part 18
S-kya hua dude itni raat ko kyun call kiya
M-woh nupur
A-mayank tumne galat number ko call kiya yeh nupur ka nahin mera hain
M-thanks for ur kind information
U-mayank tumne ye jaanne ke liye itni night ko call kiya
C-uday mujhe samaj nahin aara tum pass kaise hue
R-cj tumhein agar yeh pata chala toh main tumhein genius bulaonga
D-woh toh mayank ka naam hain
K-itni raat ko mayank genius hain yeh bolne ke liye call kiya
B-call humne nahin mayank ne kiya
S-dude tumne koi maun vrat rakha hain kya jo call kiya aur baat nahin kar rahe ho
M-woh main apne turn ka wait kar raha tha woh tum sab log discussion main busy ho na isliye
S-acha bolo kya baat hain
M-tum log jaante ho na
B-hum kuch nahin jaante isiliye to tumne humein call kiya
M-benji shut up subah se nupur ro rahi hai na toh main sochh raha tha
R-toh kya tum uske liye shok saba arrange karoge
M-shut up raj tumhein shok sabha ka matlab bhi pata hain
R-nahin aur raat ke is waqt main uske baare main discuss bhi nahin karna chahta
M-toh apna muh band rakho parso nupur ka birthday hain na
S-samaj gaya tum uske liye suprise party rakhna chahte ho
M-is poore gang main atleast ek ke paas atleast dimaag hain
B-uske pass dimaag nahin girlfriend hain tumhari tarah jo hamare pass nahin hain
S-tujhe kyun itni jealousy ho rahin hain maine tumhein girlfriend rakhne se mana kiya kya
B-mana nahin kiya lekin jab tak tum dono us college main rahenge humein kaun dekhega
M-guys please ladna band karo aur meri baat suno
D-bolo mayank yeh beji aise hi bolta rahega
M-dia mujhe tumhari aur uday ki help chahiye tumhein apne parents ko party ke liye convince karna hoga
D-don't worry mom dad mana nahin karenge
M-kuch bhi karke morenas ko bahar bejna hoga
D-mom yeh kaam kar sakti hain main dono ko mom ke saath bahar bejoongi
S-lekin chashmish ko bahar bejne ki zaroorat kya hain
M-tumhein usse dur rakhne ke liye
D-sammy tum nahin jaante gunjan ko iske baare main pata chala toh woh seeda nupur se kahegi
M-dats right acha tum sabko kya kya karna hain dyan se suno bina bak bak kiye(he explains whole plan) aur ek baat hum sabko aise rehna hain jaise humein pata hi nahin uska birthday hain
U-aisa kyun main toh apni sweet sis ko sabse pehle 12 baje wish karoonga
M-uday agar use pata ki humein pata hain us din uska birthday hain toh surprise main mazaa nahin aayega
C-uday tum kab sudroge bhagwan bhi nahin jaanta hoga
(all laugh)
M-ok guys parso milenge dia ke ghar main
On that day as per the plan everything happens divya takes gunur out for shopping and they make all the arrangements by the time gunur return. When she enters lights are off when she goes to middle of the room lights are on and everyone wish her at same time. All her friends and their families are present
She is shocked. Gunjan catches her head
All her friends come near her
M-tumhein kya lagaa humein tumhara birthday yaad nahin hain
D-humne jaanbuzz kar anjaan hone ka acting kiya
U-main toh tumhe night 12 ko hi wish karna chahta tha par mayank ne mana kiya
C-tumhe surprise jo karna tha
S-toh kaisa lagaa hamara surprise
M-happy birthday nupur(he gives her roses her favourite red roses)
(she throws flowers all are shocked)
N- jis din ko main bhulana chahti hoon tumne usdin ko kyun yaad rakha isdin ne mujhe takleef ke alawa kuch nahin diya
(she goes out from there with tears in her eyes out she falls on her knees and starts crying keeping her head in her hands)
G-tum sab ko yeh karne ki kya zaroorat thi ek baar atleast mujhe bata sakte the na apni mannmaani karne ki kya zaroorat thi
Ni-gunjan humne badi mushkil se itna sab kuch kiya aur ulta hum par hi gussa kar rahi ho actual hamari hi galti hain yeh jaante hue ki tumhari di ka dimaag kharab hain humne apna time waste kiya
G-just shut up nisha ek aur shabd bhi mere di ke baare main kahaan toh main kya karoongi mujhe khud pata nahin kya jaanti ho tum meri di ke baare main kuch nahin jaanti tumhe ata bhi hain di ne aisa kyun kiya kyunki di apni birthday se nafrat karti hain di is din se isliye nafrat karti hain kyunki isi din hamari maa humein hamesha ke liye chod ke chali gayi di ki birthday gift laane ke liye maa bahar gayi thi aur kabhi laut kar nahin aayi di aaj bhi khud ko maa ke maut ke zimmedaar samajthi hain maine bauji ne sabne di ko bahut samjaya par di ye baat bhula nahin paayi isiliye hum chahte hue bhi di ki birthday ko celebrate nahin karte
(she goes out to see nupur)
N-(sitting on her knees and is crying looking at stars)aap mujhe chod ke chali kyun gayi kya main itni buri hoon mujhe aapke bina nahin rehna mujhe aapke paas aana hain
Shilpa(from back)-aisa nahin kehte beta
(shilpa and divya go to her make her sit on the bench wipe her tears)
Shilpa-(puts hand on her chin)-kisne kaha tum buri ho aur kahaan jaane ki baat kar rahin ho gunjan ko akela chod dogi tum uski sahara hona tum toot jaogi toh use kaun sambhalega jo hua usme tumhari koi galti nahin hain yeh sab hamari kismat hain tum is tarah rone lagogi to tumhari maa ko bhi acha nahin lagega tumhari maa ki khushi tum dono ki hasi main hain woh jahaan kahin bhi hain unhe tum dono ki chinta hain tum is tarah khud ko takleef dogi toh unhein bhi takleef hoga
Divya -aisa nahin rote beta main tumhari maa toh nahin hun par tumhari maa jaisi hun jis tarah dia meri beti hain tum dono bhi meri betiyan ho apni maa ke liye tumne apna birthday celebrate karna chod diya mere liye tum phir se apni birthday celebrate karogi na tumhari maa bhi yehi chahti hain beta(she hugs her and starts crying)
(gunjan standing there crying dont know what to do Dadi sees her in that position)
D-kya hua beta aise chup chap kyun kadi ho
G-dadi mujhe samaj main nahin aaraha main kya karoon mujhe jab bhi takleef hoti hain mujhe di sambhalthi hain lekin jab di takleef main hoti hain main kuch nahin kar paarahi hun di meri takat hain main di ko is haal main nahin dekh sakti
Dadi -tum rone lagogi to tumhari di aur bhi rone lagegi apni di ke liye apni aasuon ko roko (she wipes her tears)chalo mere saath (she takes her to nupur )
G-di mere saath chaliye na cake cut karna nahin hain kya
N-mujhe nahin cut karna
(she sits on her knees in front of nupur)
G-aap meri achi di hona mere khushi ke liye kuch bhi karti hona toh kya meri khushi ke liye apni birthday celebrate karona
(she is silent)
G-please di mere liye cake cut karona warna main rodoongi
(both hug)
N-teek hain tere liye cake cut karoongi
G-toh chalo mere saath(she cathes her hand and takes inside)
Yeh Zindagi Khole Bahein Khadi(gunjan lights the candles)
Hawa Yun Chali Dil Kahe Tu Bhi Zara Saath Aaa(catches nupsi hand and takes her there)
sam brings guitar and starts playing
in the music she requests nupur to cut the cake putting hand on her chin. Nupsi cuts cake everyone claps she feeds cake to gunjan and gunjan to her she again starts singing
Kal Chotisi Chuti Yaadon Ki Gaali (she puts hands on nupur from back and nupur beats her with her head)
Pal Mein Naya Aisa Waadon Ka Silsila(nupur gives her hand and gunjan catches it from back)
Bheed Mein Bhi Kyun Lage Ki Hum Doo Akele Yahaan(gunjan points to everyone and then points each other)
Nikhale Jo Ghar Se Chale Jab Hum Tum(she comes front and asks nupur to give her hand she gives they both go front)
Apne Safar Pe Chale Jab Hum Tum(both dance catching hands)
Sapne Hai Dil Mein Chale Jab Hum Tum
Mushkil Dagar Pe Chale Jab Hum Tum(both hug)
Lakhon Ki Raate Le Uda Woh Panchi Dil Ka(gunjan breaks the hug and point to nupurs heart)
Apne Hi Ghar Se Ho Juda Woh Panchi Dil Ka(gunur eyes get wet remembering home dia and uday come to them)
Nikhale Jo Ghar Se Chale Jab Hum Tum (nupur and gunjan catches uday and dia's hand and dance )
Apne Safar Pe Chale Jab Hum Tum
Badal Ab Tak Jo Tarse Bin Mausam Ab Woh Barse(flowers fall on them they go round looking up)
Bhoondon Mein Sapne Liye Ambar Se
Nikhale Jo Ghar Se Chale Jab Hum Tum(whole gang catches each others hand and dance)
Apne Safar Pe Chale Jab Hum Tum
Nikhale Jo Ghar Se Chale Jab Hum Tum
Apne Safar Pe Chale Jab Hum Tum
(all clap again gunur hug)
S-tum itana acha gaati ho kabhi bataya nahin
G-tumne kabhi poocha nahin isiliye maine nahin bataya waise bhi main apni di ke liye gaati hun showoff ke liye nahin(looking at pooja)
S-please nahin
G-main is waqt ladna bhi nahin chahti
M-sorry nupur tumhein hurt karne liye main toh bas tumhein khush dekhna chahta tha
N-isme tumhari koi galti nahin hain tumhein mere past ke baare main kaise pata chalega tumne toh jo kuch bhi kiya meri khushi ke liye kiya tumhari wajah se itne saal baad aaj maine apna birthday celebrate kiya
(just then bauji enters)
Gunur-bauji
(gunur go to him and hug him)
M-bauji
sam-maine inhe kahin dekha hain
M-college main bhul gaye uncle jhansi ki rani
S-matlab woh morenas ke bauji hain
M-haan agar unhone humein pehchaan liya toh humara kya hoga
S-tumhara toh pata nahin par chashmish mere liye special drink banayegi poison milake
M-aur nupur mujhe kacha chaba jayegi
B-tum dono ki toh kismat khul gayi
M-shut up benji
S-ab kya karenge yaar
R-isse pehle ki woh sach bole tum dono sach bol do
S-kya idea hain seeda sherni ke muh me sar rakhne ke liye keh rahe ho
M-sam tension mat lo pehle woh humein pehchan le uske baad sochenge
S-kab chashmish mujhe maarne ke baad
M-tumse pehle nupur mujhe maaregi yeh problem sirf tumhari nahin meri bhi hain tnsion kyun lete ho main hoon na tumhare saath
S-marne ke liye
M-sam shant ho jao kuch nahin hoga
N-bauji aap yeha
G-aap toh kal hi aane wale the na
N-tumhe kaise pata bauji kal aane wale hain
G-bauji aur maine socha ki aaj ke din hum morena main rahenge
Ba-haan beta par mujhe zaroori kaam tha isiliye late hua ab chalein morena
G-zaroor chalenge waise bauji aaapke liye ek good news itne saalo baad di ne apna birthday celebrate kiya
Ba-sach main tujhe bata nahin sakta aaj main kitna khush hoon(she hugs him)
N-sorry bauji maine aap sabko bahut pareshan kiya
Ba-main toh tum dono ko khush dekhna chahta hun mujhe aur kuch nahin chahiye(they go inside bauji meets her brother and sister in law ravi introduces sayank and benji's parents)
R-aap kal subah jaa sakte hain na aap jab bhi aate ho ek din bhi nahin rukhte jaldi chale jaate ho
Ba-Ratna in dono ko bahut yaad kar rahi hain jaana toh padega agli baar zaroor rahoonga
(gunur go up to bring their bags sayank are still in confusion)
M-nupur chali jayegi do din se teek se baat nahin hui kuch bhi karke usse milna hoga kya karoon
(he goes to uday busy chatting with cj)
M-hi uday kaise ho
C-mayank tum yeh question ab pooch rahe ho
M-uday mujhe tumhari help chahiye mujhe nupur se milna hain
U-main tumhari help nahin kar sakta mom ya dad ko pata chalega toh mujhe maar dalenge
M-agar nahin milaya toh main tumhe maar daloonga
U-try karoonga guarantee nahin de sakta
C-idea teeno ek saath upar jayenge kisiko shak nahin hoga
U-agar mayank upar jayega toh har kisiko pata chalega
M-tumhare ghar ke andar jaane ka koi aur rasta hain
U-balcony se jaa sakte hain
M-waise main nahin jaa sakta
C-toh phir ek aur idea hain
M-kaisa idea
C-nupur se wapas aane ke baad milna
M-yeh nahin ho sakta mujhe usse abhi milna hain
(when no one see they just silently go up)
N-tum upar kyun aaye
M-mujhe tumse baat karna hain tum wapas kab aaogi
N-chutiya hone ke baad
M-matlab 10 din main tumhein 10 din bina dekhe nahin reh sakta
N-meri photo dekh lena
M-tumhari photo se baat kaise karoon
N-mujhe call karna baat karne ke liye
M-mat jao na
N-jaana toh padega tum apne parents ke saath rehte ho meri bauji mujhse milne itne dur se aaye hain main unke saath nahin jao
M-main tumhe bahut miss karoonga jaldi aana aur mere phone ko avoid mat karna
N-main bhi tumhein bahut miss karoongi (he catches her hand and kisses it his eyes become teary)
(she hugs him)
N-main hamesha ke liye nahin jaa rahi hoon aa jaongi
M- I love you
N-I love you too
M- apna khayal rakhna
N-tum bhi ab neeche chalein
M-haan chalo( gunjan comes with gang)
D-mayank tum yeha kaise
U-main batata hoon
D-nupur tum dono chali jaogi toh hum bahut bore feel karenge
U-haan nupur main raat ko kisse baatein karoonga
N-tum log bhi aaona acha trip rahega
D-abhi nahin phir kabhi
(sam takes gunjan from there)
S-chashmish mujhe tumse baat nahin karni
G-phir mujhe yehaan kyun keech kar laaye main jaa rahi hoon
S-mujhe tum par gussa aaraha hain
G-(puts hand on his face)kya hua kisliye itna gussa
S-jab tumhare bauji morena chalne ke liye kahaan jat se tayaar ho gayi ek baar bhi mere baare main nahin socha
G-main apne ghar jaane ke liye mana kyun karoon waise bhi main hamesha ke liye todhi jaa rahi hoon 10 din main aa jaongi
S-tab tak main bore ho jaonga
G-kyun bore ho jaoge dadi hain na tumhari girlfriend aur waise bhi tum jab chahe tab mujhe call kar sakte ho ab yeh bachon ki tarah chehra banana band karo aur mujhe jaane do(she kisses on his cheek)
S-jaldi aana warna main morena aa jaonga
G-good idea ab chalein isse pehle ki koi humein dundte yeha pahunche
(they go there)
A-gunjan tum kahaan chali gayi thi tumhari bauji tumhare baare main pooch rahe the
G-sach main main toh gayi
D-woh mazak kar rahi thi neeche chale tumhare bauji tum dono ka wait kar rahe honge
(sayank are tensed to meet bauji)
N-haan dia sabko bauji se bhi milana bhi hain chalo
S-ab is waqt iski kya zaroorat hain phir kabhi aaram se milenge
G-bauji neeche hi hain kahin aur nahin chalo
(They go down and nupur introduces all of them to bauji)
Ba-inse toh main pehle hi mil chuka hoon
B-uncle ki memory power bahut achi hain
M-shutup benji
N-kab bauji
Ba-usdin tum dono se milne aaya tha na usi din mila tha
N-tum logo ne bataya nahin
Ba-unhe kaise pata chalega ki main kaun hoon ab chale bahut der ho rahi hain
(gunur say bye to everyone and leave)
S-aaj toh bach gaye
M-lekin jab sach ka pata chalega tab kya karenge
S-baad main sochenge
D-guys tumne bataya nahin ki tum bauji se mile the
(benji starts laughing)
A-bhai isme hasne waali kya baat hain
(he says wat happened)
D-agar nupur gunjan ko is baare main pata chala to tum dono ki kair nahin
S-candy please badi mushkil se chain ki saans liya tum nayi tension shuru mat karo
(after that day sayank's family understand about gunur and gunur family and they wholeheartedly are happy for sayank's choice but sayank are still in confusion about how to face bauji what will happen if bauji knows the truth )
Gunur reach morena around 2 in the night bui is waiting for them eagerly .
Bui-meri bachiyan kaise ho tum dono itne din baad bui ki yaad aayi
G-agar bhulenge toh yaad karenge na
Bui -baatein banana koi tujhse seekhe
N-aap itni raat tak jaag rahi thi aapki tabiyet kharab hota toh
Bui-tum dono ko dekh kar tabiyet kharab nahin hogi balki jo bhi bimaari hain woh bhi bhag jaayegi bahut tak gayi hongi jaake aaram karo subah baat karenge champa dono ko upar le chalo
N-bui hamara ghar hain hum chale jayenge aap aur bauji bhi aaram kijiye raat bahut ho chuki hain
Champa-didi bui tumhare kamre ko roz khud saaf karti hain us kamre ke ander kisiko aane bhi nahin deti
G(she puts hands on her shoulder)-tum jaanti ho na bui ko jaane do yeh batao morena main ho kya raha hain
Champa-didi aapki saheli meenu ki shaadi tay ho gayi hain teen din bad shaadi hain
N-is meenu ki bachi ko shaadi tay ho gaya bataya bhi nahin dekh use kaise saataaongi
Champa -aap log sojaiye warna bui mujh par gussa karegi main aapse subah ko milti hoon
N-acha jaa
(they look their room nothing changed but they changed)
G-di sab kuch kitna naya lag raha hain na
N-haan gunjan ek ajjeb sa ehsaas hain pata nahin kisliye
(just den her cell rings)
G-kiska phone hain di
N-aur kiska Mr.Mayank Sharma ka woh soyega nahin mujhe sone nahin dega
G-aap baat kijiye main abhi aayi
N-haan bolo mayank tum ab tak nahin soye
M-tum se baat karne ke liye wait kar raha tha tab se try kar raha hoon phone hi nahin lagraha tha
N-woh journey main thi na isliye
M-teek se pahunch gayi
N-haan pahunch gayi ab baat kiya na chup chap so jao aur mujhe sone do subah baat karoongi good night(she cuts the phone seeing bui coming that side)
M-par nupur kaat diya mera koi value hi nahin hain(he falls on bed)
Bui-tum dono ab tak soye nahin kahana aaram karne ke liye
N-woh bui hum soneke liye jaane wale hi the aap aagayi
Bui -acha main jaati hun waise is waqt cell kyun pakda hain kisse baat kar rahi thi
N-nahin bui woh bag se cheezein nikal rahi thi tab cell haat main hi reh gaya
Bui-tik hain ab aaram karo (she leaves)
N-aaj toh main baar baar bach gayi yeh mayank bhi na (she smiles catches locket on her neck opens it kisses his photo)love you miss you
(next day in the morning five her cell rings with great difficulty she gets up)
N-itni subah kiska phone hain hello
M-good morning
N-tum itni subah tumhein koi kaam nahin hain kya mayank subah subah khud bhi sote nahin ho mujhe bhi sone nahin dete
M-acha teek hain phir kabhi tumhein disturb nahin karoonga bye
(he cuts phone)
N-yeh subah subah mujhse ladne ke liye call kiya kya hey bhagwan iska main kya karoon acha neend kharab kiya upar se ladai ki
(she calls him back)
M-ab kyun call kiya sona tha na aaram se meri neend udadiya aur khud aaram se so rahi ho
N-sorry
M-mujhe tumse baat nahin karni
N-sorry sorry sorry(he is shouting she continuosly says sorry)
M-acha maaf kiya
N-ab bolo itni subah subah kyun call kiya
M-do din se tumne mujhse tik se baat nahin kiya kal raat ko bhi phone cut kiya isiliye subah hone ka wait kar raha tha tumse baat karne ke liye
N-tum bhi na mayank kya kahoon samaj nahin aarahaan kya kar rahe ho
M-kuch nahin pad raha tha
N-phir mujhe kyun call kiya
M-woh mujhe tumse baat karni thi isliye
N-bolo kya baat karni hain
M-tumne mujhe kabhi apne past ke baare main kyun nahin bataya
N-kabhi mauka nahin mila
M-ab bolo tum bachpan main kaise thi tumhara morena kaisa hain bui aur bauji ke alawa aur kaun kaun hain morena main
N-itne saare questions ek saath ek ek ka answer deti hoon
(they keep talking its around 7 gunjan gets up nupur is talking standing at window)
G-itni subah di kisse baat kar rahi hain chal kar dekhti hun(she goes slowly and hugs nupur from back)
nupur shouts
M-kya hua tum chilla kyun rahi ho
N-kuch nahin main tumse baad main baat karti hun ab main phone rakthi hoon bye
M-acha bye miss you
N-mee too(she keeps phone and smiles)
G-goodmorning di(she hugs)
N-goodmorning
G-subah subah aapko haste hue dekh kar acha laga kya baat hain di itni subah 7 baje ko hi call kiya
N-7 baje nahin 5 baje do gante ho gaye hain yeh mayank bhi na
G-5 baje call kiya waise mujhe yeh problem nahin hain mujhe khud use phone karke utana padta hain warna sirji 10 baje tak bhi sote rehte hain actually dadi ko kehna chahiya kuch nahin kehti samrat ko aur kisi ko kuch kehne bhi nahin deti
N-gunjan please shant ho jaa abhi ab tak mayank ne sar khaya ab tu shuru mat kar mujh main patience nahin hain
Bui shouts nupur
G-bui bula rahin hain ab kaise bachegi
N-hey bhagwan please bacha lena agar phir bui ne shaadi ka topic shuru kiya toh main toh gayi lagta hain sab logo line main khade hain ek ke baad ek sar kane ke liye
both get ready and go down
bui is working in kitchen
(gunjan goes and hugs her from back nupur sits on kitchen seat eating carrot)
G-kya bana rahi hain bui smell toh acha aa raha hain
Bui-tum dono ki pasand ki khana kitna kamzor ho gayi ho tum dono shehar main reh kar teek se khate peete nahin ho kya
N-aapko aisa hi lagega hum chahe jitna bhi motha kyun na ho jaaye aapko kamzor hi lagega
Bui- waise kaisa hain tumhara shehar itne din aaram se rahe honge main jo nahin thi
G-bui aap bhi na kaise baatein karte hain
N-aapke jitna hamara khayal koi nahin rakhta
(champa comes)
C-nupur didi aapki dost aaye hain aap dono se milne meenu bhi aayi hain
N-aane do dekhti hun us meenu ki bachi ko mere bina hi shaadi kar rahi hain
Bui-sab ki shaadi ho rahi hain tu kab karegi maine ek ladka dekha hain tere liye
(she catches her head gunjan looks at nupur and smiles)
N-shuru ho gaya mujhe abhi shaadi nahin karni padai hone ke baad karoongi
Bui -tum aaj kal ki ladkiyan na jab bhi dekho padai ka bahana banate ho is umar main nahin karoge toh kab karoge
N-bui please agar aapne phir se shaadi ki baat ki toh abhi shehar wapas bhag jaongi maine kaha na baad main karoongi
Bui-tumse baat karna bekaar hain
N-bui please gussa mat hona aap mujhse rutengi toh mujhe acha nahin lagega
Bui-main tum dono se kabhi nahin rut sakti
N-acha hum apni dosto se milkar aate hain chal gunjan
(they go out someone beats gunjan from back on her head she turns and doesnt find she goes to her friends again that guy tries to hit nupur catches his hand)
Guy-tum bhi na hamesha ise bachati rehti ho
N-phir tum mere saamne meri behen ko satao aur main dekhti rahoon
G-tabse tum maar rahe the tumhein toh main chodungi nahin(she runs behind him he makes her run in the whole house she is tired sits on sofa )
Guy-kyahua itni jaldi haar maan gayi
G-suraj tumhe toh main baad main dekhloongi mujh main ab patience nahin hain bahut bhuk lag rahi hain chal breakfast karte hain
S-acha teek hain chalo
(they go to dining table)
Bui-tum bhi aa gaye
S-meri best friend itne din baad wapas aayi aur main usse milne na aaon aise ho sakta hain kya kya bolti ho pari
G-kitni baar kahaan hain pari mat bulao mujhe acha nahin lagta
S-waise kaise hain tumhara mumbai koi ladka mila
(she pinches him)
Bui-tu meri bachiyon ko bigaad na kyun chahta hain
S-pari ko bigaadne ki zaroorat nahin hain already bigad chuki hain(to gunjan)kya kehti ho sunao tumhari lovestories jo tumne college main set kiye hain
G-agar tumne kuch bhi bolana toh dekho main kya karti hoon
S-tumse panga lekar mujhe marna nahin hain pata nahin kaun hain woh badnaseeb jo tumhein bare karega mere alawa tumhein aur koi bare nahin kar sakta
N-tumne mere behen ke baare main kuch bhi kahaan na toh dekho
S-tumhari behen tumhari support dekh kar hi itni ud rahi tumhari behen se atleast lad sakte par tumse ladna impossible hain
G-meri di hain hi impossible
S-agar angad hota na toh tum yeh nahin kehti
N-uska naam mat lo bina bole us chala gaya aaj ke zamaane main dosti ki koi value nahin hain
G-waise angad waapas kab aayega
S-teen saal baad
N-tum nahin jaa rahe ho bahar
S-nahin main tum logo ki tarah nahin hoon main morena chod ke kahin nahin jaonga waise pari jaldi ready ho jaa college jayenge sab tumhein bahut yaad kar rahe hain
G-main 10 minute main aayi
(she goes to her room her cell is ringing she lifts it)
S-toh boliye chashmish kaisi rahi aapki journey
G-tumhein bahut jaldi meri yaad aa gayi mujhe tumse baat nahin karni
S-woh main kal raat ko hi call karne wala tha par
G-so gaye
S-utne ke baad sabse pehle tumse hi baat kar rahaa hoon
G-ab tak so rahein the tumhein na koi sudhar nahin sakta waise kya kar rahein ho
S-kuch nahin tumhein miss kar raha hoon
G-kitna miss kar rahe ho achi tarah se samaj main aaraha hain (dey keep on talking)
Suraj-yeh pari 10 minute boli aada ganta ho gaya ab tak nahin aayi
N-ek minute main dekh kar aati hun
(nupur sees gunjan talking to sam)
N-gunjan phone rakh ke neeche jaa warna suraj upar aajayega aur saari lovestory aaj hi khatam ho jayegi samrat se baad main baat karlena
G-samrat main busy hoon main baad main call karoongi bye
S-par chashmish(she cuts the phone)
gunjan leaves nupur decides to call mayank
(mayank is having his breakfast)
M-nupur ka phone atlast meri yaad aahi gayi
(he goes inside and lifts the phone)
(shilpa comes out)
Sh-yeh kaha hala gaya
Sanjay-important call hain attend karne gaya
Sh-important call(both smile)
M-atlast aapko hamari yaad aa gayi hamari toh kismat khul gayi
N-yaad karne ke liye bhulna padta hain aur aapko hum kaise bhul sakte hain
M-waise aapne humein yaad kaise kiya
N-woh roz is waqt koi mujhe pick karne aata hain aaj woh nahin aaya isiliye humne unhe call kiya
M-hum unke ghar gaye the woh wahan nahin mili
N-kahaan chali gayi aapko chod kar
M-morena apni family ke paas isiliye uske lautne ka intezaar kar raha hun
N-agar woh laut ke nahin aayi toh
M-toh main khud morena chalajaonga use waapas laane
(dey continue chatting after sometime she notices champa coming there she says bye and cuts the phone)