All of you might have noticed how BT people are showcasing ArMan moments (embedded with music like owaaaa, dha sa re sa, sathiya tune kya kiya tune and now a days one sufi type song), for example looking at each other, smiling with utmost difficulty etc and most of us love these moments more than the script itself. In fact these moments sell and enhance the TRP. Here follows my suggestion for some more moments which BT may add in PR, if at all they like them.
- Chhipkali in Local Train
ArMan happen to be travelling in the same compartment, which is nearly empty. They are trying their best to avoid falling in love with each other. But still the "tukur tukur nazar milana" is on. Suddenly Manav notices one chhipkali (House lizard) on Archu's saree . But how will he tell her?
Manav- Archana'
Archana- Manav
Manav- tumhari saree
Archana- meri saree?
Manav- dekho ek chhipkali hai iske upar
Archana-(screams) par kahan?
Manav- niche
Archana- kiske niche?
Manav- wo dekho na
Archana- nahin dikh raha'boliye na manav..
'Manav bends a little and after some time he finally throws away the chhipkali. But in that process he had to touch Archana's thighs (tangentially though). Manav waise jhuk ke rehta hai aur Archana ki ore niche se dekhta rehta hai..Archana bhi sharma ke kabhi nazrein milati hai aur kabhi churati hai'for 5 mins they stay like this and music starts'hum tum se kuch keh paye tum hum se na kuch keh paye'
- The Office Toilet
Manav and Archana meet each other in front of the toilets where 'for Him' and 'for Her' are just adjacent to each other. Both toilets are occupied and they have to stand there for a long time. Manav needs it very badly. He is feeling so restless that he can't even smile now.
Archana- aap ki tabiyat theek nahi hai kya Manav?
Manav- nahi wo..kal raat ko tarun ki birthday party..
Archana- mujhe pata hai aap ne pel ke khaya hoga..ab apna khayal khud rakhna seekho
Manav- nahi waisi baat nahi..
Archana- ab main thodi nah hun aap ke sath aap ka khayal rakhne keliye
Manav ki aankhon mein aansoo and Archana ki aankhon mein bhi. Dono ek doosre ko dekhte rehte hain aur gaana bajta hai :tera gham mera gham ek jaisa sanam..hum dono ki ek kahani..Meanwhile, toilets se log nikal jate hain aur naye log ghus jate hain..par in dono ko hosh nahin..keep staring at each other. But after some time Manav ki halat aur kharab ho jati hai.
Manav- mujh se aur raha nahi jata
Archana- par rehna padega
Manav-yeh dard kaise bardaast karun?
Archana-main bhi to kar rahi hun.
Manav- tumhara bhi pet kharab hai kya?
Archana- chup karo. Tum pet wale dard ki baat kar rahe the
Manav- aur tum ne kya socha
Archana- kuch nahi..
Manav- mujhe woh wala dard bhi hai par abhi yet pet'
Archana- apna khayal kyun nahin rakhte'
Music starts again..
- Shared Auto Blues
God knows why but ArMan meet each other in a shared auto. As a 3rd person enters Manav gets glued to Archu. Suddenly a hawa ka jhonka comes aur Archana ki ghani kaali zulfein aake Manav ki face ko chuti hain. Zulfon ki khushboo se Manav deewana ho jata hai aur archana se chipak ke baithne ki wajeh se usse achha bhi lagta hai. Achanak ek sudden break ke wajeh se Manav ke honth jake Archu ke gaalon se takrate hain..Manav usi postion mein statue ho jata hai as if yehi optimised seating arrangement hai baithne keliye.
Music starts- mujhe chhu rahi hain teri garm saansein..
Archana- thoda hato na ji
Manav- haan
(manav apne honth archu ke gaalon se hata deta hai par chipak ke baith hai. Archu is also loving it)
Archana- aap kahan ja rahe hain Manav?
Manav- wo hero Honda show room
Autowala- wo to kab ka nikal chukka hai bhai saab
Manav-aap ne bataya nahi
Autowala- aap ne kaha nahi. Mujhe laga aap ko aise chipak ke ghumna hai.
Manav-ab itni bheed mein aur kya hoga?
Autowala- kaisi bheed bhai..wo teesra aadmi to kab ka utar ke chala gaya..