"res"
Di aap sochenge itni dinaun baad comment kar rahi hoon aur woh bhi res,..i wil edit this so0on...n im dilse sorry for being so late...
**edited**
Hie di...
This last part was the bestest update of ur ff...jaise hiraun mein Kohe-e-noor....
Update was mixed of all the important relations of our life.....aur sabse markaz rishta dosti ka rishta...joh ke isaar aur qurbani pe mubni hai...
Thank you baccha 😊 aap ki comment ki shuruwat itni khubsoorat alfazon me hui hai k aage ka parhne me zara sa hich khichat horahi thee..
Segment 1
Yeh seg bahut dilkash tha...jis tarah aapne nupur aur mahek ke rishte ko ujagar kiya...dono ki soch aadatien joh ke ekdum mukhtalif thi jis tarah rahen sahen alag tha jiske bawaj bhi unki dosti kis tarah parwan chadi jis tarah unke dilaun mein ek dusre ke liye pyaar badhta gaya...jiski wajah se dono mahek aur nupur ek dusre ki zindagi ka atoot hissa ban gaye..jiski wajah se woh apni zindagi ke har chote bade haalaat baatne lage..aur dono kabhi na toothne wali dosti ke atoot rishte mein bandh gaye... puri tarah yeh seg badhiya tha
accha laga dekh ke k aapne iss segment ko itna saraha. It means a lot to me. dosti ka woh jazba aur readers k dil me usska ujagar karna apne aap hi me ek mushkil ka kaam tha. I am glad I could achieve that.
Segment 2
Iss segment ke baare mein kya kahien...hum apne jazbaat ko bayaan nahi kar parahe hai...mayank ke saath saath nupur ki bhi haat lag bag mayank ke jaise hi hogayi balke uss se bhi zyada nupur ki jaan khatre mein padh gayi....dilse dil ki rah joh thi......
Wat i like abt this seg is ke nupur ke dad ko apni galti ka ehsaas hua...i mean unki galti nahi thi balke woh toh sirf apni biwi ki akhri khawaish puri karna chahte the par joh bhi ho unhaun ne mehsus karliya ke do pyaar karne wale ko juda karna mushkil hai...
Ahh bechari mahek ki toh jaan hi chaligayi uski pyaari dost jiss se woh apna dukh dard baanti thi woh toh use hamesha ke liye chod ke chali gayi aur saath hi saath itna bada wadah bhi leke chali gayi....aur itni badi kashmakash mein daal ke bhi chali gayi...
iss FF ko likhte likhte humain ahsaas hua k saare kirdaar aur unke tamam haalat aise sanjoye gaye hai k haqeeqi me dekho to koi bhi kasoorwar nahi dikhta. saare k saaron ne apna farz aur zimmedariyon ko nibhaya..anjaam jo hua woh shayed kisiki haq me nahi tha. na hi Nupur k papa yeh chahte the k iss umer me unki beti guzar jaaye, na Nupur ne chahi Mayank k baghair zindagi bitaye, na Mahek ne aisi zindagi ki ummeed ki aur na Mayank ne. phir bhi sabko apni zindagi ussi tarha se bitana parha..
Segment 3
Aur yeh akhri segment toh mayank ke saamne mahek ki aur kahani joh ke adhuri reh gayi thi ko pesh karta hai...jiss tarah nupur mahek ko do raahe par chod ke chali gayi....aur jiski wajah joh nupur ka wadah joh ke woh mahek se kar gayi thi jisko pura karna mahek ki zindagi ka asl maqsad ban gaya....jissko pura karne ke liye mahek ne apni zindagi dao par lagali balke apne dost ki khushi aur khawaish ke khaatir ussne apni puri zindagi apne jaan se bhi pyaari dost ke liye sarf kardi......
Yeh bahut acha hua ke mahek ne apni beti hui zindagi ya dushvariyan joh ke uss ne mayank saamne bayan kardi bilkul munasib wakht pe warna joh khalish mayank ke dil me mahek ke baare mein paida hui thi umar bhar qaaim rehti ya mukammil tarah par khatam na hoti....
Aur jis tarah mahek ne apni daastan sunane ke baad apni galti maan rahi thi ke usne apne baare mein sachai chupai aur jis tarah maafi maang rahi thi.woh qaabile taarif hai... azeem log wahi hote hai joh apni galti na hone par bhi apni galti maann lete hai aur maafi talab karte hai.
Hame yeh jaan ke bahut musarrat hui ke akhir mayank ne bhi mahek ki badai aur qurbaani ka aitiraaf hogay aur woh mahek ko apni hamsafar bana kar fakr mehsus hua...aur kya hua agar mayank ke dil abhi bhi nupus ke liye wahi pyaar basa hua hai joh pehle se tha...lekin mayank ne mahek ko apnaya toh sahi...i just loved mayank and mahek and nupur too..
hum poori tarha se aap se sehmet hai. Mayank bechara to har taraf se khudko dhoke me paaya aur Mahek ka uss waqt maafi maanga laazim si baat thee. facts yaani k haqeeqat kisi aur se sunna aur phir jisspe beeti usski zubaani sunna alag baat hoti hai.
Di hamein afsoos horaha hai ke itni khoobsurath aur purkashish kahani khatam horahi hai jiske alfaas mooti ke daanaun ki tarah hai joh ke judh kar ek khoobsurath zewar banadete hai...jiske har shair dil ko chooh jaate the...
Waise di mein afsoos nahi karungi ke yeh kahani khatam hogayi kyun ke kahin pe padha hai ke har achi cheez ko ek na ek din khatam hona hi haina..but i will surely miss this story..
Ek guzaarish hai ke aap hosake toh ek nayi kahani shiru kijiyega aapke mashkoor rahenge..
Aur di hamein Qayenaath dene ke liye aapka tahe dil se shukriya adaa karte hai aur inshallah har wakt aapke adbi safar mein saath rahenge...
Ek baat toh batana bhool gayi ke hamari kam aqli ki wajah se kai baar hum comment nahi karsake jiske liye aapse maafi ki darkhawast hai...aur joh comments ya guftagu kiye hai agar uss se taklif pahunchi toh uske liye bhi.
Above all...thank you baccha. aap ne bohat door tak hamara saath nibhaya. iss FF ki wajah se hum jaise sacchi aur naik dil insaan se mil paaye. hamesha aise hi raha kijiye aur hamare duaein hamesha aap ke saath hai. Khuda kare aap kaamyabi ki bulandi ko chooNein aur apni ammi abbu k farmabardar bannke unka sir uncha rakkhe..Ameen.
Inshallah foran hi kuch likhne ki kaushish karenge. milte hai uss naye safar me..tab tak k liye..Allah Hafiz
Love u loads
Summi
44