Posted:
Chath par tapakti baarish ki boonde
Chath par tapakti baarish ki boonde
Chura le gayi meri ankhon se neende
Neend bhi gayi bachpan ke saath
Jab hum chala karte the apne Maa-Papa ke haathon mein daalke haath
Who pal abh bhi humeshaa yaad aathi hain
Jab school bus se utharkar daude chale aathe the
Jamkar khaate Maa ki hathon se bani woh garma garam roti
Bahar baarish tapkaati thi badalon se moti
Papa ke office se lautne ka intezaar
Laathe humaare liye pakwaan, misthaan aur der saara pyaar
Chutiyon mein khelna, khudna aur sairr par jaana
Ab bas bachchon ke liye hain playstation aur computer chalaana
Yeh baat aksar hume sathaathi hain
Kya zindagi mein hum aage badd rahe hain
Ya zindagi humse peeche choot gayi.
Signed With warm regards from
Lata Bhandary Shetty 😳