindagi ka faisala hai , tu ye faisala aaisay jazbat mei aa kar nahi lay sakti .
Ayesha: mei nay soch liya hai jaan , aur ye mera aakhri faisala hai.
Riya: mei tujhay teri life barbad nahi karnay dungi aur ye mera aakhri faisala hai.
Amba: tu aaisa kuch nahi karay gi Riya.
Riya: Amba mei aaisa hi karun gi chahay mujhe aap k khilaf hi kyun na jana paray?
Ayesha: nahi riya tu Amba kay faisalay ki khilaf nahi kjaey gi.
Precap: Risha marriage
Kya Riya Ayesha ki zindagi barbad honay say bacha paey gi? Kaun hai in k jewan sathi? Kiya hoga in dono doston ki zindagi ka jab Ayeha k faisalay say jura ek aur sach samnay aaey ga? Kya tab bhi Ayesha ka wohi faisala hoga? Ya Riya Ayesha ki shadi rook paey gi? Aakhir aaisa kiya hoga jo in dono doston ki zindagi ko badal day ga? Kiya hoga jab in dono doston k sapnay k arthi uthay gi? Kya hoga jab hoga Ayesha ka jab hoga uska us k honay walay pati say samna?
In sab suspense say next update mei parda uthay ga.
So stay tune with my dramatic saas bahu type love story, I know you all holding chappal and tomatoes for hitting me ,before this I tune off my laptaop and please bear with me
Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...
You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
38