Woh mile the saath chalne ke liye,
Woh chal pade bus apna ahenkar liye,
Mile the yoon, jaise takraaye ho kyon,
Nafrat ko dil mein liye takraye har mod par yoon,
Phir chali ek hawa pyaar ki,
Bandh gaye woh ek dor mein ankahi,
Woh gusse se bhara,
Woh shararti thi zara,
Woh chale toh duniya tham jaaye,
Woh ruke toh phool khil jaaye,
Uksi baatein chaali kar jaati,
Uski baatein muskaan le aati,
Woh jeevan se door andhere mein jeeta,
woh zindagi ko gale lagaye har ko peeti,
Zindagi ke gamo ko usne apna sahara banya,
Zindagi se lad kar usne jeena sikha diya,
Mile the jab toh hua ek afsana,
Na jaana tha ki mile hain ek diwaani ek diwaana,
Har mod par zindagi ke woh us se takra jaati,
Har baat bin samjhe maan jaati,
Woh Usse nafrat karta chala gaya,
Woh dil mein dard hothon pe muskaan liye chal padi,
Zindagi ke har gam mein uske chav bana,
Har mod pe usne na paya kabhi khud ko tanah
Ek anjaani dor se bandhati chale gaye,
Ek duje ke naam khushiyan karte chle gaye,
Kabhi takraye andhi ki tarah,
toh kabhi simte paani mein zara,
Aag lagye phir waqt ne aise,
woh tha pyaasa, woh door zara si,
Chale the toh rah par dono ek saath,
Na jaane kab choot gaya woh haath,
Phir kismat ne ek dhage mein piroya,
Samjhe the dard ab hoga paraya,
Par phir ek baar taqdeer ke aage har gaye,
Woh toh humein apni yaadon se bhula gaye,
Ab kaise jiye hum unke bina,
Toota ho jab har sapna,
Na raha is jag mein koi apna,
Dua nikle bas yeh lab se humare,
saath chal pade ab is dariya ke kinaare,
Phir wahi haseen raat ho,
jab aankhon mein he baat ho,
Na rahna pade door ab tumse,
Ho gaye hum aapke aur aap humse...
Edited by mchopra - 14 years ago