TO OUR DEAR
/
|
|
tumhen aur kyaa doon main dil ke siwaay
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumhen aur kyaa doon main dil ke siwaay
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
muraaden hon poori saje har tamannaa
muhabbat ki duniyaa ke tum chaand bananaa
bahaaron ki manzil pe hansnaa-hansaanaa
khushi mein hamaari bhi aawaaz sunanaa
kabhi zindagi mein koyi gham na aaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumhen aur kyaa doon main dil ke siwaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
mujhe jo khushi hai tumhen kyaa bataaun
bhalaa dil ki dhadkan ko kaise chhipaaun
kahin ho na jaaun khushi se main paagal
tumhen dekh kar aur bhi muskuraaun
Khudaa diljalon ki nazar se bachaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumhen aur kyaa doon main dil ke siwaay
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
sitaaron se oonchaa ho rutbaa tumhaaraa
bano tum har ik zindagi kaa sahaaraa
tumhen jisase ulfat ho mil jaaye tumko
samajh lo hamaari duaa kaa ishaaraa
muqaddar tumhaaraa sadaa jagmagaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye
tumhen aur kyaa doon main dil ke siwaay
tumko hamaari umar lag jaaye
tumko hamaari umar lag jaaye