Hey guys,
Earlier I wrote what Angad was feeling deep down, but now kripa is the one who is suffering immense pain by being humiliated by Angad everytime for loving him with her whole heart. Here goes what I think Kripa might be feeling as of now:
Kiya sirf tumse hi pyar
Aur jane kyun kiya tumne dil pe vaar
Mere jigar mein hai sirf teri surat
Sajaye mann mein teri ek sundar murat
Mehakaya tumne mera jiven ke saaz
Par kya nazar na aaya mere dil ka ehsaas
Tori tumne meri arzoo
Kya nikaal diye tumne woh lamhe jinme basi thi kitni khushboo?
Intezaar basi hai mere naino mein
Chain chupa hai tumhare saason mein
Khwab toote mere armaano bhare
Zindagi roothi mere pyar ke safar se
Tune dukhaya en dharkano ki awaz ko
Rulaya mere vishwas ke raaho ko
Thukraya mere chahat ke aangan ko
Barsaya zilat ke sawan ko
Guzar rahi hoon nafrat ke raste pe
Jaane kis mor pe milenge rahat ke lamhe
Dil mein hai bekarari ka aalam
En aankhon mein dekte hai sirf tumhare diye huye gum
Bahati hoon aasuyo ki nadiya
Lagta hai hai pal jaise sadiya
Tumne toh kaha bhi nahi ki maine aisa kya kiya
Phir bhi chamakta hai mann tumhara hi chehra
Tumse hi toh basaya maine sapno bhara aashiya
Aur tumne dikhaya khauf se bhara ek akela jaha
Dil mein kitne shikwe or shikayat
Par kya karu jab basi rag rag mein tumhari chahat
I hope you guys like it. Let me know if you guys agree with what I think.
-Love4ever!
P.S: Thanks Deepey for liking my poem and I hope you like this one as well. It was so sweet of you for liking my style---and I was thinking of your kind words that you wrote ealier! Thanks hun!!!