Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
MAIRA IS SAD 😞28.7
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
Geetanjali vs Abhinav
YRKKH to take a generation leap!!!
Gen 5 Storyline
Maa esi nahi hoti…
Has Kajol forgotten how to act?
Who is Best for gen 5
Did she really say that?
Anyone else born in the 80's?
If you had the power of vanishing one nepo kid?
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
Aneet Padda Next Movie With Fatima Sana Shaikh
Half Girlfriend: anyone watched it?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
CRYING FAMILY 29.7
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Originally posted by: zaara2212
Piya will you be updating
Khurana Mansion
Dadima: Maan ne ye thik nahi kiya unhone Geet par itna bada ilzaam laga diya ek pal k liye bhi ye nahi socha k Geet k dil par kya beet rahi hogi
Dev: Unhone ek baar bhi Geet ko apni safai mein kuch kehne ka mauka tak nahi diya bus faisla suna diya k wo galat hai aur usne Bro ka vishwas toda hai
Annie: Vishwas toh bhai ne Geet ka toda hai kitna bharosa karti thi wo unpar galat toh bhai hai ek baar bhi unhe Geet ki maasumiyat nazar nahi aayi
Maan arrives
Maan :Maasumiyat nahi Annie chalaki kaho badi hi shatir ladki hai MSK ko bhi bevakoof bana diya hmm' main toh sahi mein uspar bharosa karne klag gaya tha magar'
Dadima: Magar kya Maan hume toh laga tha k shayad aapko apne kiye par pachtava hoga magar nahi aap toh Geet k khilaf ab bhi bole jaa rahe hai
Dadima: Agar itni kadwahat bhari baate aap yaha kar rahe ho toh najaane aapne office mein kya kuch kaha hoga
Dev: Sirf kaha nahi Dadima Bro toh Geet ki bejathi kar rahe the wo bhi pure office staff k saamne inhone toh uske charitra pe bhi sawal uthaliya
Maan: Maine kuch galat nahi kaha Dev aur waise bhi mere paas sabut the jo k cheek cheek kar keh rahe the k Geet mere bharose k layak kabhi thi hi nahi
Annie: Sabut galat bhi toh ho sakthe hain na?
Maan: Haan ho sakthe hai lekin Geet wakai mein begunah thi toh phir ussne Arjun se milne ki baat mujhse kyun chupai
Dev: Iske peeche shayad koi wajah hogi
Maan: Ye sab bahane hai Dev aur waise bhi main tha na uske saath mere rehthe usse kis baat ka darr tha wo bejijak mujhse koi bhi baat kar sakthi thi
Dadima: Baat toh wo tab karti na jab aap unhe bolne ka mauka dethe aaj bhi toh aapne bina kuch sunehi apna faisla suna diya
Maan :Aaj jo kuch bhi hua mujhe uska koi bhi afsoos nahi hai aur main nahi chahtha k iss ghar mein uss ladki ka koi bhi zikr kare
Dadima :Maan..
Maan: Dadima mujhe neend aa rahi hai main sone jaa raha hoon Good night.
Maan goes to his room and locks the door
Dadima: Inhe toh zara sa bhi afsoos nahi hai magar hum Geet ko inki zindagi se yun dur nahi jaane denge
Annie: Hum kar bhi kya sakthe hai Dadi
Dadima: Hum Geet ki begunahi saabit karne mein unki madat karenge ek baar sach bahar aa gaya toh Maan ko apni galti ka ehsaas zarur hoga aur wo Geet ko puri izzat k saath iss ghar mein le aayenge
Dadima: Dev aap ek kaam kijiye kal Adi ko lekar Geet se miliye aur pura mamla samajne ki koshish kijiye hume yakeen hai k koi na koi raasta zarur bahar aayega
Dev: ji Dadima
After some time
Everyone goes to sleep
Maan takes his car and goes out
He stops his car at one place and looks at the moon
Pls listen to this song: https://www.youtube.com/watch?v=bY5-xqBhPxE
Jab jab tere paas main aaya, ik sukoon mila
He picturised Geet's beautiful face in the moon' her smiling innocent face which gave a new life to him
Jise main tha bhoolta aaya, woh wajood mila
He wanted to caress her angelic face right then' he wanted to kiss those magical eyes of hers which gave peace to his soul
But slowly her smile vanished.. her eyes were reflecting pain.. she was going away from him.. Maan immediately directed his hand in that direction to stop her from leaving ...but
Geet goes and stands near the window
Hmm'Dil sambhal ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
Geet too was recollecting the incidents where Maan was her pillar of strength' his promises to be there for her forever and ever' As she recollected those beautiful memories she started smiling
Dil yanhi ruk ja zara Phir mohabbat karne chala hai
But soon she realized how in a fraction of seconds her dreams were shattered'
Aisa kyun kar hua, jaanu na main jaanu na
It was raining outside each and every thing was reminding him about Maan
Maan was also trying to locate Geet in these moments. He remembered their first rain dance'she was looking so innocent and pure while dancing in the rain
Dil, yenhi ruk ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
She remembered the way Maan had carried her in his arms as she was unable to walk
Jis raah pe, hai ghar tera Aksar wahan se haan main hoon guzra
Maan went ahead and tried to touch her but then realized that she was not here
Shayad yakeen, dil mein raha Tu mujkho mil jaaye kya pataa
He went ahead and saw a stall. He remembered the way Geet was eating golgappe
Kya hai yeh silsila, jaanu na main jaanu na
He was happy to see the childish antics of Geet
Dil, sambhal ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
Geet took a piece and offered it to him
Dil, yenhi ruk ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
He opened his mouth happily to accept it..but then tears started rolling down his cheeks'she was not there'she was not there
Kucch bhi nahin, jab darmiyaan Phir kyun hai dil tere hi khwaab bunta
Meanwhile Geet goes and opens the fridge to remove water
Chaaha ki de, tujhko bhulaa Par yeh bhi mumkin ho na saka
She sees an ice cream pack in the freezer. Again she remembers the face of Maan and their ice cream date
Kya hai yeh maamla, jaanu na main jaanu na
She takes a spoonful of it and looks lovingly in a direction
Dil, sambhal ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
But soon she realizes that she was all alone
Dil, yenhi ruk ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
Her Maan had left her all alone
Dil, sambhal ja zara Phir mohabbat karne chala hai tu
She goes to her room and removes the saree that Maan had selected for her to wear at the function. She hugs it and goes off to sleep
Meanwhile Maan too returns back but instead of going to his room he goes to the outhouse and finds a photo of Geet
He hugs it and goes off to sleep
Now this part is a dream
Maan: Mujhe maaf kardo Geet... apne Maan ko maaf kardo
As soon as he uttered these words Geet's sleep was disturbed
Geet: Maan.. mujhe aisa kyun laga jaise k wo mujhe bula rahe ho..
Tears started rolling down her cheeks
Geet: Maan aap thik hai na
Maan: Haan Geet main thik hoon par tumhe kya hua tumhari aawaz mein ghabrahat kyun hai
Geet: meri aawaz mein ghabrahat ho bhi toh ab aapko isse kya aapko toh mujhse koi bhi matlab nahi haina ?
Maan: Aisa nahi hai Geet tum mujhe galat samaj rahi ho
Geet: Aisa nahi toh phir kaisa hai Maan..aap hi kaha karte thena k aapko mujhpar bharosa hai toh kya itna hi bahrosa tha aapko mujhpar jo itne aasani se tuth gaya
Maan: Aisa mat kaho Geet.. main aaj bhi tumpar utna hi yakeen karta hoon jitna k pehle karta tha magar...
Geet: Maut toh aaj mere naseeb mein hai Maan.. aapki baate mere dil mein teer ki tarah chub rahi thi..aaj meri halat kuch aisi hai jaha pe naahi hi main zinda insaan kehla sakthi hoon aur naahi ek laash
Maan: Aisa mat kaho Geet main jeete jee mar jaaunga mere rehthe tumhe kuch nahi ho saktha
Geet: Yakeen toh mujhe bhi tha iss baat ka magar aaj haalat kuch aise hai k aapko mera saath gawara nahi hai
Maan: Geet haalat chahe jobhi ho main tumhe kho nahi sakhta main jaanta hoon aaj shayad tumhe meri baate khokli lag rahi ho magar mera vishwas karo Geet tumhare bina main adhura hoon
Geet: Vishwas karna chahthi hoon Maan par...
Maan: Jaanta hoon shayad tum dubara mujpar yakeen na kar pau magar maine jobhi kiya wo zaruri tha kyunki.
Geet: Kyunki?
Maan: Wajah main tumhe abhi nahi bata saktha Geet par kaash tum kuch pal k liye mujhpar yakeen kar paathi..kaash
Geet: Mera yakeen dagmagaya hi kab tha Maan jo k mujhe usse dubara khada karna pade
Maan: Geet kya tum sach keh rahi ho?
Geet: Maan najaane kyun aaj bhi mera dil aapke khilaf gawahi dene ko raazi nahi hai..aaj bhi yahi lagta hai k aap dur hokar bhi mere paas ho
Maan: Inn duriyon ka zimedar bhi toh main hi hoon kaash main uss waqt ko wahi rokh paata
Geet: Kaash aaj ka din humari zindagi mein kabhi aata hi nahi
Maan: Kaash main uss Arjun ko humesha k liye humari zindagi se dur kar paata toh shayad
Geet: toh shayad aaj aap mere paas hothe mere dil k kareeb
Maan: Tum bhi toh mere aakhon k saamne hothi
Geet: Kya ab hum dubara kabhi mil paayenge?
Maan: Bharosa rakho Geet ye duriyoon ko main jald hi khatm kar dunga bus ho sake toh thoda yakeen zarur rakhna apne Maan par main aaj bhi apne baat par kayam hoon main tumhara saath kabhi nahi chodunga..kaash tum yakeen kar paati
Geet: Yakeen hai ..khud se bhi zyaada..haalatho ka rukh badlane ka main intezaar karungi Maan.. aapki Geet aapka intezaar karegi Maan
Maan: Apna khayal rakhna Geet..main jald hi tumhe lene aaunga
NEXT DAY
Maan left KM early in the morning but he did not go to KC
He went to meet someone secretly
Meanwhile,
Dev and Adi come to meet Geet
Dev: Geet Bro ne tumhare saath jo kuch bhi kiya uske liye main tumse maafi maangta hoon
Geet: Maafi maangni ki koi zarurat nahi hai Dev haan ye baat sach hai k mujhe unki baato se tesh pauchi magar iss baat ki khushi bhi hai k wo mujhpar itna bharosa karte the k wo iss baat ko bilkul bhi bardassh nahi kar paaye
Adi :Geet ek baat batau tum Arjun se kab mili?
Geet: Adi sir Arjun se meri mulakat uss din hui jis din main tender k documents submit karne gayi thi
Dev: Magar documents submit karne k liye Bro bhi toh tumhare saath aanewale thena
Geet :Haan wo aanewale the magar ussi waqt hume information milithi k kisi site mein koi problem ho gayi hai aur kyunki aap dono bhi office mein nahi the issliye Maan khud site par chale gaye
Adi :Magar uss din toh kisi bhi site mein koi problem nahi thi tumhe ye information kisne di?
Geet: Ye information toh usne di thi..
Dev: Kisne Geet naam batau
PRECAP: And the traitor is😡😡😡😡😡
PLS PRESS THE LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love- Piya
[NOCOPY] Cover credits to ExoticDisaster C H A P T E R 1 After the completion of the final year exams, Mamta insisted Ranveer to come home from...
Author's Note: Based on the Prompt by @heavenlybliss in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Person A's gets alliance of...
Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348
29