part28
bauji was alone in his room she goes there
N-bauji aap kya kar rahe hain
Ba-kuch nahin office ke kaam hain
N-aap yehi reh sakte hain na kyun wahaan humse utna dur kaam kar rahe hain
(he puts hand on her head )
Ba-tum dono ke liye mujhe wahaan kaam karna padega ek baar tum dono apne life main settle ho jao phir main aaraam se morena main rahoonga tab tak ke liye mujhe wahaan kaam karna padega warna tum dono ki padhai , shaadi sab kaise honge
N-par aap humse utna dur rehte hain yeh mujhe acha nahin lagta aapki bahut yaad aati hain
Ba-mujhe toh laga tu apni bauji ko bhul gayi ab to tera apna parivaar hain
N-bauji meri shaadhi abhi hui nahin hain agar hui bhi toh sabse pehle main aapki beti hun baad main kisi aur parivaar ka sadasya aap bhi aise kehenge toh main bahut akeli pad jaongi
Ba-teek hain nahin kahoongi ab yeh bata tu mujhse kya baat karna chahti hain
N-aapko kaise pata main aapse kuch kehna chahti hoon
Ba-teri har baat ko mujhse acha koi pehchaan nahin sakta(she remembers mayank)kaha ko gayi
N-kuch nahin kisi aur ne bhi yehi kaha
Ba-kisne mayank ne(she nods her head) ab woh kaisa hain kaise chal rahi hain uski padai
N-bilkul teek
Ba-aur teri
N-meri bhi teek hi chal rahi hain mujhe aapse na gunjan ke baare main baat karni hain woh kisise pyar karti hain
Ba-tujhe ladka pasand hain tujhe lagta hain woh gunjan ke liye teek hain
N-bahut acha ladka hain gunjan ka bahut khayal rakhta hain usne pichle baar bhi aap se baat karna chaha par usse pehle aap chale gaye
Ba-tik hain toh kal hum unke ghar chal ke baat karenge
N-aap maan gaye itni jaldi
Ba-tujhe ladke pe barosa hain na mujhe tere barose pe barosa hain tu gunjan ke liye kabhi galat soch hi nahin sakti tu meri samajdaar bachi hain
N-thanks bauji aapne mujh par barosa kiya main aapke barose ko tutne nahin doongi main abhi usse baat karti hun
(she calls sam)
N-congrats jeeju treat kab de rahe ho
S-nupur tum mujhe jeeju kyun keh rahi ho (he understands)matlab bauji maan gaye
N-maante kyun nahin nupur ne responsibility jo liya hain
S-thanks saali ji tussi great ho
N-acha main bauji ko lekhar kal ghar aarahi hoon ready rehna
S-ya sure goodnight once again thanks
N-thanks nahin treat deni padegi
S-acha teek hain aap jab chahengi tab milega
(next day bauji talks to sam's parents and he is convinced with them later bauji had a chat with sam privately just to test him)
N-bauji aap samrat ko jaante hain na maine aapse uski mulakat pehle hi kiya tha
Ba-haan yaad hain hamari pehle mulakat ko kaise bhul sakta hun main samrat se akele main baat karna chahta hun(sam is worried nupur sighs him there is nothing to worry if any thing happens she will manage she wishes him all the best)
Bauji and samrat in room
S-isse pehle ki aap kuch bhi kahe us din ke liye I am really sorry maine bahut baar kehna chaha par aapko dekhte hi mujhe bahut darr lagta hain
Ba- pehle baar toh bahut mazaa le rahe the ab achanak darr kaha se paida hua
S-tab aap kaun hain mujhe pata nahin tha ab jab main jaan chukaa hoon ki aap kaun ho toh
Ba-tumhein darr lag raha hain agar tu itni si baat se darogetoh aage meri beti ko kaise sambhaloge
S-main aap mujhse bade hain isiliye darta hun lekin jab baat khud ko saabit karne ki hain kisi se nahin darta
Ba- mayank aur tum bachpan se ache dost ho ya phir bachpan main ladte rehte the
S-hum dono ki pehle nahin banti thi ab hum ache dost hain
Ba-jaanta tha tum dono se baat karne ke baad mujhe bhi yehi lagaa tik hain main tum se baad main baat karoonga
( bauji accepts sam .They decide to do engagement after final year and marriage after three years along with mayur)
( There are several reasons for him behind accepting sayank first thing he loves his daughters a lot he wanted to give him what they want, second he was convinced by sam's and mayank's parents because after meeting them he got a feeling that they will stay happy there, third his daughters love and trust on them even if he searches a boy he shall first see that whether his daughter likes him or not, fourth Adiraj was his friend's son he didnt even meet him after his childhood but he hoped that he is his friends son so he might be a good guy here also samrat and mayank are also his brothers best friend's son's so he hoped that they are also good guys fifth is though he had a bad impression on sayank in the first later mayank proved himself by accepting all the conditions told by bauji same thing he hoped from sam when he talked to sam he was even convinced with his way of talking expecting him to be good guy but something is going in his mind which is not making him feel happy for his daughters he just doesn't want it to happen but after meeting sayank he is sure it will happen but he doesn't know how to stop it)
in college sajan in canteen
S-atlast saare problems solve ho gaye actually amin bahut darr gaya tha ki main tumhare bauji ko kaise manao lekin nupur ne meri saari problems solve kar diya
G-meri di hain sab se best jab tak di mere saath hain meri life main koi problem nahin hone degi
S-saari credit tumhari di ko maine bhi toh mehnat kiya hain sirf tumhi thi jo aaram se bait ke sab dekh rahi thi acha yeh sab chodo kahin bahar chale
G-mujhe kuch kaam hain baad main chalenge
S-sab kuch badal sakta hain tum nahin badlogi jab dekho mujhe mana karti rehti ho
G-mujhe sach main kaam hain
S-tik hain min tumhein force nahin karoonga
later in the evening
G-ab chale baahar
S-mera mann nahin hain waise bhi tum bahut busy thi na ab kyun aayi ho
G-tum jaante ho main busy kyun thi mujhe tumhare notes banane the exams aarahe hain aur ab tak tumne preparation bhi shuru nahin ki
S-acha I am sorry
G-pehle galti karte ho phir maafi maangte ho
S-kahaana sorry(he catches his ears)
G-bahar chale kya
(they go out to have panipuri. She decides to have some fun he orders for panipuri she slowly tells the man selling paanipuri to add lot of mirchi in his paani puri)
(sam keeps one of the paani puris in his mouth)
G-sam tum khush to hona ki hamari shaadi tay ho gayi hain
(he starts shouting)
G-kya hua tumhein acha nahin lagaa
S-chashmish bahut teeki hain
G-tumhein main teeki lagti hoon mujhe nahin pata tha tum aise ho
S-chashmish main paanipuri ki baat kar raha hoon
G-tum joot bol rahe ho tum paani puri ke baare main nahin mere baare main keh rahe ho
S-sach main paani puri bahut teeki hain
G-phir main kyun nahin chilla rahi tum mere baare main hi keh rahe the chupa ke koi faida nahin hain
S-main sach keh raha hun
G-aansoon bahake bolne ki zaroorat nahin hain acha teek hain chod diya
S-main ro nahi raha hoon
G-main soch rahi thi tumhein apne galti ka pachtava hain par tum
S-jab maine galti hi nahin ki toh pachtaunga kyun tumhari kasam paanipuri bahut teeki hain
(she starts laughing )
G-mujhe nahin pata tha tumhein bevakuf banana itna aasan hain
S-matlab tum jaanthi thi (he runs behind her he suddenly slips and falls)auch
G-(she runs to him)kya hua I am sorry maine jaan buz kar nahin kiya meri wajah se
S-chashmish mazak karna tumhein hi nahin mujhe bhi aata hain
G-tumhein toh main nahin chodoongi
S-chodna bhi mat tumhe toh ab mere saath lifelong rehna hain
G(she smiles)-ab chalein bahut der hogayi hain
Since aditi and uday have joined their dad business they often meet at parties and meetings as they dont know anyone so they talk to each other uday has become very responsible after the love failiure now he is all the time busy in his work. In one of the business parties uday and aditi meet
U-hi aditi kaise ho lagta hain aaj kal bahut busy ho
A-tum toh aise keh rahe ho jaise tum bilkul free ho bhaiya keh rahe the bahut dino se kisi se baat nahin ki
U-woh kaam ki wajah se busy tha waise tum kisi ka wait kar rahi ho am I disturbing you
A-bilkul bhi nahin main toh in parties main kisi ko jaanti bhi nahin woh dad force kar rahe the isiliye aayi thi acha hua tum mil gaye warna aur bhi bore ho jaati
U-toh kaise chal raha hain tumhara life koi naya ladka mila ki nahin
A-uday please main is baare baat nahin karna chahti
U-acha sorry kuch aur baat karenge business ke baare main
A-bikul bhi nahin ladkiyon ke baare main tumhara favourite topic
U-ab mujhe ladkiyon main interest nahin hain
A-Tumhari tabiyet toh teek hain uday bhushan ko ladkiyon main interest nahin hain I think hame yeh baat news main dikhani chahiye
U-aditi please mujhe tang mat karo
A-tang main kar rahi hoon college main ladkiyon ke peeche pade rehte the uska kya
U-woh din chale gaye ab main serious hoon life ke baare main college ki life bhi kitni achi hoti hain hum wahaan haste hain rote hain aur hamare har pal main hamare saath koi na koi hota tha lekin ab toh aisa lagta hain ki hum machines ban gaye tab humein koi pareshaani nahin thi ab dekho life hi problem dikhti hain
A-tum sach keh rahe ho those days were best part of our life and they will never return
Rakesh was having a chat with Ravi. One of his friends come there he is Mr.Gujral
Rakesh-bahut dino baad tumhari mulakaat hui aaj kal kahin dikhai nahin de rahe ho
Gujral-business meetings ki wajah se bahut busy hoon waise tum dono kaise ho
Ravi-we are fine(they call aditi and uday and introduce him to them)
(aditi wanted to leave so ravi says uday to drop her)
Gujral-toh kab kar rahe ho beti ki shaadi
Rakesh-pehle ladke ko milne do
G-tumhare saamne hi ladka hain aur tum ladke ko dundne ki baat kar rahe ho
Rakesh-main kuch samja nahin
G-main uday ki baat kar raha tha actually jab maine pehle party main dono ko dekha toh mujhe aisa hi lagaa
(rakesh and ravi like his thought and decide to talk to aditi and uday regarding this)
(After going home rakesh talks to their family regarding her marriage at the dinner)
Rakesh-main aditi ke shaadi ke baare main soch raha tha
A-main abhi kisi se shaadi nahin karna chahti( aditi moves away from dinner table)
Rakesh-ise kya hua aisa kyun behave kar rahi hain
B-dad main usse baat karoonga
(benji goes to aditi she is sitting and crying he goes and sits beside her she hugs him and cries )
B-kya hua aditi tu ro kyun rahi hain
A-aapne suna nahin dad ne kya kahaan mujhe kisi se shaadi nahin karni
B-toh tu kya karna chahti hain lifelong aise hi rote hi rahegi kya agar mom dad tujhse yeh poochenge toh tu unhe yeh kahegi ki mujhe kisi ladke ne dokha diya isiliye main shaadi nahin karna chahti hoon aditi tujhe use bhula ke apne life main aage badna hoga jab use teri parvah nahin hain toh tu kyun uske liye apni zindagi barbaad kar rahi hain jo kuch bhi tab hua woh uski galti hain par ab jo tu kar rahi hain usme sirf teri galti hain meri baat maan aur is shaadi ke liye maan ja
A-par bhaiya mere baare main jaanne ke baad koi mujhse shaadi kyun karna chahega agar humne yeh baat chupaya toh woh galat hoga
B-pyar karna koi galti nahin hain college life main har kisike affairs hote hain kisi ki lovestory ki happy ending hoti hain toh kisi ki sad aur waise bhi us ek baat ke liye koi tujhe napasand karega to yeh uski badkismati hain meri behen sabse achi hain use koi mana nahin kar sakta meri baat maan shaadike liye haan kehde isi main teri balayi hain
A-mujhe todha waqt chahiye is baare main sochne ke liye
(in bhushan house also same topic comes ravi says about aditi for uday)
R-main tujhe force nahin karoonga soch samaj ke baad main jawaab dena
(he and divya leaves)
D-thats great agar aditi maanti hain toh uday tu mana mat karna tu uske liye perfect hain
(uday leaves from there nupur goes behind him)
G-uday bhaiya ko kya hua
D-pata nahin lagta hain shocked hain shaadi ke baare main jaan kar
(in udays room)
U-main dad ko mana kardoonga
N-aap aisa kyun kar rahe hain uday bhaiya aditi ke saath jo bhi hua uski bad luck hain
U-mujhe aditi ke past se koi problem nahin hain par tum jaanti hona main cj se pyar karta hun
N-uday bhaiya maine kitni baar kahaan aap cj ko bhul jaiye woh hamari tarah nahin hain uski life hamari life se kaafi alag hain
(just den her phone rings)
N-mayank main tumse baad main baat karti hun ab main todhi busy hoon
M-kya hua koi problem hain kya
(nupur says about uday)
M-woh tumhare saath hain kya use phone do
(nupur gives phone to mayank)
M-hi saaleji congrats aapki shaadi tay hogayi aur bataya bhi nahin treat kab de rahe hain
U-main yeh shaadi nahin karna chahta
M-toh tum lifelong kunwara rahoge kya uday mujhe laga tum kuch dino se kaafi badal gaye ho tum toh waise hi ho bevakuf aditi ko toh hum samajte hain lekin tumhara kya problem hain tum cj par kyun atke hue ho agar tumhari tarah sab sochte toh koi shaadi hi nahin karta sab sharukh ya aishwaria ke liye wait karte karte budde ho jaate the
U-mayank I am serious
M-i am also serious aditi ke saath jo kuch bhi hua uske baad use aise ladke ki zaroorat hain jo usse samje aur tum toh use bachpan se jaante ho aur us par is waqt kya guzar rahi hain tumse acha koi nahin jaanta kyunki tumne bhi woh sab kuch saha hain
U-lekin main aditi ki responsibility kaise handle kar sakta hun sab ke liye main irresponsible hun
M-uday sirf tum hi nahin hum sab irresponsible hain jab hamare life main responsibilities aate hain toh hum responsible ban jayenge yeh sab sochna band karo aur agar aditi shaadi ke liye maan gayi toh tum bhi shaadi ke liye haan kehdo
U- main is baare main sochunga
(after benji and mayank's class aditi and uday accept for marriage and even benia's maarriage proposal also is accepted so they decide to do three engagements at the same time )
(sajan final year is over and they decide engagement date bauji also comes for a few days for engagement preperations buis anger level has increased after hearing this news as her brothers have not made her part of their children marriage)
Sam calls gunjan and decides to go for shopping with her
G-sam tum ring khud select kar sakte hona mujhe kyun laaye ho
S-phir baad main acha nahin lagaa toh nahin pehnogi isiliye select tum karogi
G-kyun nahin pehnoongi mujhe ring nahin ring pehnane waala important hain
S-kya dialogue maara hain jaldi ring select karo aur bhi shopping karni hain
G-acha yeh kaise hain
S-boring
G-yeh waali
S-old model lag rahi hain
G-yeh
S-tumhein suit nahin karegi
G-ek kaam karo tumhi select karo
(he selects a ring with pearl)
S-yeh tumhein suit karega
(she smiles)
S-kya hua acha nahin lagaa
G-tum mujhe ring select karne ke liye laye the par last main ring tumne hi select kiya
S-sirf maine nahin hum dono ne
in nupurs college her heart shape gift is lost she seaches in the car she doesnt find she goes to class and searches each and every bench
after class sonal finds it on the ground
S-yeh kiska hain(when she picks it it gets pressed and sound comes from that)toh yeh us behenji nupur ka hain ab toh use satane main aur bhi mazaa aayega
(she goes to canteen where her group is present)
Rohan-yeh kya hain kisne diya koi naya ladka mila kya
S-yeh mera nahin kisi aur ka hain(she presses it)kuch samje
tia-uske paas aisa gift use dekh toh nahin lagta kaun bevakuf hain jo usse pyar karega
Sunny-zaroor us chimpoo ne diya hoga usse jyada kaun hoga jo us behenji se pyar karega
(nupur has only one friend in that college who knows about her everything she is mitali in the whole college she likes only nupur her attitude is similar to cj she doesnt believe in love but she always teases nupur taking mayank's name she doesnt like sonals group)
Mitali sees nupur worried
Mi-kya hua bahut pareshan lag rahi ho
N-mayank ka gift ghum gaya kahin mil nahin rahaan hain mujhe bahut darr lag raha hain(she almost has tears in her eyes )
Mi-nupur control yourself mil jayega milkar doondenge ek baar canteen jaake dekhenge
(they go to canteen and finds her gift in sonal's group )
Mi-yeh inhe kaise mila ab inse lena mushkil hain
N-main unse nahin darti main apni gift lekar aaongi
Mi-main bhi aati hoon
Tia-miss.behenji aarahi hain
S-ab dekho use main kaise tang karti hun
N-yeh tumhein kahaan se mila
S-yeh mujhe class main mila tha tum kyun pooch rahi ho
N-yeh mera hain mujhe dedo
S-main yakeen kaise karloon ki yeh tumhara hain(she wantedly presses it and sound comes)
N-ab yakeen hogaya na ki yeh mera hain
S-nahin is duniya main tum ek hi nupur ho kya bahut saare hain ek kaam karo jisne tumhein yeh diya use lekar aao tab main tumhe dedoongi
N-please main tumhare aage haat jodti hoon woh mujhe dedo mere liye ye gift bahut special hain(she starts crying)
T-kisne diya hain chimpoo ne kya uska naam bolo dedenge
Mi-stop it guys bahut ho gaya chup chap dete ho ya nahin
S-tum dumki de rahi ho nahin doongi kya karogi
(she forcibly takes it from them)
Mi-chalo nupur inhein achi tarah koi bhi baat samaj nahin aati inhe aise hi jawaab dena padega
(just den her phone rings)
M-hi jaan kya kar rahi ho mujhe miss kar rahi ho
N-main tummse todhi der baad baat karoongi
M-tum teek to ho tumhari awaaz teek nahin lag rahi koi problem toh nahin hain na
N-main bilkul teek hoon library main hoon baad main call karoongi
(she cuts the phone)
Mi-usika phone hain kya
N-main tumse baad main milti hoon
(she goes to her car in car she starts crying)
N-tum mujhe chodke utna dur kyun chale gaye bahut akeli pad gayi hun
nupur in car
jaane kis modh pe le aayi
yeh zindagi main jaano na
mayank standing at window
dhadkano ki yeh bechainiyan
aye humsafar pehchaanu na
she takes the gift in her hand
taheri zameen tahera hai pal
he is tensed for her
mann mein machi kyun hulchul
chuubti hai mujhko kyun dooriyan
she is still crying
koi na jaane majbooriyan
majbooriyan
kabhi na sukoon aaya kabhi na qaraar aaya jabse hai tumpe mujhko pyaar aaya - 2
pyaar aaya - 2
(her cell rings again)
M-nupur tumne phone kyun kaata sab teek toh haina tumhare awaaz sun kar mujhe aisa nahin laga
N-tum bewajah pareshan ho rahe ho main bilkul teek hoon tab main busy thi isiliye baat nahin kar paayi ab bolo
M-main nahin tum kahon kya hua
N-mayank maine kaha na sab teek hain phir tum wohi baat baar baar kun pooch rahe ho
M-toh sach main kuch gadbad nahin hain
N-sach main main tumse jooth kyun kahoongi
M-tik hain maanta hun ki sab teek hain tumhara aaj ka din kaisa tha
N-mayank tum phir se wohi pooch rahe ho
M-maine tumse tumhare college ke baare main poocha hain
N-acha tha roz ki tarah teek
M-kisi se jagda kiya
N-mayank
M-ab gussa mat karo (he talks with her for sometime but still he is in doubt)
(he calls uday, dia, gunjan and asks them to find the problem)
D-par tum kaise keh sakte ho ki nupur pareshan hain
M-main uske awaaz ko pehchan sakta hun
U-mayank tumhena mbbs karna tha
M-uday please no jokes mujhe seriously lagta hain ki kuch problem hain
G-par agar di ne tumse nahin kahaan toh humein bhi nahin kahengi
M-gunjan tum bina koshish kiye kaise keh sakte ho main kuch nahin jaanta tum teeno kuch bhi karke nupur se uske problem ke baare main poochoge aur mujhe bataoge
U-par mayank
S-kya hua
G-kuch nahin mayank ka phone hain use lagta hain di problem main hain
S-i think mayank ko na nupur ke baare main sochne ke alawa kuch aur kaam nahin hain
G-tum utna bada kya kaam kar rahe ho jab dekho mujhe lekar gumthe rehte ho acha tik hain main chalti hoon warna mayank hum main se kisiko sone bhi nahin dega par main di ke liye bahut khush hoon kitna khayal rakhta hain mayank di ka kitna pyar karta hain
S-woh toh hain isme use koi beat nahin kar sakta
(three of them reach home and catch nupur)
U-nupur kya hua college main jagda hua kya agar tumhein kisi ne sataya toh bolo main use nahin chodunga
D-haan nupur hum use dekhlenge
N-aisa kuch nahin hain
G-nahin di kuch toh hua hain aap bata nahin rahi hain
N-main bilkul teek hoon tumlogo se kisne kaha ki main pareshaan hoon
D-humne toh bas aise hi poocha bolo na kya problem hain
N-kaha na koi problem nahin hain ek minute kahin mayank ne toh nahin kahaan gunjan sach sach bol
G-haan di mayank bahut pareshaan tha aapke liye
later bauji also asks listening to their converstion
N-bauji main bilkul teek hoon mayank ko koi kaam nahin hain isiliye mujhe sata raha hain
(she calls him )
N-mayank jab maine kaha koi problem nahin hain tum sab ko phone karke pareshaan kyun kar rahe ho
M-kyunki tum jooth bol rahi ho kuch toh hua tha warna tum ro kyun rahi thi
N-main nahin ro rahi thi
M-tum ro rahi thi
N-tumse baat karoongi toh mera dimaag kharab ho jayega bye
(shilpa calls nupur to come in weekend shilpa is in kitchen cooking)
Shilpa-mujhe laga tum nahin aaogi atlast aagayi
N-kyun nahin aati
S-kaise chal raha hain tumhara college
N-bilkul tik
S-koi problem toh nahin hain na
N-mayank ne aap ko bhi bataya
S-haan woh apne mom se apni problem nahin kahega toh kisse kahega tum toh mujhe apni mom maanti hi nahin ho isiliye mujhe kuch nahin keh rahi ho
N-aisa nahin hain
S-agar tum mujhe apni mom samajti ho toh batao problem kya hain warna main tumhein force nahin karoongi
N-acha teek hain bolungi who mere college main kuch students hain jab dekho mujhe pareshan karte rehte hain parso meri favourite cheez unhe mili thi use mujhe lautane ke liye bahut sataya isiliye tab main ro rahi thi aur mayank ne tab hi call kiya
S-koi tumhe sata raha hain aur tum chup chap dekh rahi ho tumhein unpar ulta waar karna tha
N-main ladti thi par mayank ko maine promise kiya tha kisi se nahi ladoongi
S-yeh mayank bhi na hamesha ulta kaam karta hain agar dubara unlogo ne tumse kuch kahana mujhe batana main tumhein batati hun ki kya karna hain aise akele bait ke rone se kuch nahin hoga hum sab yehaan kyun hain
N-thanks mom aapse baat karke bahut acha lagaa(she hugs her she has tears in her eyes shilpa wipes her tears)
S-aise nahin rote beta jo tumhein sataa raha hain unhe rulana chahiye ab se tum roz shaam ko yeha aake mujhse baat karo tik hain mayank toh nahin hain tumhare problems sunne ke liye aur mujhse apne problems share karne ke liye atleast tum toh mere saath baat karona
(shilpa and sanjay notice her pain in her talk. )
next day morning
Mi-atlast rona band kiya kal toh bahut ro rahi thi tum bhi na unstupid ladkiyon ke baaton ko kyun dil pe leti ho paagal ho tum
N-paagal main nahin mayank hain mujhe rote hue sunkar pure ghar main sab ko bataya ki main ro rahi thi aur sab mere peeche pade the kya hua yeh jaanne ke liye uska bas chala toh pura mumbai ko batata
Mi-acha kaam kiya tumhare liye mayank bilkul teek hain ek kaam karo tum uska number do main use batati hun ki uski pyaari si nupur yeha pe bacho se darr rahi hain
N-mitali please tum bhi na mayank ki tarah baat mat karo tum sab logo ne mujhe samja hain main choti bachi hun kya aise har baat pe itna hungama karne ke liye
Mi-tum bachi ho isiliye us din ro rahi thi
N-woh gift mere liye bahut special hain aisa lagta hain ki mayank mere saath hain jab who ko gaya mujhe acha nahin lagaa aisa lagaa ki mayank mujhse dur chala gaya
Mi-tum logo ko pata nahin kya hota hain pyar main paagal ki tarah behave karte ho
N-tum yeh nahin samjogi jab tumhein pyar hoga na tab pata chalega
Mi-mujhe mental hospital join nahin karni hain tum bhi na too much ho aaj tak nahiuska photo dikhaya naahi usse baat karvaya
N-zaroor dikhaongi thodi der wait karo