part 22
At last seminar is completed four of them performed their level best. After seminar four of them were sitting in the class
N-atlast seminar ho gaya I think humein party karni chahiye
C-right yaar thats a good idea
M-tum logo ko karna hain to karo mujhe mood nahin hain
U-ise kya hua
N-mayank tumhara seminar toh sabse best tha na phir tumhara mood kyun off hain
M-mujhe seminar ki performance se nahin balki seminar khatam ho gaya is baat ka bura lag raha hain
N-kyun tumhe seminar lifelong ke liye chahiye koi seminar hain bolke rota hain tum seminar nahin hain bolke kyun ro rahe ho sach main tumhara naam mayank nahin padaku hona chahiye
M-agar seminar hota toh tum mere saath roz ghar aati thi ab nahin aaogi na isiliye mujhe bura lag raha hain
N-tum toh aise baat kar rahe ho jaise main yeh shehar chod ke jaa rahi hun tumhare ghar nahin aayi toh kya morning se evening tak tumhare saath hi rahoongi na yeh sab chodo aur hum sab bahar chalenge celebrate karne ke liye
M-teek hain chalenge
(uday becomes dull)
C-uday ab tumhein kya hua tumhara chehra kyun utar gaya
U-kuch nahin chalo
in the canteen
S-toh teri love story kahaan tak pahunchi
B-wohi pe atki hain aage badne ke liye mujhe dia ke dil ki baat jaanna bahut zaroori hain mujhe yeh bhi nahin pata ki woh mere baare main kya sochti hain
S-toh jaanlo na problem kya hain
G-usse poochega kaun
(both point gunjan)
Both-tum
G-main main kaise pooch sakti hoon acha nahin rahega
S-hum poochenge toh bilkul bhi acha nahin rahega
G-lekin main kaise poocho
S-apne muh se
B-gunjan please mana mat karo meri love story tumhare haato main hain agar tumne meri help nahin ki toh meri lovestory ka sad ending ban jayega
G-try karoongi agar ghar waalo ko pata chala tumhare love story ke chakkar main meri band bajegi
B-gunjan ur so sweet ok bye mujhe kaam hain
S-waise chashmish tumne apne college main itni love stories set kiya na tumhein koi kabhi pasand nahin aaya
G-aaya na
S-aaya kaun hain woh
G-wohi jiski haat pakad ke is waqt main haat pakad ke chal rahi hoon
S-tum meri baat kar rahi thi tumne toh mujhe dara diya main apni baat nahin morena ki baat kar raha hoon
G-jab main morena main thi jab bhi main kisi ladke ko dekthi thi mere mann main sirf di ka khayal aata tha mujhe khud ke liye bhi ek ladka chahiye yeh maine kabhi socha nahin tha
S-phir ab kaise socha
G-jab tumne mujhe letter likha ki tum mujhse pyar karte ho tab pehli baar mujhe laga meri bhi life hain mujhe bhi life partner ki zaroorat hain aur main us waqt jaan gayi thi ki main bhi tumhein pasand karti hoon mujhe tum par bilkul bhi gussa nahin aaraha tha isiliye maine tumhare proposal ko haan kahan
S-nahin kahan 1 week pura sataya end main jaakar haan kahaan
G-woh toh main tumhe test kar rahi thi ki tum mujhse sach main pyar karte ho ya phir woh tumhara mere liye attraction tha jab mujhe yakeen hua ki tum mujhse pyar karte ho main maan gayi
S-tum jitni boli dikhti ho utni ho nahin bahut dangerous ho
G-agar boli hoti toh main bhi tumhare un exgirlfriends ki tarah temporary hoti thi (she sees box in her hand)main bhi na kitni paagal hun subah se yeh box lekar gum rahi hoon tumhe dena bhul gayi ye lo
S-kya hain isme
G-open karke dekho
S-gaajar ka halwa my favourite tumne banaya hain mere liye
G-woh maine uday bhaiya ke liye banaya tha tumhein pasand hain isiliye tumhare liye lekar aayi
S-tumhe kisi ne kaha hain ki tum gajar ka halwa acha nahin
G-acha nahin hain kya(she makes small face)
S-acha nahin balki bahut acha hain yeh toh meri second favourite gajar ka halwa hain pehle dadi ki dusri tumhari
G-tab toh sach main acha hain(she smiles)
in the evening gunjan goes to dia's room
G-hey bhagwan please mujhe bacha lena samaj nahin aata dia se kaise baat karoon agar ghar waalo ko pata chala toh meri kair nahin is benji aur samrat ne mujhe bahut buri tarah se fasaya hain aise bhi galti teri hi hain badi nikli lovestories set karne ek bar bhi nahin socha agar ghar waalo ko pata chala toh kya hoga yeh final love story hain iske baad love story films bhi dekhna chod doongi (nupur comes there to talk to dia sees gunjan standing at door thinking something)
N-ise kya hua yeh aise kyun kadi hain (she beats gunjan)gunjan
G-haan di
N-kahaan koyi hain aur yehaan kya kar rahi hain
G-kuch nahin main dia se milne aayi thi
N-phir door ke paas kya kar rahi hain andar chal
D-hi nupur atlast ghar pe ho 1 week ke kaafi busy thi mayank ke saath(teasingly)
N-dia woh seminar tha na isiliye main mayank ke ghar gayi thi
D-toh maine kab kahaan ki tum mayank se busy thi waise seminar kaise tha
N-as usual rocking
D-aur mayank mera matlab hain uska ghar uski family
N-aunty aur uncle bahut sweet hain unhone mujhe apne family member ki tarah hi treat kiya
D-kyun nahin karenge future main toh tumhein usi family ka member banna hain
N-dia please leave it waise meri chodo tumhein kiski family member banna hain
D-pata nahin ab tak iske baare main nahin socha
N-ab socho na tumhein aaj tak koi ladka pasand nahin aaya kya
D-mayank pasand aya tha tumhein bhi wohi pasand hain isiliye tumhare liye use sarifie kar diya
N-dia please satana band karo arna main chali jaongi
D-acha teek hain nahin sataongi waise aaj kal mujhe sab kuch ajeeb lag raha hain par samaj nahin aaraha problem kya hain
N-matlab main kuch samji nahin
D-main khud kuch nahin samji mujhe ek ladke ki behaviour ajeeb lag rahi hain
N-waise hain kaun woh ladka
D-benji
N-benji tum usse pyar karti ho
D-nupur tum jaanti ho na benji, mayank, sam sab mere bachpan ka dost hain lekin aaj kal benji kuch badal gaya hain pehle bhi woh mujhse baat karta tha lekin ab jab bhi main usse baat karti hun aisa lagta hain who mujhse kuch kehna chahta hain lekin keh nahin paa raha
N-zaroor I love you kehna chahta hoga
D-nupur
N-main mazak kar rahi thi waise agar mera mazak sach hua toh kya karogi
D-pata nahin
N-pata nahin benji agar tumhein I love you kahega tum use pata nahin kahogi toh kitna ajeeb lagega
D-nupur mera matlab who nahin hain maine abhi tak yeh socha nahin ki koi mujhe I love you kahega toh main kaise react karoongi mujhe yeh bhi nahin pata ki mujhe kaise ladka chahiye benji waisa hain ya nahin yeh bhi mujhe nahin pata
N-humein kaisa ladka chahiye is question ka answer kisi ke paas nahin hota hum sab bahut saare qualities sochte hain ladko ke baare main lekin jab hum pyar karte hain woh sab kuch bhul jaata hain humein uski buri aadatein bhi achi lagne lagti hain uske bina ek pal bhi sochne ke liye mushkil ho jata hain aur agar uska pyar sacha hain toh uski sau kamiya bhi uske pyar ke aage choti pad jaata hain isiliye yeh mat dekho ki ladka kaisa hain bas yeh dekho woh tumse kitna pyar karta hain
D-shayad tum tik ho main iske baare main sochti hoon
N-acha main chalti hun main toh bhul hi gayi mayank
D-mayank oh common nupur
N-dia please mujhe abhi jaana hain bye (she looks at gunjan)tujhe kya hua tu dia se milne aayi thi na aise chup kyun hain
D-right gunjan aise chup kyun kadi ho
G-kuch nahin ek problem tha hamesha ki tarah di ne solve kar diya
next day in college
benji comes to sajan
B-gunjan kya hua dia ne kuch kahaan mere baare main
G-tum dono mujhe isse dur rakho to hi acha hain mujhe acha nahin lagraha dia ke peeche yeh sab karna woh meri behen hain main uske life ke saath kaise khel sakti hoon aur ek baat benji tum agar dia se pyar karte ho toh use batado agar tumhara pyar sacha hain toh aaj nahin toh kal woh zaroor maanegi mujhe is baare main aur koi baat nahin karni bye(she leaves)
S-ise kya hua achanak aise kyun react kiya waise bhi gunjan tik keh rahi hain tu use bata de ki tu usse pyar karta hain aage kya hoga woh dekha jayega
B-par kaise yaar mujhe bahut darr lag raha hain yeh soch kar bhi ki woh kaise react karegi
S-main samajta hun tu is waqt kaise feel kar raha hain main bhi gunjan ko propose karte waqt tumhari tarah hi darr raha tha lekin mayank ne mujhe hosla diya ki chupane se kuch nahin hota humein sachai ko face karne main hi hamari balai hain uski isi baat ki wajah se aaj chashmish mere saath hain
B-main dia se directly baat nahin kar sakta use dekhte hi mere paseene chutne lagte hain
S-tu mere saath chal main teri problem solve karoonga
(in the evening when everyone left the college benji calls dia and asks her to come to college. She searches for him in whole college but doesn't find him she finds one of the room decorated beautifully)
D-yeh room toh subah normal thi ise decorate kisne kiya mujhe in sab se kya lena main benji se milne aayi thi(when she was about to step out of the room benji stands infront of her )
B-hi dia
D-benji tum yeha ho maine tumhein pure college main doonda kaha the tum
B-dia woh main (he sits on his knees catches a bouquet of red roses) I love you dia(she stands shocked and steps back)
B-dia main jaanta hun is waqt tum kaise feel kar rahi ho hum bachpan se dost hain maine ya tumne kabhi sapne main bhi nahin socha hoga ki hum kabhi couple banenge maine tumhe hamesha meri achi friend maana tha jis tarah sam, uday, mayank mere friends hain tum bhi waise hi thi par najaane kyun aaj kal jab bhi main tumhein dekta hoon ya tumse baat karta hun bahut ajeeb sa mehsoos karta hun aisa lagta hain ki hamare baatein kabhi khatam hi na ho main tumse kyun pyar karta hoon yeh nahin jaanta hun par itna jaanta hun ki main tumse jaan se bhi jyada pyar karta hun main tumhein abhi apna jawaab dene ke liye force nahin karoonga tum jitna time chaho le sakte ho main tumhare reply ka wait karoonga bye
(he left from there she stood in confusion her cell rings)
Divya-dia kaha ho tum bina bole kahaan chali gayi
D-woh mom main aarahi hun
(while driving, eating every moment she is remembering only those three words)
Divya-kahaan ko gayi ho teek se khana bhi nahin kaa rahi ho tum teek toh ho na
D-mom mere khane ka mann nahin hain main sone jaa rahi hoon(she leaves)
R-ise kya hua yeh aise kyun behave kar rahi hain college main kuch hua kya
N-nahin chachaji subah teek thi abhi achanak aise behave kar rahi hain
G(to herself)-kahin benji ne toh kuch kahaan nahin na ab main yeh baat kisse kahoon
(after lunch in gunur room)
G-di mujhe aapse kuch kehna hain
N-kehne ke liye permission ki zaroorat nahin hain bol kya bolna hain
G-di mujhse bahut badi gadbad ho gayi hain
N-gadbad(gunjan says everything) tujhe ye sab karne ki kya zaroorat hain
G(she hugs nupur and cries)-maine yeh sab jaan buz kar nahin kiya main toh bas uski help karna chahti thi par mujhe pata nahin tha aisa hoga sorry di
N-tu rona band kar(she wipes her tears) tune koi galti nahi ki yeh sab kuch benji ne kiya humein dia se baat karni padegi
(she goes to dia's room dia is still at that incident nothing more than benji's words she can hear)
N-hi dia kya kar rahi ho sab kuch teek toh hain na pareshan lag rahi ho
D-kuch teek nahin hain (she says everything) maine kabhi sapne main bhi nahin socha ki benji mujhse pyar karega
G-dia I am sorry sab kuch meri wajah se hua
D-tumne kya kiya
G-actually mujhe pata tha ki benji tumse pyar karta hain maine toh uski help karne ke chakkar main yeh sab kuch ho gaya
D-isme tumhari koi galti nahin hain tum bahut boli ho tum in ladko ko nahin jaanti yeh meri problem hain main ise deal karoongi
N-dia yeh sab chodo aur mujhe yeh batao tum benji ke baare main kya feel karti ho tum use pasand karti ho ya nahin is sawaal ka jawaab tumhein khud ko dena hi padega warna yeh baat tumhare dil aur dimaag se nahin jayegi
D-wohi toh samaj nahin aaraha maine hamesha hi use apne dost ki tarah dekha hain ab achanak se ye baat sunkar samaj nahin aaraha kya karoon mujhe toh darr lag raha hain jab who kal mere saamne aayega main usse kaise baat karoon
N-woh sab chodo tum bas yeh socho ki tumhein kaisa ladka chahiye kal subah jab main aaongi tum mujhe is sawaal ka jawwab do uske baad main bataongi ki tumhein kya karna hain
(she thinks whole night about it what she actually wants from her Mr.right. In the morning nupur goes to her )
N-toh tumne kya socha hain apne life partner ke baare main
D-ek aisa ladka jo mujhse bahut pyar kare, ek aisa ladka jo mujhe apne palko pe bitha ke rakhe , koi aisa jo mere bina kahe hi meri dil ki baat samje , jo mujhe kabhi kisi baat ke liye force naa kare aur jo meri family ko pasand aaye
N-toh ab jab tum jaan chuki ho ki tumhe kya chahiye ye dekho benji main woh sab kuch hain ya nahin agar woh waisa hi hain jaise tum chahti ho toh haan kaho warna mana kardo
D-lekin jab use pata chalega ki use main test kar rahi hoon toh use kaise lagega
N-kuch nahin hoga usne bhi wohi kiya tum usse bas itna kaho ki tumhein thoda time chahiye use samajne ke liye
D-tik hain nupur ab main bhi dekhti hun ki uske pyar main kitni sachai hain
N-ab aayi na track pe tik hain main chalti hun agar main late hui toh mayank meri lambi class lega jise sunne ki patience mujhme itne subah subah nahin hain
(she goes down and is shocked to see bauji there)
N-bauji(she goes and hugs him)
Ba-kaise ho beta aur gunjan kaise hain kahaan hain woh
N-woh upar hain main abhi use bula ke laati hun
(she goes up to call gunjan her cell rings its mayank)
M-nupur kahaan ho tum ab tak bahar kyun nahin aayi main tumhara wait kar raha hun
N-bauji aaye hain humse milne
M-tik hain phir main andar aata hun unse baat karne
N-mayank is waqt woh abhi aaye hain
M-thodi der baat bhi toh yehi baat karni hain toh ab kyun nahin main abhi unse baat karoonga
N-lekin sab ghar pe hain sabko kaisa lagega
M-kuch nahin hoga sab ko is baare main pata haintumbewajah tension le rahi ho
N-mayank tik hain par please mujhe ek gante ka time do isse pehle ke tum kuch kaho main khud bauji se baat karoongi
M-tik hain sirf ek ganta usse ek minute bhi jyada nahin doonga
N-jab tak main nahin kahoongi tum nahin aaoge
(she goes down all are present there she is tensed doesnt know what to do)
N-bauji mujhe aapse baat karni hain
Ba-kaho kya kehna hain
N-mujhe akele main baat karna hain
(she goes to her room)
N-bauji woh mujhe samaj main nahin aaraha ki aapse ye baat kaise kahoon isse pehle ki koi aur se aapko yeh baat pata chale main khud aap se yeh kehna chahti hun main kisise pyar karti hun (he is shocked )bauji mujhe maaf kijiye main aapko takleef dena nahin chahti par jab main mumbai aayi(she says him how they met, when she started loving him and how she proposed him after that marriage failure) (she has tears) main nahin jaanti yeh sahi hain ya galat lekin agar aapko yeh sab teek nahin lagega toh aap jo kahenge main woh karoongi bale hi maine usse pyar kiya lekin usse pyar karne se pehle main aapki beti hoon mere liye aapse jyada kuch bhi important nahin hain
Ba-main us ladke se abhi isi waqt milna chahta hun
N-tik hain jaise aapki marzi main use abhi bulati hun
(she asks mayank to come and meet bauji . Both of them are alone in the room)
Ba-tum wohi hona jo us din ladkiyon ke baare main bala bura keh rahe the ab keh rahe ho ki tum meri beti se pyar karte ho tum soch bhi kaise sakte ho ki main tumhari baaton par yakeen karoonga
M-uncle us din ke liye I am really sorry woh nupur ki bachpana dekhkar mujhe uspar gussa aaraha tha usi gusse main maine aapse woh sab kuch kahaan
Ba-aisa kya kiya usne
M-jab dekho sab se ladti rehti hain kitni baar maine use samjaya ladai band karo kabhi sunti hi nahin hain uski isi gusse ki wajah se bahut baar problem main fas gayi
Ba-toh tum kehte ho ki woh buri hain
M-aapki betiyan bahut achi hain jab woh dono yehaan pe nahin aaye hum logo dost toh the par kabhi unki value nahin samaj paaye pyar kya hota hain hum yeh bhi nahin jaante the lekin jab nupur aur gunjan yeha aaye humne unse bahut kuch seeka unki achai ne hum sab main kaafi badlav laya aaj hum sab jaise bhi hain unki wajah woh dono hain
Ba-lekin main tum par yakeen kaise karloon ki tum usse sach main pyar karte ho tumhare saath woh lifelong khush rahegi
M-main apne pyar ko saabit karne ke liye aap jo kahenge woh karne ke liye tayyar hun
Ba-tumhein usse bulna hoga uski zindagi se hamesha ke liye jaana hoga
M-yeh main nahin kar sakta
Ba-abhi toh tumne kahaan ki tum meri har baat maanoge
M-uncle aapne hi toh kahaan ki aap nupur ko zindagi bar khush dekhna chahte hain uski khushi mere saath hain aur waise bhi meri galti kya hain pyar karna koi galat baat nahin hain
Ba-tumhare ghar waalo ko pata hain ki tum nupur se pyar karte ho
M-haan maine unke saamne hi nupur se apne pyar ka izhaar kiya hain
Ba-toh tum apne ghar waalo ko batake sab karte ho tumhare ghar waalo ne tumhein acha sanskar diya par shayad main apni beti ko woh sanskar nahin depaaya isiliye usne ye sab kuch kiya
M-uncle aap galat samaj rahe hain nupur bale hi mujhse pyar karti hain aap uski zindagi hain woh mere liye aapko kabhi nahin chodegi jab uski shaadi honewaali thi tabhi woh mujhse pyar karti thi lekin usne is baat ka pata kisiko chalne nahin diya yeha tak ki gunjan ko usne bina kuch bole apni pyar ko chod diya sirf aap ke khushi ke liye
Ba-tik hain ab tum jaa sakte ho main tumse baad main baat karoonga(he leaves)
Bauji decides to talk to Ravi
Ba-jo kuch bhi ho raha hain tu jaanta hain iske baare main
R-haan bhaiya main pehle se sab jaanta hun
Ba-tune mujhe kuch batana zaroori nahin samja
R-main sahi mauke ka intezaar kar raha tha bhaiya mayank ka dad mera bahut acha dost hain main mayank ko bachpan se jaanta hun jab mujhe pata chala iske baare main main bahut khush tha nupur ke liye aapne hamesha mujhse kahaan ki aap apni betiyon ke liye aise ghar doondna chahte hain jahaan woh itni khush rahenge ki unhe kabhi aapki kami mehsoos na ho main aapko ye yakeen ke saath keh sakta hun ki nupur us ghar main bahut khush rahegi usne ap tak jo kuch khoya hain woh sab kuch use milega
Divya-haan jetji mayank ke maata pita nupur ko apne beti ki tarah rakhenge use kabhi kisi cheez ki kami mehsoos hone nahin denge mayank ki maa toh itni achi hain ki agar aroorat pade toh nupur ke liye woh apne hi bete se ladegi. Aapko nupur ke liye itna acha rishta pure shehar main kahin nahin milega
R-bhaiya aapke liye ya mere liye hamare bachon ki khushi se jyada kuch bhi maanya nahin rakhta na nupur ki khushi usi ghar main hain maan jayiyena
(bauji goes to his room and is still thinking whether it is right or wrong dia and uday go to him)
U-aapne humein bulaya
Ba-woh beta mujhe mayank ke ghar waalo se koi problem nahin hain mujhe sirf mayank se darr hain ki kya uska pyar nupur ke liye hamesha aisa hi rahega ya nahain tum log toh use bachpan se jaante ho uske baare main bachpan se jaante ho tumhein ye bhi pata hoga ki woh college main kaisa rehta hain tum kya kahoge kya woh tumhare behen ke liye teek hain ya nahin
U-uncle nupur meeri sweet sis hain main sabse jyada usi ko pasand karta hun uske liye main kabhi bura nahin soch sakta aur mujhe lagta hain mere sweet sis ko mayank se jyada pyar koi nahin kar sakta mayank hum sab se bhi jyada nupur ka khayal rakhta hain
D-aapko mayank ke character ke baare main darne ki koi zaroorat nahin hain woh college ka sabse acha ladka hain lecturers ko bhi mayank bahut pasand hain please maan jaiye uncle please
(he puts hand on her head)
Ba-thanks beta nupur aur gunjan ko itna pyar dene ke liye
(in the night gunjan goes to call him for dinner he is standing at window)
G-kya hua bauji itna kya soch rahe hain
Ba-us ladke ke baare main beta samaj nahin aarahaan haan kahoon ya nahin yeh tumhare di ke zindagi ka faisla jald baazi main kuch bhi karoonga toh tumhare di ko zindagi bar pachtana padega tu kya chahti hain
G-main kuch samji nahin
Ba-bale hi ye sab sach keh rahe ho lekin in sab se jyada nupur ko tu jaanti hain aur uski khushi ke baare main mujhse bhi jyada tujhe fikar hain tujhe mayank nupur ke liye sahi lagta hain ya nahin
G-bauji maine mayank ki wajah se di main bahut khush hain di ko maine itna khush pehle kabhi nahin dekha di ke liye mayank bilkul teek hain(she hugs him )
Ba-agar tum bhi yehi chahti ho toh teek hain main is shaadi ke liye haan kahoonga
G-sach bauji main abhi di ko batake aati hoon di bahut khush hogi subah se bahut pareshan hain
Ba-use yeha bulao main khud usse baat karoonga
(nupur comes there)
N-bauji aapne mujhe bulaya
Ba-agar tumhari khushi us ladke ke saath hain toh main teri khushi ke liye haan kehta hoon par is faisle ke baad aage jo bhi mushkile aayengi tu khud uske liye zimmedar rahegi main chah kar bhi kuch nahin kar sakta kya tujhe apne faisle par barosa hain
N-mujhe apne faisle par pura barosa hain main aapko kabhi shikayat ka mauka nahin doongi
Ba-yehi main tere muh se sunna chahta tha mujhe tere barose par barosa hain(she goes and hugs him tears are in her eyes)
N-thanks bauji main kya kahoon samaj nahin aarahaan
(next day he goes with ravi and divya to mayank house by then mayank also informs about the whole matter)
Shilpa and Sanjay assure bauji that they will take care of nupur as their own daughter.
Atlast bauji talks to mayank
M-thanks bauji maanne ke liye
Ba-abhi maine haan nahin kahaan haan main tab hi kahoonga jab tum nupur ko sachai bataoge ki pehli baar hum kaise mile woh bhisab ke saamne
(mayank goes to nupur)
M-nupur tumse kuch bahut zaroori baat kehni hain
N-iswaqt tum paagal ho gaye ho hum baad main baat karenge
M-abhi kehna hain baad main nahin nupur woh pehli baar jab main tumhare bauji se mila tab tum nisha se exams ke liye lad rahi thi mujhe tum par bahut gussa aaraha tha ki tum meri baat sun nahin rahi ho isiliye maine gusse main aakar tumhare bauji ke saamne tumhari burai ki tab mujhe nahin pata tha ki woh tumhare bauji hain
N- kya burai ki
M-maine kahaan (he repeats all his words what he told to bauji) nupur maine gusse main kahaan tha mujhe tumhari buraai karne ka koi iraada nahin tha I am sorry
N-tumne aaj tak mujhse yeh kyun nahin kahaan tum par barosa karna meri hi galti hain mujhe tumse baat nahin karni
M-par nupur
N-go to hell
bauji atlast agrees to the marriage they decide to do sagai after they finish their final year
Sam in his room is thinking deeply
Dadi-kya hua itna kya soch raha hain(he keeps his head on her lap)
S-kuch nahin dadi aap logo ne mere liye itni jaldi haan kehdi lekin aur mayank ke liye bhi wohi hua par jab baat nupur ki aayi nupur ke bauji ne itna enquiry kiya jitna passport applicstion ke liye karte hain
Dadi-tu budhu hain aur budhu hi rahega ladke ke liye sirf ladki ke baare main jaanna zaroori hain kyunki woh hamare saath rahegi lekin wohi jab ladki ki baat hain ladke ke pure khandhan ke baare main jaanna zaroori hain kyunki ko ladki ko apne ghar chod kar ladkeke parivaar ka hissa banna hain dekhna toh padega na ki unki beti wahaan khush rahegi ya nahin
S-mayank toh bach gaya lekin agar meri enquiry aise chali na toh main zaroor fail ho jaonga
Dadi-chupkar tujhe koi mana nahin karega tu mera pota hain ab raat bahut ho chuki hain yeh sab sochna band kar aur chup chap soja
Edited by --unknown-- - 14 years ago