Heyya Guys😃
Unfortunately for you... I'm Back to torture you with another one of my lame poems (This time I've tried to make it a happy waala one😉)
Agar acha nahi laga toh joote chappal welcome hai ji!😆
Here we go!😊
Yeh Duniya kitni ajeeb hai..Kabhi chaar sau chaalis volt ka jhatka to kabhi be intehaan sukun de jaati hai
Voh bhi mere zindagi mein hawa ka jhonka banke aayi
Naa jaane kab mera dil churaaya
Bas ek pal mein main gayaa maara
Angry young man se seedha mujhe majnu mode mein laayi
Do jism ek jaan kehte hai log humko
Faasle bohat aaye'
Par humaara bandhan nahi tuta
Saath naa chuta
Chaahe rab kitna bhi ho rutha
Aakhir dil toh mera usne hi berehmi se luta
Paagal kar gayi mujhe
Har waqt voh hi voh dikhti hai
Aur dhadkane usi ka naam japti rehti hai
Sharon...Sharon...Sharon...
Uske hi khayaalon mein aksar dooba rehta hoon
Uski aankhon mein natkhat si adaa
Uski chehre se jhalakti maasumiyat
Voh bholi si surat aur khilkhilaati hassi
Uff' har uss adaa mein chupi hai saadgi
Tumhaara choti choti baaton pe sharmaana
Yun muskuraana
Phir palat ke aankh maarna
Ghayaal kar gaya hai mujhko
Hum ne kya kya nahi dekha
Mushkile aayi,faasle aaye'
Yaahan tak maut ne bhi hummara darvaaza khat khataaya
Par hum naa huye juda
I love you Sharon' meri aakri sans tak.
I love you
Always and forever'
Please shower me with your likes and longgg comments please😛
Lots of Love,
Vedika❤️
Edited by arjuhiswaron007 - 12 years ago
2