anjane rah peh shuru hua hai yeh suhana safar
pyaar ki sapnon se saji thi har ek leher
dekh rahi thi nazren bichaye rah par
kab aayega pyar mera, mere dar par
dil purkare baar baar rooh ki parchayi ko
suhani shaam ke is pal ki, na kabhi bidaai ho
raah me lagi kis ghane badlon ki nazar
mano har khushi chin gayi is paher
kaisa hai yeh dard ka kahar
fail raha banke seene me zahar
chaaha tha pyar ka khoobsorat nagma
paaya magar dil ne undekha sadma
pyaar ki umagen hui chaknachur
dil ke tukde bhikre dur dur
kismat ne khela ummidon ka khel
milte milte reh gaya adhura yeh mel
na jaane dard ke kis aag ki zyada thi jalan
jab dil zakhmi hua ya ghayal hua ye badan
kahan ho aye pyar mere, doondh rahi hai har nazar tujhe
dekh lun jee bharke chehra tera, aa mil mujhe
na jaane aage taqdeer phir milayegi kab hume
bas, kayamat se phele yaad kar lun is pal tumhe
pls do let me know wat u pl think đ