đ
Bhaiyo aur behenon...........
hum itne dino se MJHT se cncted rahe hai.........kyun????.............kyunki isme aisi achi-achi cheeze dekhne ko milti thi jaise ki........pyaar,dosti,masti,college life choti-choti pyaari si cheeze..............
hum log kitne khush ho jaate the..............asal zindagi mein aisa nahi hota hai kisi colg mein par hum dekh kar hi hamari zindagi ki kami puri karte the.............hai naa!!!!
pehle colg track se hatkar.........bachon ki shaadi karne par lag gaya tha..........lekin hum dekhte the kyunki hum log hamare fav jodiyon ke peeche itne paagal hai ki woh jo bhi kare hume acha hi lagta thaa..............uske baad do pyaari-pyaari behenon ke beech mein aag laga di.............phir bhi hum dekhte rahe...........kyun MAYUR aur SAJAN us bakwaas scene mein bhi *jaan* daalte the.........
Par aaj ki yeh nayi aur taazi news padhkar mein *speechless* ho gayi hoon..................AUR KITNA SATYANASH KAROGE BHAI IS SHOW KAA??????...........SOCIAL ISSUE????.........bade aaye social issue ko dikhane waale........agli storyline agar kuch acha nahi soojha to.........ya to shaadi kar dete hai kisiki ya phir kisiko goli maar dete haii..................yeh kya haii???
main apni maa se lad-lad kar MJHT roj dekhti hoon...........woh BIDAA rakhne ko kehti hai aur main kehti hoon ki "Maa!!!,,,,,,starplus mein sab stories ka koi matlab hi nahi hota........MJHT dekho naa......aapke serial se thoda to realistic hai"...............par nahii main galat thi.........MJHT BHI ITNA GIR SAKTA HAI maine sapne mein bhi nahi socha tha........
âď¸ kya aapko lagta hai hume abhi bhi yeh show dekh kar hamara keemti waqt barbaad karna chahiye..............
paiyyy lago MJHT CVs.............aap mahan ho......itne mahan ki mere paas shabd bhi nahi hai aapki mahanata baya karne ko đĄ đĄ
speech sunne ke liye dhanyawaad...........namaskar