1) Zindagi mein koi kabhi aaye na rabba
Aaye jo koi to phir jaye na rabba
Dene ho agar mujhe baad mein aansoon
Toh pehele koyi hasaaye na rabba
Jaate jaate koi meri khushiyon ko le gaya
Suni suni akhiyon ko gham koi de gaya
Aas jo lagayi hai, aankh bhar aayi hai
Itna bhi koi, sataaye na rabba
Zindagi mein koi kabhi aaye na rabba
Dil laine waale pe zor nahin chalta
Pyaar ka ye sika kahin aur nahin chalta
Yaad teri aayi hai tu harjaai hai
Itna bhi koyi tadpaaye na rabba
Zindagi mein koi kabhi aaye na rabba
Aaye jo koi toh phir jaaye na rabba
Dene ho agar mujhe baad mein aansoon
Toh pehele koi hasaaye na rabba
2) Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Mere haalaat aise hai Ke main kuch kar nahin sakta
Tadapta hai yeh dil lekin Main aahein bhar nahin sakta
Zakhm hai hara hara aur tum Chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Zamaane mein bhala kaise Mohabbat log karte hain
Vafa ke naam ki ab to Shikaayat log karte hain
Aag hai bujhi bujhi aur tum Lau jalaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Kabhi jo khwaab dekha to Mili parchhaaiyaan mujhko
Mujhe mehfil ki khwaahish thi Mili tanhaaiyaan mujhko
Har taraf dhuaan dhuaan aur tum Aashiyaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho