gang os on pg 114 raksha bandhan special - Page 32

Created

Last reply

Replies

671

Views

86.9k

Users

42

Likes

1.2k

Frequent Posters

--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: mjhtmayursajan

precap main story main bahut difference hain actually sab log shaadi ke liye kaafi excited hain main isiliye keh rahi thi shaadhi ke baad story intersting nahin todhi complicated ban jayegi main kya karoongi yeh toh tumhein dekhna padega woh story is story se kaafi different hogi aise turns milenge ke expect karna mushkil ho jayega main toh bas yeh keh rahi hoon ki shaadhi meri story ki end nahin hain by the way thanks for your comments

precap was just a warning story alag hain so wait and watch actually maine sab sirf isliye kahaan kyunki baad main main iske baare main explanation nahin doongi apne os main i will just continue with my story i always mentioned baujis fear in every point of my story but no one even observed i am not even saying what is going in his mind and what is going to be wrong with sayank and also i told some problem in benia's life that problem also no one concentrated but in my future updates all these things play a major role. Ya regarding gunjan i am saying that she wanted her di to have a good husband in her life but she never thought that her dis marriage will seperate her from her di she is a girl who cant think about a second without her di but now her di will leave forever how will she react you need to wait and watch
mayuloveu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 14 years ago
I understand what are u trying to say, but plz dont separete mayur, and sajan. plzzz
-DreamzGirl- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 14 years ago
thanks dear for your clarification
agar tumhe bura laga ho to sorry but you are writing very well keep going and we are waiting for your update
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
PART 32
( mayank joins his dad he also becomes busy in the work)

M-goodmorning

N-itni subah kyun call kiya

M-jab bhi call karta hun yehi poochti ho tumhein pyar se baat karna aata nahin hain kya

N-mayank tum subah subah ladna band karke point pe aaoge waise bhi mujhe bahut kaam hain

M-main bhi yahaan kali nahin baita hun main toh tumhein drop karne ka offer dene ke liye call kiya

N-mujhe tumhari offer nahin chahiye main chalijaongi

M-mere saath kyun nahin chalogi

N-mayank tumse kaha na mujhe ladne ka time nahin hain waise bhi tum tak jaoge ek toh office ka kaam dusri taraf mujhe chodna double duty ho jaega

M-mujhe koi problem nahin hain

N-mayank please jab hum dono ka raasta alag hain hum ek saath nahin chal sakte

M-tum kehna kya chahti ho kya ab hum dono ek saath nahin hain kya tik hain ab main tumhein disturb nahin karoonga bye

N-mayank iska gussa bhi na naak pe chada rehta hain khud ko genius samjta hain par hamesha baaton ka galat matlab nikhalta rehta hain ab ise kaise samjao mera kya matlab hain yeh ladka bhi na ek na ek din mujhe paagal kardega

G-kya hua di kisse baatein kar rahi ho

N-meri soul se ek wohi hain jo mujhe sahi samjtha hain

G-jeeju se ladai ki

N-usne utna chance nahin diya pehle hi phone kaat diya

G-ab kya karogi

N-sham ko miloongi na tab uska class zaroor loongi

G-are you sure mujhe nahin lagta aap ko sham ko ladne ki stamina bachi rahegi

N-are haan gunjan main toh bhul hi gayi mayank ko sham ko pick karne ke liye kehna tha

G-ab karke kaho na

N-ab kiya na toh saara stamina ab hi khatam ho jayega ek kaam karti hun mom se kehdoongi waise tujhe pick karne ke liye sam aaraha hai na

G-main call karoongi toh mera stamina bhi waste ho jayega dadi se kehdoongi

(at breakfast table)

(mayank is still in anger)

Shilpa-mayu kya baat hain bahut gusse main hain(he is silent)waise mujhe tumse kuch kehna tha sham ko aate waqt nupur ko lekar aana

M-kis khushi main(staring angrily at shilpa)

Sh-aaj karva chauth hain na isliye

M-main use nahin laonga agar aana hain toh khud aajayegi

Sh-usne tere liye vrat rakha hain tu uske liye itna nahin kar sakta tujhe uski bilkul bhi parvah nahin hain

M-aapko misunderstanding hui hain mujhe uski nahin use meri parvah nahin hain isiliye jab dekho mujhse ladti rehti hain waise bhi jab use main call karke office drop karne ke baare main poocha toh nakre maar rahi thi ab sham ko kaise aayegi

Sh-mayu usne mujhse khud phone karke kahaan tumse kehne ke liye

M-usne aapko phone kiya

Sh-haan kiya isme kya galat hain

M-woh mujhse directly bhi toh keh sakti thi na lekin nahin aapko beech main laya aap hi dekhiye use meri kitni value hain

Sh-tu lad raha hain isiliye usne mujhe bataya tu use pick karega ya nahin

M-sochke sham ko bataonga(he leaves from there)

Sh-nupur tik keh rahi thi ise sudaarna mushkil hi nahin naamumkin hain pata nahin us bechari ka kya hoga

(at shergil house)

Da-samrat sham ko aate waqt gunjan ko lekar aana

S-kisliye dadi

Da-gunjan tik hi keh rahi hain tu aaj kal use bahut ignore kar raha hain

S-dadi mera woh matlab nahin hain maine toh bas aise hi poocha

Da-aaj karva chauth hain aur usne tere liye vrat rakha hain

S-par chashmish ne mujhse kuch nahin kahaan

Da-kaise kahegi tu usse baat karega tab kuch kahegi par tere paas toh usse baat karne ka time nahin hain

S-dadi aap jaanti hain na main bahut busy rehta hoon

Da-itna busy ki tu usse phone pe bhi baat nahin kar sakta pyar ke rishte bahut nazook hote hain agar aisa hi chalta raha toh sab kuch bikhar jayega

S-aapko kya lagta hain main usse pyar nahin karta main jo bhi kar raha hoon hum dono ke liye hi kar raha hoon

Da-jaanti hoon par uska khyal rakhna bhi teri hi duty hain na kal jab shaadi ke baad is ghar main aayegi sirf tere liye aayegi tab bhi tu aise hi rahega kya samrat isse pehle ki dooriyan bad jaaye sambhal jao

in the evening

S-chashmish main tumhara baahar wait kar raha hun jaldi karo

G-aagayi baba(he drops his phone busily staring at her she moves her hand)kaha kogaye

S-tum bahut achi lag rahi ho

G-i think do saal baad yeh tumhara pehla compliment hain aaj karva chaut nahin hota toh main tumhein treat zaroor deti

S-i am sorry

G-kyun tumne jooth kahaan mujhe toh laga main sach main achi lag rahi hoon

S-maine tumhe jaane anjaane bahut takleef diya iske liye sorry

G-main tumse naaraz nahin hoon main samaj sakti hun jab main kaam kar rahi hun mujhe tumhare situation ka pata chala pata hain office main kine kitne ajeeeb cheez hote hain ek ladki hain(she is continuosly saying her office stories he is busily watching her changing expressions suddenly he realises)

S-chashmish tumne jooth kahana ki tumne vrat rakha

G-samrat tum kehna kya chahte ho

S-nahin toh kya kab se continuously bole jaa rahi ho agar vrat rakha hoga toh tumhara muh band rehta

G-woh toh tumhein itne din baad mujhse baat karne ka time mila isiliye khushi se stamina aagaya

(he catches her nose)

S-tum bahut badal gayi ho

G-tum bhi(she smiles ad catches his hand)ab chalna hain ya aise hi bak bak karte rahoge

S-main bak bak kar raha hun ya tum chalo

(she was about to get into car)

S-chashmish ek minute

G-ab kya hain

(he kisses her forehead)

S-i love you main bahut lucky hoon jo mujhe tum mili

G-second compliment(she smiles he also smiles seeing her sweetness )love u too

(both leave)

nupur is busily waiting he didn't come atlast he comes she silently sits in the car

M-jaanbuz kar late kiya

N-jaanthi hun

M-tum kaise jaanti ho

N-main tumhare rag rag se wakif hun (angrily)

M-oh really subah kuch keh rahi thi ab kaise mere saath ghar aarahi ho

N-maine subah jo kahaan wohi ab bhi keh rahi hoon subah hum dono ke manzil alag the aur ab hum dono ke manzil ek hain

M-matlab

N-khud ko genius samjate ho itna bhi nahin samje waise bhi tum samjoge toh galat hi samjoge mere kehne ka matlab ye hain ki subah tumhein tumhare ghar se tumhara office jaana hain aur mujhe mere ghar se mere office jaana tha aur ab hum dono ko hi tumhara ghar jaana hain kuch samaj main aayi meri baat

M-par jab maine kaha main manage karloonga toh tumne mana kyun kiya

N-mayank please hum is topic ko yehi chod denge already subah se bhuki hoon mujh main bilkul bhi stamina nahin hain

M-thanks

N-thanks kisliye

M-mere liye vrat rakhne ke liye

N-thanks kehne ki zaroorat nahin hain tum bhi kal mere liye bhuke raho mujhe khushi hogi(she smiles naughtily)

M-tum meri taang keech rahi ho

N-haan mujhe pura right hain tumhare taang keechne ke

M-abhi rights nahin mile hain

N-bahut jaldi mil jaayenge(she catches hand and keep her head as usual)

(both sajan and mayur reach home)

sayank take gunur to terrace

N-tum mujhe yehaan kyun laaye ho

M-todhi der akele baat karenge isiliye

N-mayank sab kya sochenge mere baare main

M-kuch nahin sochenge tum meri fiance ho yeh baat sab jaante hain(they sit on the swinging chair she catches his hand and keeps her head over him and sleeps)

M-nupur kya kar rahi ho

N-bahut tak gayi hun subah se kaam karke isiliye so rahi hoon

M-tum neeche hi teek ho main yeha tumhein sone ke liye nahin laaya

(she doesn't reply busily sleeping he is staring at her )

M-tum aise nahin maanogi(he takes leaf and puts in her ear she gets irritated and gets up)

N-mayank yeh kya kar rahe ho

M-tumhein uta raha hoon abhi sone main bahut time hain pata nahin office main kya kaam karti ho

N-tumhein toh main nahin chodungi(he runs she tries to catch him)

G-lagta hain aaj main kuch jyada hi lucky hoon

S-chashmish tum aise kyun keh rahi ho

G-sach main samrat isiliye tum mujh par itna pyar barsa rahe ho

(he catches her wrist brings her closer)

S-tum kehna kya chahte ho main tumse pyar nahin karta

G-tum office main kaam karte karte hitler ban gaye ho isiliye mujhe bhi employee ki tarah treat kar rahe ho

S-agar tum meri employee hoti toh mere itne kareeb nahin hoti

G-par tumne mera haath aise hi pakda hain

S-main hamesha tumhein aise hi pakadta hun lagta hain bhul gayi'

G-tumhein yaad hain mujhe toh aaj tum shock pe shock de rahe ho

S-chashmish kya hua tum kabse aise kyun baat kar rahi ho maine sorry kaha na

G-samrat tum bhi na itni si baat ka bura maan gaye main toh tumhe normal banane ki koshish kar rahi hoon tum aise chup ache nahin lagte mujhe woh flirting karne waala samrat hi acha lagta hain

S-acha tik hain tumhare liye main waisa hi rahoonga

G-iska matlab ye nahin ki tum apne office main ladkiyon ke saath flirt karo tum flirt karoge toh sirf mere saath aur kisi ladki ke saath flirt kiya toh jaan se maar daalongi

S-chashmish tum bhi na sach main paagal ho gayi ho I think nupur ke sangat ka asar hain

G-mere di kokuch kaha na dekho

S-sab kuch badal sakta hain lekin yeh kabhi nahin badlega

G-gunjan bhushan kabhi nahin badlegi

S-lekin gunjan shergil badal sakti hain(goes back and hugs her from back and puts his head on her shoulder)

G-woh toh aage pata chalega ab neeche chale

S-todhi der rukho na(moves her hair side and kisses on her neck )

Chand chupa badal mein,

Sharmake meri janaa,



(she runs from there )

Chand chupa badal mei.n,

Sharmake meri janaa,

(he opens his shoulder she comes and hugs him)

Seene se lagaja tu,

Balkhake meri janaa,

Ghumsum sa hai,

Gupchup sa hai,

Madhosh hai,

Khamosh hai,

Ye samaa haa ye samaa,

Kuch aur hai,

O oh oh



Chand chupa badal mein,

Sharmake meri janaa,

Seene se lagaja tu,

Balkhake meri janaa,

(someone calls they go down he is following her she is busy because all want to talk to her he drags her inside his room and pushes her to wall he comes near to her just den she says some one has come he turns back she escapes)

Nazdekiya badjaane de

(both run round the room)

Are nahi baba nahi abhi nahi nahi

Ye duriya mith jaane de

Are nahi baba nahi abhi nahi nahi,

Dur se hi tum,

Jee bhar ke dekho



Tum he kho kaise dur se dekhu



Chand ko jaise dekhta chakor hai,

atlast he catches both fall on bed

Ghumsum sa hai,

Gupchup sa hai,

Madhosh hai,

Khamosh hai,

Ye sama ha ye sama,

Kuch aur hai,

O ohoh

nupurs duppata flies and falls on mayank's face she just turns back he removes from his face and puts it on her

Chand chupa badal mei.n,

Sharmake jaane janaa,



Seene se lagaja tu,

Balkhake meri janaa,

Aaja re aaja chanda

Ki jabatak tu na aaye ga

Sajanaa ke chehre.n ko dekhne

Ye mantersa jayega,

mayank

Na na chanda tu nahi aana,

Tu jo aaya to,

Sanam sharma ke kahi chala jayena,

'Chorus'

Aaja re aaja chanda

Tu lakh duya ye painga,

'mayank'

Na na chanda tu nahi aana,

Varna sanam chalaa jayegaa

she tries to go he catches her duppatta

Achal mein tu chup ja ne de



Are nahi baba nahi abhi nahi nahi,

he goes near her and hugs her from back

Zulfo mei.n tu kho jaane de

Are nahi baba nahi abhi nahi nahi,

she turns her face towards him putting hand on his face

Pyar to naam hai,

Sabar ka hamdum,

he kisses her hand

Wohi bhalaa bolo kaise kare hum,



Sawan ki rah jese dekh morr hai,

she tries to go he doesnt leave her hand she kisses his cheek he leaves her she goes down looking at him

Ae,rehene bhi do jaane bhi do ab chudo na

Yo modo na

Ye sama ha ye sama kuch aur hai,

sam is standing in front of gunjan

Aaya re aaya chanda,

Ab har khwayish puri hogi,

Chandani raat mei.n har sajani apne,

Sajanaa ko dekhe ki.

Mayank is standing in front of nupur

Aaya re aaya chanda,

Ab har khwayish puri hogi,

Chandani raat mei.n har sajani apne,

Sajanaa ko dekhe ki.



(in the night sam drops gunjan she catches his hand and sleeps how nupur does)

G-tumhare liye ek gud news hain

S-kaisa gud news

G-ab main tumhein aur pareshan nahin karoongi

S-chashmish please

G-acha teek hain kal main aur di morena jaa rahe hain

S-kab wapas aaogi

G-jab tum lekar aaoge

S-matlab

G-bas kuch din hi bache hain shaadi main aur jab shaadi wohi hogi bauji aur bui chahte hain ki shaadi hone tak hum dono wohi rahe hain

S-par mera kya

G-kuch hi dino ki baat hain aur waise bhi isbaar jab aaongi toh hamesha ke liye tumhari banke aaongi

S-tik hain apna khayal rakhna aur mujhe roz phone karna

G-tum phone utaoge kya(he stares)acha sorry zaroor call karoongi

S-tum kab jaa rahi ho

G-kal subah 8 baje ko

S-main office jaate waqt tumse milne zaroor aaonga I promise ab phir se meri taang keechna shuru mat karo

G-nahin karoongi

M-kya tumhein kuch kaam nahin hain kya shaadi ke waqt toh jayenga na tum pehle jaake kya karogi

N-tumhare aane ke khushi main morena ko decorate karoongi mayank please wahaan mere rishtedaar dost sab log hain main wohi pe pali badi hui hoon pata nahin phir mauka mile na mile main unke saath thoda time spend karna chahti hoon

M-tum kahin nahi jaogi main abhi US se aaya hun aur tum morena jaogi

N-mayank main hamesha ke liye todhi jaa rahi hoon tumse shaadi karne ke liye hi jaa rahi hoon na

M-par shaadi main ab 2 mahine bache hain itne din jaana zaaroori hain kya

N-mayank tum achi tarah se jaante ho main 3 saal se morena nahin gayi aur is baar jab aaongi toh main jaaongi bhi ya nahin pata nahin shaadi se pehle hi tum itna naatak kar rahe ho pata nahin shaadi ke baad mera kya hoga please mujhe jaane dona main promise karti hun main tumhein har roz nahin har gante call karoongi

M-tik hain jao

N-thank god atlast aapka permission mil gaya tumhara permission se parliament ka bill pass karwana aasan hain


part33

Edited by --unknown-- - 14 years ago
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: chandu-mayu

I understand what are u trying to say, but plz dont separete mayur, and sajan. plzzz

for this reason only i gave the precap and in that i clearly told no big problems but a cold war between sayank and gunur
preety88 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Lovely update...it was a really cute update...cont soon
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: aancchal

thanks dear for your clarification
agar tumhe bura laga ho to sorry but you are writing very well keep going and we are waiting for your update

i didnt feel bad mere precap ke peeche ki wajah sirf aur sirf sab ke comments hain main bas ye kehna chahti thi ki ladai toh hogi par uska yeh matlab nahin ki dono alag ho jayenge aur woh pyar hi kya jisme ladai na ho . fights are very good actually it will makes us know our loved ones more
so read and enjoy the story without the tension that they will seperate
...Mitali... thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
very sweet update
really loved it!
SandCastle. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
superbbb update dear...
loved it compltely...
the karwachauth was sooo romantic...
loved it all...
Wow!! SaJan & MayUr shaadi?! cant wait for it...!!
plzzz cont soon & thnx 4 the PM...🤗
ginny09 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
niceee part !
loved it :)
but ye sab pakka aage prob toh creat nahi karenge na
mujhe sayank bahut diff lag rahe hai
hope all will end good :)

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".