BREKING NEWS
BREKING NEWS
BREKING NEWS
Aaj hum aapko batayenge Induar ke ek aise pareevar ke baare me jis pareevae ke log apne ghar ke daamado ka bura haal karte hai. unka jeena haram kar dete hai.
To aaiye aapko milwate hai us pareevar ke damad Mohan Bhtnagar se jinhone ye sab kuch saha hai. jinker uper ye sab gujra hai. To ye hai Mohan Bhtnagar famous crime reporter. haan to Mr. Bhtnagar aap kuch batana chahenge apni aap biti.
Ji wo pehle meri zindagi kuch aisi thi main apne dost guru ke saath khushi khushi zindagi beeta raha tha. hasta rehta tha masti karta rehta tha lekin fir ek din...
Fir ek din meri mulakat hui Mrs. Vyas se. khubsurat si Mrs vyas jo her waqt mujhse larti rehti thi mujhe kya pata tha ki wo kis khtrnak khandan se hai.
Humari mulakate badhti gayi. hum jaha jaate waha ek dusre se tarka jaate. fir dheere dheere mujhe unse pyaar ho gaya.
Are maine kya kya nahi kiya unke liye. yaha tak ki maine unhe kala bandar se bhi bachaya.
Lekin fuir bhi mujhe badle me mili galiya.
kabhi papa ji ka thappar
Kabhi MIL ki daat
kabhi renu bhabi ke taane.
Fir bhi maine ek din himaat karke Megha ko apne dil ki baat bata di per mujhe mila thappar.
us din puri barish me main bheeng bheeng kar apne pyaar ki nishani rumali ko lekkar rota raha. main itna bheenga ki mujhe sardi ho gayi.
ghar per bhi mera rona kum nahi hua main apne doist ke saamne rota raha.
Fir ek din us zalim ke chakkar me mujhe goli bhi lag gayee. haay kitna dard hua tha mujhe.
Fir bhi us zalim ne mujhse apne pyaar ka izhaar nahi kiya. main fir barish me bheeng bheeng k roya.
ek din use taras a gaya or usne mujhse apne pyaar ka izhaar kar diya.
Fir humari shadi ho gayee. uske baad mat puchiye
Mat puchiye pure pareevar waalo mujhe jo ghante ki tarah bjaya hai. Ghanta bhi yahi dua karta hoga ki agale janam me kuch bhi banana bus Mohan Bhtnagar na banana.
ab to lagta hai ye shyari mere liye hi bani hai.
"Pyaar me kisi ne kasme kisi ne waade khaye hai."
hum Wo majnoo hai jisne sirf chappal galiya or thappar khaye hai."
Us ghar ke naye naye banane wale damad ko meri yahi salah hai ki khud ko majboot bana ke jaao kyunki us ghar me tumhe bh9i dhol ki tarah bajaya jayega.
Edited by poojaluvnbt - 12 years ago