gang os on pg 114 raksha bandhan special - Page 29

Created

Last reply

Replies

671

Views

86.8k

Users

42

Likes

1.2k

Frequent Posters

--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: monaya_MS

Awesome update .Cont. soon.

i will pm when i continue
Faria. thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
Beautiful update dear
very nice
keep it up

ginny09 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
wowww !!!!!!1
itne amazing part ke baad w8 karna difficult hai
jaldi se update karna :)
SandCastle. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
superbbb update...
loved sajan & engagement sequence...
hope no problms ahead in thier life...
it was amazing but short...
do cont soon & thnx 4 the PM...
DhanakZ thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Lovely part
Mayur scene was so nauuughty
Thanks for pm
cont soon
tanisha997 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 14 years ago
its nice👏
sajan engaged😛
plz continue soon😳
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

part 31

mayank was there for a week whole time he spends with nupur not leaving her alone for even some time she had her exams next month so she used to prepare in the evening in his home and he dropped her home in the night. They collected as many memories as possible in that one week for the next two years and also in nupurs college everyone came to know about her and her relationship with mayank. This made her free from all the tensions she had before now she is not winded up in her own world but now she has many friends and is trying to make her college days memorable. She even today goes every weekend to the island and sits there on the car whole day remembering him

three months later sam & benji join their father, gunjan joins nupurs college, dia joins same college but for interior designing daily gunur go in nupur's car, sajan meeting's have also become less due to sam's hectic work in office.

G-hi samrat kya kar rahe ho dodin se phone nahin kiya sab teek toh hain na

S-main ab busy hoon baad main call karoonga

G-samrat tum hamesha aise hi keh rahe ho kabhi mujhse teek se baat bhi nahin kar rahe jab dekho main busy hoon kehte ho ab tum mujhse utna pyar nahin karte

S-chashmish bacho ki tarah baat mat karo tumhein pata bhi hain ki office main kitna kaam hain main 24 hours tumse baat karte rahoonga toh kaam kaun karega tum toh aaram se college jaa rahi ho tum bhi office jati toh pata chalta kitna mushkil hain sab sambhalna

G-mujhe tumse baat nahin karni (she cuts the phone)

(but he doesn't call in return)

Nupur sees gunjan tensed

N-kya baat hain sab teek toh hain na

G-Yeh samrat pata nahin khud ko kya samajta hain khud toh kabhi call nahin karta maine call kiya toh apne office ka pura gussa mujh par nikhal raha hain jab maine gusse main phone rakh diya toh return call bhi nahi kiya pehle mere liye canteen main ganto intezaar karta tha lekin ab mere liye do minute bhi time nahin hain

N-woh sach main busy hoga jab free hoga zaroor call karega yeh sab chod aur aaraam se soja

(she sleeps on nupurs lap)

Nupur's cell ring's as gunjan was sleeping it takes time for nupur to lift the call

M-itna der kyun lagaa phone utane main

N-woh gunjan

M-tumhein gunjan ke alawa kuch nahin dikhta kya sham ko bhi mera phone nahin utaya

N-mayank tab main library main thi

M-bahar aane ke baad call kar sakthi thi yeha main tumhare liye pareshan ho raha hun aur wahaan tum enjoy kar rahi ho tumhein wahaan akela chod ke maine bahut badi galti ki hain tumhe apna family important hain main nahin bye

N-mayank kaat diya yeh fianc hain ya mera boss order pe order diye jaa raha hain mujhe bolne ka mauka hi nahin deta machine bana k rakh diya

Dia calls benji

D-benji kahin bahar chale bahut bore ho rahi hoon

B-dia main busy hoon tum apne dosto ke saath bahar jao na

D-mujhe tumhare saath jaana hain

B-dia maine kahaan na busy hoon ab main 24 hours tumhare saath toh nahin ghum sakta mujhe tumhare alawa aur bhi kaam hain please samajne ki koshish karo bye

D-benji meri baat suno ise meri value hi nahin hain

Elders decide to do benia and udayaditi marriage as soon as possible so they decide the date of marriage.

In the night at dinner in bhushan house ravi informs family members about this

D-par dad itni jaldi shaadi meri padai abhi tak complete nahi hui hain

R- jaanta hun jaldi hain par rakesh shaadi jaldi karna chahta hain waise bhi aaj nahin toh kal karna toh padega toh aaj kyun nahin rahi baat padai ki shaadi ke baad bhi pad sakti ho koi tumhein nahin rokega(dia is still worried)

Later gunur go to her room dia is standing at the window

N-kiske khayalon main koi hui ho

(she is silent she puts hand on her shoulder)

N-kya hua dia tum tik to ho

D-pata nahin kyun bahut darr lag raha hain

Divya-shaadi ke naam sunte hi sab ko aisa hi lagta hain

(trio turn)

D-mom aap yehaan

Divya-tum gabrana band karo kuch nahin hoga us ghar main sab ko tum bachpan se jaanti ho koi pareshaani nahin hogi waise bhi hum sab hain na tere saath

D-(catches her hand)thanks mom par jaane kyun bahut darr lag raha hain aisa lag raha hain jaise koi mere haath band raha hain yeh azaadi jo itne din main enjoy kar rahi thi achanak se shaadi ab meri life meri nahin rahegi mujhe apne parivaar se milne ke liye kisi ki permission leni padegi main yehi ek bhi kaam nahin karti hoon jab dekho aapne dosto ke saath goomthi rehti hoon lekin ab mujhe ghar sambhalna hain aur toh aur apna career set karna hain

Divya-meri beti kaafi badi ho gayi hain

D-mom I am serious

Divya-main bhi serious hoon tu ab badi ho gayi hain tujhe yeh kaam kabhi na kabhi karna padega in cheezo se darr kar lifelong kunwari rahegi kya tujhe benji pasand hain na

D-haan hain par darr lagta hain ki shaadi ke baad bhi aisa hi rahega ya phir badal jayega

N-dia tum kitna sochti hoon mujhe hasi aarahi hain

D-tum aisa hi kahogi agar mayank se tumhari shaadi ki baat chal rahi hoti toh pata chalta tumhara kismet acha hain teen saal ke liye tum bach gayi

(she becomes silent)

D-i am sorry nupur maine tumhein mayank ka yaad dilaya

N-main mayank ke baare main nahin main bhi shaadi ke baare main soch rahi thi tum sach keh rahi ho mayank ke us jaane se kuch dino ke liye bach gayi par mujhe bi kabhi kabhi shaadi se darr lagta hain pehle mere life main jo bhi hota tha meri marzi thi bauji se poochti thi par unhone kabhi mujhe kisi baat se mana nahin kiya lekin ab meri life ki har decision koi aur leta hain main kaunse college main padoongi yeh main nahin koi aur decide karta hain college se nikalne ke baad mujhe use call karke batana padta hain aisa lagta hain ki main koi school jati choti bachi hoon mayank ka mere liye care karna mujhe acha lagta hain par kabhi kabhi aisa lagta hain ki kisi ne mere pank kaath diye ho meri life ab meri nahin rahi kisi aur ki hain shaadi ke pehle hi aisa hain toh pata nahin shaadi ke baad kya hoga

G-aapko mayank overcaring lag raha hain aur idhar samrat ko mere liye time nahin hain engagement se pehle 24 gante mere peeche pada rehta tha mujhe ek pal ke liye bhi akela nahin rehne deta tha lekin ab 10 din ho gaye hain aur hamari ek baar bhi tik se phone pe bhi baat nahin hui woh apne office main itna busy ho gaya hain lagta hain ki woh mujhe puri tarah se bhul gaya jab bhi call karti hun kehta hain busy hoon baad main baat karoonga aur dusri taraf shaadi ka darr agar shaadi hogi toh di ko chodke jaane ka darr hain

D-gunjan dil chota mat karo sam busy hoga zaroor call karega

Divya-tu use keh rahi hain khud toh ro rahi hain tum teeno ko main kya kahoon samaj nahin aaraha ek baat zaroor kahoongi yehi tumhare life ke sabse ache din hain kal ke baare main soch kar aaj ko mat bigado tumhein ghar ka kaam nahin karna bahar ghumna hain na jitna ghumna hain ghumo baad main mauka mile na mile aaj ko enjoy karo tumhein lagta hain ki mayank tumhein apne tareeke se zindagi jeene nahin deraha toh woh ab yeha nahin hain aur jab tak mayank waapas aayega tum apne life ka har ek dream ko pura karo phir tumhein apne life se koi shikayat nahin hogi aur aap tum samrat ke baare main sochna band karo ab bale hi uske paas time nahin hain lekin jab shaadi hogi tumhein pura time use kisi bhi haal main bare karna padega isiliye uske baare main sochna band karke apni di saath apna pura time spend karo kal agar tumhein apni di se milna bhi hain toh tumhein apne jeeju aur patidev ki permission leni padegi woh dono busy hain yehi tum dono ke liye at present acha hain

N-aaj se main in do saalo main apne saare sapne poore karoongi

D-main bhi jab tak meri shaadi hogi tab tak har pal ko khul ke jee loongi

G-main apna har pal apne di ke saath spend karoongi kya pata kal kaisa ho(three look at each other and put their hands over each other)

Divya-ye meri betiyan hain (she kisses three of them on their forehead)

From that day dia spends her whole time with her friends actually ignoring benji even if he calls she says him that she is busy she completely stopped going out with him and gunur spend 24 hours with each other three of them are out till late night even then divya doesn't say them anything and doesn't allow ravi to say anything

Gunjan receives a call

G-dadi ka phone is waqt hello dadi kya hua sab teek toh hain na

Dadi-gabrane waali koi baat nahin hain maine aise hi phone kiya pehle jab tum dono ki padai chal rahi thi tab samrat tumhein roz lekar aata tha par jabse samrat office ke kaamo main busy ho gaya hain tab se tum nahi yeha aarahi ho nahi phone kar rahi ho samrat se tumhare baare main poochna chahti thi lekin woh bahut busy ho gaya hain use mujhse baat karne ka bhi time nahin hain tumhein dekhne ka mann kar raha hain kal aaogi kya

G-dadi aapko poochna nahin order dena chahiye sham ko zaroor aaongi (she cuts the phone)

N-kiska phone hain sam ka

G-meri utni achi kismat kahaan dadi ne call kiya mujhe kal ghar bulaya

N-tik hain kal sham ko main tujhe wahaan chod kar mayank ke ghar chali jaongi aate waqt pick karloongi

G-tik hain sirf aap hi hain jise meri sabse jyada parvah hain(her cell rings)kiska phone hain

N-aur kiska mayank ka tumhein sam call nahin karta aur mayank mujhe call kare bina nahin rehta main abhi aayi do minute

Next day gunjan goes to sam's house

Dadi-mujhe lagaa nahin aaogi

G-kyun nahin aaongi aap ki baat main kaise taal sakti hoon

Dadi-tum roz aa sakti ho na

G-koshish karoongi dadi

(both go inside and have full gupshup)

Its dinner time

G-dadi ab main chaloongi bahut der hogayi hain

Dadi 'itni jaldi sam se bhi nahin mili ho dinner ke baad jana

G-par dadi

Dadi-mujhe kuch nahin sunna

G-acha teek hain main di ko call karti hoon

(she calls nupur)

N-haan bol gunjan

G-di mujhe lagta hain mujhe todhi der ho jayegi

N-main bhi tujhe isi baare main call karne waali thi mujhe bhi der hogi jaate waqt tujhe pick karloongi

G-ok bye

At dinner gunjan is arranging for dinner sam comes no one is present

S-hi chashmish kaisi hoon

G-kaise dikh rahi hoon

S-chashmish kya hua tum us baat se ab bhi naraaz ho

G-main tumse bilkul bhi naaraz nahin hoon main jaanti hoon ki tum busy ho mujhe tumse koi shikayat nahin hain

S- phir tum mujhse tik se baat kyun nahin kar rahi

G-kaho kya kehna hain (dadi comes there)

(they all have dinner sam decides to leave her so that like that atleast he will be able to talk to her)

G-dadi bahut raat ho gayi hain main chalti hoon

S-main tumhein drop kardoonga

G-iski koi zaroorat nahin hain(she sees dadi and sam's parents staring at her)mera matlab hain ki di aarahi hain mujhe pick karne

Geeta-nupur ko kyun takleef deti ho samrat tumhein drop kardega

G-di raste main hi hogi phir samrat ko bhi takleef hogi aaj kal itna busy ho gaya hain tak gaya hoga(she receives a call)haan di main aa rahi hoon

(she leaves)

Nupur is waiting for gunjan she receives call

M-hello kya kar rahi ho

N-main gunjan ko pick karne aayi hoon abhi ghar jaa rahi hoon

M-samrat kya kar raha hain itni raat tak bahar rehna tik nahin hain kitni baar kaha hain par tumhein meri baat sunne ki aadat nahin hain

N-mayank bahut ho gaya main koi choti bachi nahin hoon tum is tarah mujhe irritate karna band karo main apna khayal rak sakhti hoon tum agar yehi kehne ke liye call kiya toh thanks mujhe iski zaroorat nahin hain tum apni padai karo mujh par apna time waste mat karo(she cuts the phone)

benji calls her in the night

B-hi jaan kya kar rahi ho

D-abhi ghar pahunchi hoon

B-ab tak kahaan thi

D-tumse matlab main jahaan jao meri marzi jab mere mom dad ko problem nahin hain tumhein kya problem hain

B-gussa kyun karti ho sweet heart main toh aise hi pooch raha tha

D- benji main bahut tak gayi hoon isiliye sone jaa rahi hoon

B-baad main sona ab mujhse baat karo

D- mujhe bahut neend aarahi hain main baad main baat karoongi

B-tumhein bahar gumthe waqt neend nahin aayi ab jab mujhse baat karne liye neend aarahi hain aaj kal tumhein meri value hi nahin hain jab bhi bahar jaane ke liye kehta hoon koi na koi stupid bahana banati ho tum bahut badal gayi ho

D-shaadi ke baad 24 gante tumhare saath hi rahoongi ab mujhe mere haal pe chod do shaadi ke baad toh na chahte hue bhi tumhari har baat maanni padegi ab kuch dino ke liye main apne life apne hisaab se jee rahi hoon please mujhe irritate mat karo(she cuts the phone)

B-par dia yeh aise kyun baat kar rahi hain ise call karke bahar jaane ke liye poochna meri galti hain ab main ise call nahin karoonga

Mayank calls sam

M-hello sam

S-ek minute benji bhi line main hain

(trio are on line)

S-ab kaho kya kehna hain

M-tum itne busy ho gaye ho ki tumhein gunjan ko drop karne ka bhi time nahin hain

S-tumhari information ke liye bata dun ki main takha hua hone ke bavjud chashmish ko drop karna chahta tha par isse pehle ki main use lejaon nupur aake use legayi uski wajah se main chashmish se baat bhi nahin kar paaya

M 'sorry yaar maine nupur ka gussa tumpar nikala pata nahin bade ajeeb se baat kar rahi thi use main over possessive lag raha hun itna busy hone ke bavjud daily use call karta hun aur use meri koi value nahin hain use lagta hain ki mujhe koi kaam nahin hain

S-main tumhara pain samaj sakta hun mere saath bhi aisa hi hua

B-tum dono ki baatein hui toh mera bhi koi sunega

M-tumhein kya hua

B-badi mushkil se free time mili thi dia ko maine bahar jaane ke liye poocha mujhe laga uske saath time spend karoonga toh use acha lagega par use toh baat karne ka bhi time nahin hain use bahut neend aarahi thi

S-teeno jyada hi overaction kar rahe hain humein bhi unke baare main soch kar hamara time waste nahin karna chahiye

M-right sam char din phone nahin karoonga toh line pe aajayegi

B-mujhe aur bhi kaam hain main yehaan kaali nahin baita hun dekhta hun kab tak naaatak karegi

Dadi notices that something is wrong between sajan so she asks sam to take gunjan to some temple out of city saying that its one of the family ritual and both need to go there in the weekend.

S-hi chashmish main neeche tumhara wait kar raha hun jaldi aana

G-aarahi hun do minute(she goes down sam is waiting in his car)

S-kya hua aise kya dekh rahi ho

G-tum car main tum toh hamesha bike pe ate hona

S-sab kuch pehle jaisa nahin hain badal gaya ab mere pasand se jyada mujhe apne reputation ka khayal rakhna padta hain na chahte hue bhi mujhe apne favourite cheezon(looks at her)se dur rehna pad raha hain

(she cant control any more hugs him and starts crying)

G-sam mujhe bahut darr lag raha hain tum apne is busy life main kahin mujhe bhul na jao main bale hi tumse gussa hun par har pal tumhari aawaaz sunne ke liye tarasti hun tum apne favourite cheezon ki tarah kahin mujhe na chod do

S-chashmish rona band karo aur meri baat suno main tumhein kabhi bhul nahin sakta haan yeh sach hain ki main tumse baat nahin kar raha par har pal tum mere saath ho (he shows her photo in his wallet)jab bhi mujhe time milta hain main tumhare photo se hi baat karta hun main tumhein phone karna chahta hun par phir mujhe yaad aata hain tum college main hogi aur meri chashmish jab college main hoti hain use books ke alawa kuch nahin dikhta sham ko jab tak main ghar paahuncta hun tum so jaati ho tum ladkiyaan roke apna pain sabko dikhate hain par hum ladke woh bhi nahin kar paate

G-i am sorry samrat main tumhein samaj nahin paayi aur tumhe bahut hurt kiya

S-tumhara gussa jayas hain par I promise ab se chahe kitna busy kyun na ho tumhein kabhi ignore nahin karoonga

G-love you(she keeps head over him catches hand)

S-living for you

G-by the way tumhari office main kitni ladkiyan hain

S-chashmish

G-mazak kar rahi hun roroke sar bahut pain kar raha hain coffee piyenge

S-acha tik hain

(mayank didn't call since two days nupur is worried)

N-tune us din kuch jyada hi keh diya isiliye call nahin kiya tub hi na mayank teri itni khayal rakta hain aur tujhe uski parvah nahin hain ab call karke sorry bol

M-nupur ka phone atlast use meri yaad aagayi

(he lifts the call)

M-kyun call kiya aur galiya balance reh gayi kya

N-mayank I am sorry mujhe tumse waise baat nahin karni thi par main kya karun tum gunjan ke baare main kuch kaho mujhe acha nahin lagta

M-mujhe gunjan se koi problem nahin hain tum der raat tak bahar thi yehi meri problem hain

N-mayank utna bhi raat nahin hua main apna khayal rak sakti hun main nahin chahti tum meri wajah se apna time waste karo

M-time waste tum samaj nahin sakti ki tum meri life main kitna important ho jab maine tumhe us din college main marte hue dekha us pal meri jaan chali gayi thi jab doctor ne kahaan ki tum tik ho tab meri jaan main jaan aayi usi pal maine decide kiya ki usdin ke baad main tumhein kabhi akela nahin chodunga jab mujhe yeha seat mila tab mujhe us khushi se jyada tumhe bhi yeha laana important tha maine badi mushkil se tumhare liye itne arrangements kiye the par tum aana nahin chahthi thi phir main bhi jaana nahin chahta tha par dad ke liye main yeha aaya lekin yeha bhi mujhe har pal tumhari hi fikar padi rehti hain har pal yehi sochta hun k itum kaisi ho agar tum phone nahin utati toh saara kaam chod kar pareshan bait jaata hun har pal main in do saalo ke khatam hone ka wait kar raha hun kyunki mujhe darr hain ki agar tum koi problem main hogi toh pata nahin main kya karoonga kyunki jab tak main aaonga sab kuch khatam ho jayega tumhare liye yeh sab kuch time waste hain par mere liye tumhein kone ka darr hain

N (she starts crying)-mayank I am sorry main tumhein samaj nahin paayi maine tumhein bahut takleef diya main aaj ke baad kabhi tum par gussa nahin karoongi I promise

Gunur understand sayank and stopped fighting with them

All marriage arrangements have started they have full masti dia and gunur enjoy each and every moment .Atlast marriage occurs benia are happy and aditi and uday are not so happy.After marriage aditi becomes completely silent. Gunur and aditi become very close very soon.

After marriage dia wanted to continue her studies no one objected but this created a distance between benia as both didn't have proper time to spend with each other . Slowly uday and aditi started liking each others company and this made aditi to forget yuvraj and love uday . Since their relationship started from understanding they never fought with each other and uday supported aditi in all her decisions

Nupurs second year is completed, so bauji helps her in starting a new company

N-bauji yeh sab kisliye

Ba-yeh sirf isliye taaki tum dono hamesha saath raho kal kisi bhi wajah se tum dono alag hona pade toh yeh company tum dono ko saath rakhegi

G-main di se kabhi dur nahin rahoongi

Ba- aaj tum dono saath ho par kal ka kya pata

(both hug him)

Gunjan also completes her final year and both start running the company together . With gunjan joining nupur became little free daily both go together to office .

dia also completes her education but stays at home as she doesn't get permission to work becoz benji was not happy while she was studying both didn't have time even to talk to each other and so he felt that if she works same thing may repeat which makes her feel sad.

Mayank returns at last from US nupur is at home he suprises her by sudden visit

N-mayank tum yehaan tum bata sakte the na main tumhein pick karne airport aati thi

M-main tumhein surprise karna chahta tha isiliye nahin kahaan ab chalo mere saath

N-kahaan

M-ghar mom ne tumhein ghar lekar aane ke liye kahaan do din se tum unse milne nahin gayi na isiliye

N-woh office main kaam tha isiliye time nahin mil payi

(they reach home)

S-atlast aagayi do din se kyun nahin aayi

N-mom woh main busy thi

S-jitna bahana banana hain banalo bas kuch din ab mayank bhi waapas aaya

(she receives a call)

G-di files kahaan hain tina keh rahi thi ki aapko pata hain

N-main abhi aarahi hoon(she cuts the phone)mom main jaa rahi hoon kuch zaroori kaam hain sham ko aaongi

M-tum kahin nahin jaogi tum mere saath bahar chalogi do din baad main bhi office join karoonga tab tak atleast dono todha time saath main spend karenge

N-par mayank

M-mere liye tum do din bhi nahin waste kar sakti

N-acha teek hain par files

M-files gunjan ko dekar jaayenge teek hain

(he takes her there and from there they go out she as usual catches his hand and sleeps)

N-yakeen nahin aaraha ki tum mere saath ho maine tumhein bahut miss kiya

M-main bhi par ab phir kabhi tumhein chod kar nahin jaonga jaana hain toh dono saath main jayenge

part32

Edited by --unknown-- - 14 years ago
--unknown-- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
thanks for all your comments since last update was small here is a little big update
ginny09 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
nice part :)
hope mayank possesive nature n sam busy timing won't creat prob now :)
mayur n sajan mein understanding n love hi acha lagta hai :)
Shafy_Kaira_MN thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
bekaran hai bekaram.
aankhen band kijiye na
duubne lage hai hum
saans lene dijiye na...
ek zara chera udhar kijiye innayat hogi...
ek zara chera udhar kijiye innayat hogi...
aapko dekh badi der se meri saan ruki hai...
aapko dekh k badi der se meri saans ruki hai...
bekaran hai bekaram hai.
aankhen band kijiye na
duubne lage hai hum.
saans lennne dijiye na..."
this song dipicting their condition...
and i hope soon this song also come in their journey
"thode bheegee bheegee se lamhe...hum
kal se soye huye bhi to kam hai hum
thode bheegee bheegee se lamhe...hum
kal se soye huye bhi to kam hai hum
dil ne kaise harkat ki haiii
pehli baaarrr
mohabbat ki hai.
aakhiri baaar
mohabbat ki hai...
pehli baaarrr
mohabbat ki hai.
aakhiri baaar
mohabbat ki hai..."
only for my mayur

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".