Dard- E- Dandia
Dandia Floor. All PR members are present. Song playing "main to bhul chali babool ka desh piya ka ghar pyara lage"
Sulochana- (to manohar) dekho to sab aa gaye hai par archu nahin dikh rahi
Manohar-(adjusts his lenses) archu to aa jayegi par mujhe thoda kahin baithne do..yeh sherwani pehnanke mujhe bhi khinch laaye idhar dandia floor mein..yeh bhi bhul gaye ki pichhle hafte mera heart attack hua tha
Sulochana- aaj kal bahut bolne lage hain aap..chup chap dandia khelo
Manohar-(adjusts his lenses and tries to play dandia) khair mera to theek hai who varsha ki pregnancy ko abhi 3 mahine hue nahi aur woh bhi uchhal uchhal ke khel rahi hai dandia
Sulochana- chup karo aap aur dandia khelo
Manohar-(adjusts his lenses and tries to play dandia)
(Archu comes)
Sulochana- kahan reh gayi thi tu?
Archana- main woh..wo main..
Ajit- (comes) archana tumhare liye tissue paper ka packet laya hun..zaroorat padegi
Sulochana- main pura bag utha layi hun…archu royegi yeh mujhe pata hai
Archana- (aankhon mein aanosso..manav ko bheed mein dhoond rahi hai)
(Prabha taai comes)
Prabha- waise sulochana taai archu kis ko dhoond rahi hai
Sulochana- jaywant ko aur kis ko
Prabha- yeh lo..jaywant yehin to hai..wahan archu ke ird gird ghum raha hai aur usse dekh nahin pa rahi.kammal hai taai
Ajit- woh kya hai na..achhe logon ko buraai nazar nahin aati 😆
Prabha- kya matlab hai tumhara
Sulochana- are iski baat chhodiye taai..aap sunaiye..aap ka aur samdhi ji ka kaisa chal raha hai
Prabha- kya batayen taai..ab aap ke samdhi ji ki umer ho gayi hai..puri raat bas sone mein hi jati hai 😆
(Rasika comes)
Rasika-wow naughty naughty baatein ho rahi hain..prabha taai aap ki aur meri khub jamegi..chaliye kone mein baithte hai aur main aap ko batati hun kaise aapke pati ki jaan mein jaan dalni hai 😆
Archana- (thinking..manav kahan reh gaye..)
Shravani- (comes) kisse dhoond rahi ho archana
Archana- woh main..main woh
Shravani- manav ko na
Dharmesh- manav ke alawa yeh dhhondegi to kisse dhondegi
Jaywant-dharmesh sir archana ko samjha dijiye..pichhle aadhe ghante se main isko attract karne keliye bandaron ki tarah nach raha hun kud raha hun..par yeh mujhe dekh nahin rahi
Ajit- really aap Bandar ko imitate kar rahe the…great yaar..sirf archana hi nahi hum sab in fact Bandar nacahnewale ko dhoond rahe the so that wo aake Bandar ko is stage se pakad ke le jaye aur dandia ache se ho sake 😆
Jaywant- kya keh raha hai tu..teri khaal khinch lunga
Ajit- bhai dance karne ke chakkar mein tere paijama ka nada khul gaya hai..pehle usse sambhal..😆
Jaywant-(rushes to the toilet with nada in his hand)
(manav comes…and ArMan have an eye lock. Rest others are talking. Song plays..aankh jab se hai ladi bekarari hai badi)
Savita- shravani ja manav ko leke aa aur dandia khel
Damodar- pehle manav aur archana ko aankho aankhon ka khel khatam karne do..yehi bappa ki ichha hai
Sharavni- main manav ko duniya se chhin lungi
Savita- tu bol kam.. kuch kar jake
Shravani-aap kahan kuch karne deti ho...aaj raat ko permission de do..fir dekho usse kaise line mein lati hun.....
Sulochana- archu yeh kya kar rahi hai
(Arman are silent and eye lock is on)
(sulochana archu ko khinch lati hai.eye lock is off now)
Savita- manav beta yeh tu kya kar raha hai
Manav- woh archana ne aaj extra make up le rakha hai na usse dekh raha tha
Archana- chal jhhothe..maine kahan jyada make up liya..
Sulochana- par tu manav ko dekh kyun rahi thi
Archana-dekho to aaj kaise dadhi dhang se trim nahin ki..bade gande lag rahe hain..
Dharemsh- archana tum nihayati swarthi aurat ho
Ajit- archana pls dharmesh ke clean shaved gaal ke upar kuch comment de do nahin yeh to tum ko aise hi swarthi kahega
Manohar-(adjusts his lenses) meri guzarish hai ki dandia shuru kiya jaye
(Song plays..hoke main aaj magan nachungi chhanan chhanan aaj piya ab to aaja.unknowingly manav and archana pair again and eye lock starts. This time both have tears in eyes)
Prabha- sulochana taai dekho archu fir se jake manav se chipak gayi
Shravani- archana main tumhari jaan le lungi
Ajit- pehjle archana se manav ko leke dikhao..wohi uski jaan hai
Sulochana- archu ab aaknhen ladana band kar
(eye lock breaks)
Jaywant-archana tum apne aap ko badlo warna..
Ajit- warna shaadi tod doge na..todke dikhao yaar..kab se hum iska wait kar rahe hain
Manohar-dheere bol beta warna mujhe fir se heart attack ho jayega
Prabha- sulochana taai hum log ab chalte hain (gusse mein)
Ajit- aap ko gate tak chhod aaun?
Manav- nahin main hi chala jata hun
Archana- nahiiiiiiiiiiiiiii
Savita-sulochana taai apni beti ko sambhalo
Shravani- jaywant tum apni honewali biwi ko sambhalte kyun nahi
Ajit- yeh apna nada nahin sambhal pata biwi kya sambhlegi isse 😆
Manohar- khair dandia shuru kiya jaye fir se
Prabha- har baar dandia shuru karke aap beti ke dosh ko chhupa nahin sakte
Dharmesh-bilkul thik kaha..aaj dandia hai..isliye baar baar dandia shuru kiya jaye bol rahe hain
Satish- zara socho…aaj agar dandia nahi hota to baba kya kehte…
Shravani- yeh sochne se jyada important yeh hai ki mera aur sachin ke bhavishya ka kya hoga
Vandita-yeh agar tum khud ek baar bhi sochti to kab ka hamara ghar chhodke apne papa ke yahan rehti 😆
(Achanak archana ko chakkar aate hain. Manav jake archana ko uthake baahon mein bhar leta hai)
Ajit – kya beta manav good news hai kya?😆
Jaywant-archana tumhe meri baahon mein girna chahiye tha
Sharavani- hey bhagwan aaj kal mujhe chakkar kyun nahin aate..lagta hai padosh se kisi ki madad leni padegi 😆
Manav-tumhe kya hua archana
Archana- (aankh band karke padi rehti hai manav ki godi mein)
Manav- bolo archana bolo
Archana- (dheere se) kyun chilla rahe ho buddhu maze le lo..
Manav- (archana ko aur kaske pakadta hai) tumhe kya ho gaya archana
Gate keeper- suniye suniye..subah ke 5 bajne wale hain aur 2 ghate pehle hi sab log nikal gaye hain..aap logon ka natak khtam ho jaye to main gate ko tala lagake chabi bajoo wale gajodhar bhaiya ko deke chale jana 😆
The End....