Takrar se shuru hote hain, nafrat ke saaye mein panapte hain,
Girte hain, padte hain, par kaayam rahte hain..
Nafrat badhti jaati hai aur rishte ki gaanth aur gehri hoti jaati hai..
Itni ki ek din nafrat bhi aur badhne se sharma jati hai..
Aur woh rishta sirf ek bandhan ban ke rah jaata hai.. Lekin sirf nafrat waala'
Kabhi kabhi aisa lagta hai jaise nafrat ke us maahoul mein kuch toh hai..
Jo humse kehta hai ki is unsuni, anjaane se, ankahe se ehsaas ko ek mauka toh do'
Par jis rishte ki neenv hi nafrat pe rakhi gayi ho,
usse kuch bhi ummeed lagana naadani nahi to aur kya hoga?
Aur shayad ye nadaani hum kar baithe hai..
Warna kyun itni nafrat ke baawajood humein aapki yaad aa rahi hai?
Kyun hum aapse ladte hain, jhagadte hain, lekin
aapke jaane ke baad aap hi ki raah dekhte hain,
hawaaon se aapki baatein karte hain?"
Some relationships are tied with an extraordinary thread
they are born in conflict and grow in the arms of hatred
they tumble, they fall, but they survive
the hatred grows and the relationship deepens
till one day, when even the hatred is too ashamed to grow
leaving you feeling trapped and imprisoned
Then you realise that something seems to have gently crept in
something that begs me to listen to that unseen, unheard
but isnt it naive
to expect something more from a relationship so steeped in strife,
and maybe I am guilty of this naivete
Else why do I miss you so
Why do I fight you when you are around
and miss you when you are not
why, why do i talk to the winds about you