Posted: 
 
I was just thinking and thinking about KGGK.Mera kuch opinion is tarah hain.Hum jantein hain last kuch dino mein humne jo dekha usse hamara munn mein bahot dard ho raha hain. (1)Jis Parvati ne paagal kamal ko thik kiya ,jisne uski maa bankar dher saara pyaar diya usi bete ne use ghar se bahar nikal diya.Uske pichhe uska yane Kamal ka jo bhi motive ho par aaj woh hamari nazron se utar chuka hain. Hamara munn yeh manne ke liye ready hi nahin hain ki Kamal yah kar shakta hain. 😕 waise mein kamal ke liye kuch aisa hi sochti hoon jis tarah se kuch Alia ne kaha hain. (2)Kamal yeh janta hain ki Om ke jaane ke baad Parvati bahot akeli ho gayi hain,woh yeh bhi jaanta hain ki kuch kuch different opinion ko baad karke Mr.Suyesh Mahera bhi akele hain .Jis tarah se Parvati ne kaha tha Kamal ko is age mein ek jeevan saathi ki jarur hain usi tarah se Kamal bhi to soch sakta hain naa. (3)Kamal yeh bhi janta hain ki Parvati ki duniya Om Agarwal ke Parivaar se suru hoti hain or wahin se khatam hoti hain. (4)Woh jaanta hain ki Parvati Agarwal's ko Chhod kar kahin nahin jaa shkti.Is liye Parvati ko alag karin to bhi keise? (5)Saath mein Kamal yeh bhi jaanta hain ki Mr Mahera or Parvati ko paas paas lane ka ek hi Rasta hain or woh yeh ki Parvati ke Dil se Agarwal Parivaar ke liye nafrat ho jaaye agar woh Agarwal Dil se nikle to wahan Mahera ke liye jagah bane. (6)Jab Shikhar ne Agarwal house nilaami ke liye rakha tab Mr Suyesh Mahera ne Parvati ke pith ke pichhe Mr Kochar yaane Trishla ke Father se milkar Parvati ka Ghar Bachya tha .Yeh baat to baad mein ghar mein sabko maloom ho gayi par is doran Kamal yeh jaan gaya ki Mr.Mahera ke Dil mein Parvati ke liye kuch hain par woh baahar nikalna nahin chaahtein.woh jazbaat ko bahar nikalne ke liye yeh drama ho raha ho. (7)Ek Party mein Kamal ne yeh bhi dekha tha ki Jab Pallavi Suyesh ke kareeb jaane le liye try kar rahi thi tab Suyesh ne thoda Dance karne ke baad Pallavi ko yeh kah diya tha ki Pallavi woh insaan nahin hain jis ke saath Mr. Mahera khud Dance kar sakein or Wahan par kuch log Smoke kar rahein the to Parvati ke kiye Suyesh ne un logon ko bahar bhej diya tha.(8) Woh yeh kaam itni savdhani karna chahta hain ki Parvati ko bilkul shaque na ho ki use or Mr Mahera ko paas paas lane liye yeh kaam ho raha hain. (9)Jab woh parvati ko mental asylum mein chhod ne gaya or parvati ko jab wahan se lekar jaarahein the tab kuch kadam do kadam woh bhi Parvati ke pichhe gaya tha lekin uske baad Trishla ne use rok liya. (10)Ab Mr Mahera Parvati ko bahar laane ke liye help karenge or usi waqt ke douran dono paas aayenge or Parvati saayad Suyesh se Shaadi karne liye maan jaayegi 😳 .
  
 
 
  
 
  
  
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 Cricket
Cricket
 Anupamaa
Anupamaa
 Bollywood
Bollywood
 Book Talk
Book Talk
 Indian Idol 16
Indian Idol 16
 
        