Gussa ata hai..
Khoob tujhe pata tha...
Rulaaana aata hai ,
Tujhe , yeh pata tha...
Sharafat ka naatak,
Karna ata hai tujhe,
Yeh pata tha...
Shareef banda hai..
Yeh bhi pata tha...
Biwi ko chidaana
Teri aadat hai...
Yeh pata tha
Uski chuppi se
Chid tumhe
Yeh bhi pata tha
Par uske aason
Tujhse dekhe nahin jaate
Ye pata na tha...
Uske aansoon pochna
Aata hai tujhe
Yeh tho bilkul na pata tha...
Uski hasi ke liye
Shopping bhi karoge
Wo bhi saaree
Ye nahin pata tha...
Chori Chori
Apni biwi ko dekhta hai...
Yeh nahin pata tha...
Nakhre bahut karta hai
Yeh pata tha..
Par nakhre sehna
Bhi chaahta hai
Yeh nahin pata tha...
Biwi teri tujhse sharmaati hai
Ye pata tha..
Par tu bhi usse kam
Sharmeela nahin hai
Ye na pata tha...
Tauba , Tauba,
Yeh adaayein tumhari...
Itne Qaatilaana hai
Hamein na tha pata ...
-Sareeta