In Shimla (Arjun's cabin)
Arjun baith kar laptop kar raha hota hai, Arohi ati hai coffee le kar
Arjun Arohi ki taraf dekhte huwe kehta hai: phirse mujhe boring coffee pee lana chahti ho
Arohi: pee li jiye sir!! may be yeh aapki zindagi ki akhri coffee hai
Arjun: kahin tumne issme zeher to nahi millaya?
Arohi: pee kar dekh li jiye
Arjun pee tha hai aur zor se " burkkk " kehta hai
Arohi smiles: kya huwa sir? garwi hai kiya? ohh!! bohot buda huwaa na...
Arjun ghusse se: tumse bada aur koi duffer nahi ho sakhta, apne boss ko itni garwi coffee pee lane ki himat bhi kaise huwi?
Arohi zor se hasne laghti hai aur kehti hai: aap ko kiya lagha tha aap mujhe torture karen ge aur main chup chap sehti rahoun gi.... nahi!!... main unn ladkyon mein se nahi houn jo tum jaise monster se dar jayein
Arjun: main aagar monster houn to tum kaun ho? Jungli billi!!!
they start fighting
~~~~~~
At terrace, Salil aur Purvi wahan jate hain to wahan pe koi nahi hota
Purvi: Arohi kahan hai?
Salil: ohh!! i think woh niche challi gayee
Purvi: niche chal kar dekhte hain
Salil: haan chalo
~~~~~~
Arjun aur Arohi ladh rahe hote hain lekin phir ek dum se une Purvi aur Salil ki batein yaad ati hai jab unnho ne kaha hota hai " tum dono ka jab bhi ek dosre se fight karne ka dil kare na to ek baar apni ankhein baand kar ke koi aise moment soch lena jab tum dono ko ek dosre ke liye kuch acha feel huwa ho "
Dono woh pal sochne laghte hain... aur phir dheere se muskurah the hain
Purvi aur Salil ate hain aur phir dono ko aise dekh kar muskurah the hain
Salil: maine kahan tha na tum se
Purvi: kabhi to yeh dono iss kadar ladh rahe hote hai jaise dushman ho aur phir dosre hi pal doston ki tarah ek dosre ke saath hote hain
Arjun: aaj 9bajhe hamri meeting hai
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
In Ludhiana (At shopping mall)
Kaafi sari shopping karte hain... aur phir Heer kehti hai
Heer: maa chahti hai ke aap sab aaj hamare yahan dinner karein
Maan: unty bohot acha khaana bana thi hain, main to yeh moqa nahi gawayon ga aur phir isse bahane Geet se phir millna ho jaye ga
Geet: jin ki kismat mein saath likha huwa hota hai woh to mill hi jaate hain
Heer mudhti hai to Prem piche hote hai, dono ek dosre ke bohot paas hota hai aur Heer apni ankhein niche kar leti hai
Prem jaa kar Maan ke paas gadhe ho jaata hai aur kehta hai: thik hai hum wahan aa jayein ge
Heer: Preet tum bhi ana
Preet: kyon nahi bha.... (in his mind " yaar yeh bhabhi lafz to meri zubaan par hi tehr gaya hai)
Heer: yeh tum mujhe bha keh kar kyon bhulla rahe ho?
Preet: kyon ki... (in his mind: aab kiya kahoun?) haan!! woh mera ek bohot acha friend hai jisska naam bha se shuru hota hai aur issi liye baat baat pe uska naam moo se nikal jata hai
Prem think " yeh Preet mujhe marwaye ga ek din "
Sab jaane laghte hain aur Heer bhi tab uska dupatta phaas jata hai aur piche Prem hota hai, Heer ko aise mehsoos hota hai jaise Prem ne uska dupatta pakra huwa hai lekin jab woh mudh kar dekhti hai to uska dupatta Prem ki watch mein phasa huwa hota hai, Heer apna dupatta kench the huwe wahan se challi jaati hai aur uss dupatte ka adha tukra path kar Prem ki watch mein reh jata hai
I hope u all like it,
leave ur compliments,
and hit the like button,
~Amira~