I don't think so you guys me, i m a new member in this forum.And this is my first FF in this forum. hope you guys like it
(i will continue after when nimrat was about to leave the house and her mother made her understand a women's duty)
Prologue:
On the same night, Nimrit was climbing upstairs and talking to herself, "Ab mujhe hi hamare iss rishte ko sudharna hoga kyunke agam ji jese bhi hain ab meri zindagi ka ek ahem hissa hai. Bhagwan ne kuch acha hi socha hoga mere liye joh meri shaadi agham ji se karwa di".
She goes to terrace. And sees agham lost in her thoughts. She goes to him and says " Agham jii"
He turns. She continues,"Agham jii mujhe nahi lagta mujhe yeh ghar chorne chahiye. Mujhe pata hai keh aapko guilt hai apni galthi ka, but mein waapis jaakar apne mumma papa ko pareshaan nahi karna chahti. Aap agar chahein toh mein aapse bilkul dhur rahungi par please duniya ke saamne kya hum ek normal couple ki tarah behave karsakte hain. Agham replies, "Par nimrit jii aap kyun mere saath reh kar apni zindagi kharab karna chahti ho, aapko toh mujhse behtar larka milsakta hai. Mujhe abhi bhi lagta hai aapko waapis chale jaane chahiye. Plzz aap yahan rehkar kyun apna future khrab kar rahi hain jab aapko pta hai mein aapko woh khushi kabhi nahi desakta. Nimrit continues, "aap aisa kyun keh rahe hain. aapko lagta hai mujhe apne ghar jaana chahiye par mujhe lagta hai mujhe yahin rehna chahiye. Mujhe nahi pata aap sahi hain yaa galat. Mujhe nahi pata mein sahi hun yaa galat, bas mujhe itna pata hai keh mein apne mumma papa ko aur dard nahi desakti. Mein yahin rehna pasand karungi, please. Agham tries to convince her, "please chali jaaiye naa, aap larkiyan itna zidh kyun karti ho". Nimrit, "kyunke hume lagta hai keh hum sahi hain, aur hum yahan se nahi jaayenge, chahe aap jitni koshish karlein. Agham, "Joh aapki marzi, aap meri kahan baat maanogi"
He starts making his bed in terrace but nimrit interrupts," Mujhe lagta hai hume saath mein rehna chahiye warna sabko shak hojayega". Agham doesnt wants to argue so he heads towards his room...or i should say their room.
Agham says, " mein couch mein sojaunga aap bed pe sojaaiye aur please ab aap argue mat kijyegaa. koi toh baat meri aap bhi maanlo". Nimrit nods her head in yes. Nimrit sleeps on bed and Agham sleeps on couch.
And here they begin their new journey. they are married but still they are strangers for each other and how will these two strangers create their own heaven, is what my Fanfiction is all about
P.S ummm sorry but i think after this my first part will be after 8 june, because of my exams... sorry 😳