PART 1
Khurana Villa (USA)
Dadima: Adi ye Maan kaha reh gaye subah se nazar nahi aa rahe?
Adi: Dadima jabse aapne ye faisla liya hai k hum humesha k liye India jaa rahe hai tabse Bro saatve aasman mein hai... kal se packing kal rahe hai abhi tak khtam nahi hua
Dadima: Packing toh humne kar di thi ab Maan kya pack kar rahe hai?
Adi: Ofho Dadima humne toh sirf kapde aur zarurat k saaman pack kiye the magar Bro toh abhi apni yaado ko sametne ki koshish kar rahe hai
Dadima: Iska matlab Maan storeroom mein hai
Adi: Ab aapne bilkul sahi kaha
Dadima: Itne saal hogaye hume India chodkar par Maan ne kabhi bhi apni yaado ko dhundla hone nahi diya hume ab bhi yaad hai kitna tadpe the wo jab humne unse kaha tha k hum humesha k liye desh chodkar jaa rahe hai
Adi: Magar tab haalat hi kuch aise the na Dadi hum aur kar bhi kya sakthe the
Dadima: jaante hai bete par Maan ki aakhon mein jo dard saaf jhalak raha tha wo hum jhutlabhi toh nahi sakthe thena... wo yaha toh aa gaye par apna dil apna sukoon wahi India mein chod aaye
Adi: Issliye toh aaj jab hum humesha k liye India wapas jaa rahe hai Bro itne excited hai
Dadima: Haan Adi aur excited ho bhi kyun na apne bachpan k pyar se itne saalo baad rubaru honge toh khushi toh hogihina unhe
Adi: Ji Dadima
Dadima :Chaliye Adi hum apni packing kar lethe hai
Adi :Waise Dadima aapne Uncle ko toh bata diya haina k hum wapas aa rahe hai
Dadima: Ji bete bata diya
Meanwhile,
Storeroom
Maan was removing his childhood toys
Maan: Main wapas aa raha hoon Geet tumhara Maan wapas aa raha hai
He takes out a photograph. It was the childhood photo of Maaneet
Maan: Main jaanta hoon Geet tum bhi utni hi tadpi hogi jitna k main tadpa hoon tumse milne k liye. Itne saal beet gaye par maine tumhari har ek yaad samalkar rakhi hai
Maan: Mujhe ab bhi yaad hai jab main tumse aakhiri baar mila tha tab tum kitna ro rahi thi aur baar baar mujhse keh rahi thi k mujhe chodkar mat jau aur main chahkar bhi tumhare aasuo ko rokh na sakha
Maan: par Geet ab main wapas aa raha hoon tumhara Maan ab tumse dur kabhi nahi jaayega
He kisses her photograph
Maan :Waise Geet ab toh tum badi ho gayi hogi haina... sochtha hoon kaise dikhthi hogi tum... ek baat tumhe batadu tumhara Maan kafi handsome ho gaya hai kaafi saari ladkiyaan marthi hai mujhpar par maine kabhi bhi tumhari jagah kisi aur ko nahi di Geet...
Maan: Main jaanta hoon tum bhi behet khoobsurat ho aur dekh lena main tumhe pehli nazar mein hi pehchaan lunga
Maan: Tum puchogi nahi k kaise pehchanunga?
Maan: ye toh mere liye kafi aasan hoga maine bhale hi tumhe na dekha ho par aaj bhi tumhari wo maasum aakhein mujhe yaad hai aur ye toh main dave se keh saktha hoon k tumhari jaisi pyari aakhein iss duniya mein kahi aur nahi hogi bus unhi se tumhe pehchaan lunga
Adi :bro jaldi bahar aaiye Dadima aapko bula rahi hai...bhabhi se baad mein baat kar lijiyega
Maan started smiling
He took all the things and packed it in his bag
Same time in India
Mohinder: Rano aaj Dadima wapas aa rahi hai kitni khushi ka din hai aaj
Rano: Haan itne saal hogaye unse mile hue
Mohinder: Jaanti ho Maan ka naam top k businessman mein gina jaata hai
Rano: Haan garv hotha hai ye sunkar
Mohinder: Waise Geet kaha hai usse bataya k nahi k uska dost wapas aa raha hai
Rano: Wo kabhi bhi hume batakar nahi jaati k wo kaha jaa rahi hai yun kaho humara hona ya na hona ab uske liye koi maiyne nahi raktha
Mohinder: Iss haalat k zimedar bhi toh humhi the na...hum hi paise kaamane mein itne busy ho gaye k apni bachhi ko kabhi apna pyar aur time nahi de paaye
Rano: Haan magar hum se sab ussi k liye kar rahe the kya pata tha k jiske liye ye sab kar rahe hai wohi humse dur ho jaayegi
Mohinder: Maan wapas aa raha hai toh thodi umeed si bannd rahi hai shayad humme humari maasoom si beti wapas mil jaaye
Rano: Umeed toh mujhe bhi hai kitni gehri dosti thi dono k beech mein agar Maan yaha hotha toh Geet kabhi humse dur nahi hothi
Mohinder: Khair ab beethi hui baato k baare mein sochkar khoon jalane se achha hai hum aage ki soche
Rano: Ye baat aapne thik ki
Mohinder: Chalo ab kuch kaam kar lethe hai
Rano :Aap kaam kar lijiye main zara kitchen ho aathi hoon Dadima k liye unka favourite khana banalethi hoon
Mohinder: Thik hai
Meanwhile
Shasha: Ye shart tu puri nahi kar paayegi haar maan le yaar
Geet: Geet ne kabhi haar maanna nahi seekha ye sharth tho main yun chutikyon mein puri kar sakthi hoon
Shasha: Soch le Geet main tujhe warn kar rahi hoon
Geet: Tujhe dar lag raha hai toh jaakar kisi kone mein bait mujhe tang mat kar
Geet: Listen u Arjun mujhe tumhari shart manzoor hai
Arjun: Agar tum haar gayi toh tumhe mujhe kiss karna hoga yaad haina
Geet: Kiss wo bhi tum jaise loser ko sapne mein bhi nahi kyunki main haarne nahi wali jeetungi toh main hi aur haarne k baad tum meri jhoothi par apni naak raghdoge
Arjun: Done
PRECAP: Maan's arrival and Geet's bet
Pls press d like button n do comment
love-Piya
Part 2: Page 28
29