INTRODUCTION CHAPTER: Aaj ke din shekar ganguly ke liye sabse khaas din tha. Pandra saal badh voh apne dost bimlindo se milne wala tha.
Shekar pandra saal pehle paise kamane keliye apna desh, apna dosth sab kuch choodkar US aa chukka tah, aur aaj usne ek buisness empire khada kardiya, aur ganguly group of industries ke MD hai. Par hamesha se apne dost ki kami mehsoos kartha tha, isiliye hamesha ke liye India mein settle hone ke liye apna buisness India shift karne ke badh, aaj apni pore parivaar ke saath India vapas ja raha tha.
Bimlindo ka haal bhi kuch ehsaa tah. Saalon badh apne dosth ko milne vaala hai, isiliye uska kushi ka tikana nahi raha. Jabse shekar ne phone pe kaha ki voh vapas aa raha hai, jab se unke svaagath ki tayaari mein laga tah.
Laboni aur nilanjana bhi bohoth kush the, aur unke man mein ek aur bath chal rahi thi. Voh chahthe the ki indono ki dosti rishtadari mein badal na chahiye. Par ek ajeeb sa dar bhi tah ki agar bacho ne naa kardiya toh kya hoga, lekin indono ko kya patha ki India jaana ki sabsa zyada jaldi jhanvi ko tha aur taposh bhi apna jhanvi ke liye intezar kar raha tha.
Taposh aur jhanvi bachpan mein ache dost the. Bohot kareeb dost nahi the par hamesha se ek doosre ke liye kuch khaas mehsoos karthe the. Jhanvi aur taposh ko bachpan mein pyaar ka mathlab patha nahi tha, par jab vo log pyaar ka mathlab samajh chuke the ush din unke ehsaas ke bare mein patha chala aur ush din se leekar aaj thak sirf ek dusree ko chaha hai. Dekthe hai inki pyaar kaisi rangeen hota hai.
Yeh tha ghar ke sabse bade bache taposh aur jhanvi ki kahani.
Jab bade kush horahe vapas jane keliye, ek aur insaan tha jis ka dil yeh khabar sunke puri tharah se toot gaya. Voh insaan koi aur nahi ganguly parivaar ke sabse chota aur sabbse laadla robindo ganguly urf Robbie
Voh apni sare girlfriends ko miss karne ke khayal ne uska dil todh diya. Par voh toda kush bhi tha, kyonki abh India mein toda naye ladki yan milengi na. Yeh US mein hi payda kuha tha, aur Banerjee ke parivaar ke bara mein kuch bhi nahi patha tha. Sirf kuch purane photos dekhe hai aur use itna patha hai ki unke theen betiyaan hai. doh logh usse badi aur ek ladki uske umar ki.
Robbi ki umar ki ladkhi koi aur nahi moli thi jog banerjee parivar ki pari thi. Ma, bauji aur behno ki laadli. Ise ganguly's ke bare mein sirf ithna patha hai ki ve uske bauji ki sabse ache dost hai.
Sabh bohuth kush the, par is kushi mein bhi ek gham tha, ek kahmi tha. Ghar ki doosri bte ki na mojoodagi. Anurag canada apna MBA karne ke liye chala gaya tha.
Nilanjana pehle anurag ko India mein hi MBA karne ke liye kaha , par ushe scholarship milne ki vajah se Canada chala gaya.
Yeha anurag kushi mein shaamil nahi tha, aur usi tharah taani bhi shaamil nahi thi. Voh bhi apni MBA khatam karne keliye London chali gayi thi.
Anurag aur taani bachpan mein bohoth ache dosth the. Hamesha apne dil ki bath ek doosre ko bathathe the. aur jab unko patha chala ki anurag US jar aha hai, toh in logon ka dil toot gaya, par yeh log hamesha door hokar bhi paas mein hi the. Bachpan mein mails begha karthe the jab vaquth beetha gaya, ek doosre se alag hote jarahe the. Dono alga se zindagi jee rahe the, naye doston ke saath, alag desh mein. Par hamesha ek doosre ko yaad karthe the. Yeh dono chahe ek alag si zindagi kyon na jee le, par ek doosre se kabhi judaa nahi ho sakte.
Abh dekhte hai ki is kahani ka kya anjam hota hai?? kya anurag aur taani kabhi ek doosre se milenge. Kya jhanvi aur taposh apni dil ki baath ek doosre ko batha payenge? Robi ka jaadu kya mauli par koi asar karegi?
Yeh sabh ane wale kuch dino mein patha chalega đ
-- gunjan
267