a poem on RAM SITA'S MARRIAGE

sabydeep thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#1

RAM SITA IN PUSHPVATIKA

GAURI mandir bhabya manohar

Samip pushpatika bare sundar

Mandir me siya sukumari

Pushpbatika me RAGHURAI

Hum katha sunate us punya tithi kshan ki

Hum katha sunate us punya tithi kshan ki

Darshan jab ho siya aur rajiblochan ki

Pushpbatika me ram jo aye

Siya sakhi une dekh jo paye

Jaye sakhi siya ko batlayo

Dibya purush batika me aayo

Jayo siya darshan unka hi karo

Dibya rup se apne nayan yugal ko hi bharo

Pushp he batika me sundar manohari

Usse bhi sundar raghukulbhushan he

Aye une karne darshan SIYA sukumari

Jane lakshmi iye mera narayan he

Nayan se nayan ko

Nihare RAM siya dono

Palak gire jo nehi nayan hilake

RAM SIYA yugal ka darshan ho aise dibya

Dhanya huye jag sare shubh darshan pake

Rabi sa tej chayi,sang shitalta samayi

Khoye RAM SIYA dono duje ko niharke

Kuch na much se bole

Hriday me chitra bas dole

Apalak ho jo dekhe ek duje me samake

RAM ko nihare SIYA

SIYA ko nihare RAM

Dono ko nihare dono ek drishti chake

Lakshmi narayan aab ehi jo soch rahe

Bichrete kaha aur mile kaha ake

Ek aur raghav he ek aur janaki

Batika rahe jo sakshi dono ke milan ki



RAM'S BREAKING OF SHIVDHANUSH AND RAM SITA'S MARRIAGE

Katha us mor pe ayi he,katha us mor pe ayi he

Lakshmi narayan Milan ka samay jo chayi he

Hum RAMAYAN ke us mor ka karte jo bakhan,hum RAMAYAN ke us mor ka karte he jo bakhan

Lakshmi sang dharti par mile shree purushottam bhagwan

SIYA ka bhabya swayambar he

SIYA ka bhabya swayambar he

sabke drishti SIYA pe siya ka bas RAM par he

SIYA ka bhabya swayambar he

SIYA ka bhabya swayambar he

Vishwamitra rishi sang sabha me padhare RAM

Dipti chaye sabha me aaye jo gungram

Jo jis rup me ram ko chaye

Uo us rup me une hi paye

Shatru ke liye uo he kaal

Bhakto ka uo he dayal

Mata unme santan ko paye

Siya ke liye premi ban aye

Sant ka uo narayan

Kare une pranam

Eki deha me bhinna rup

Dikhaye raghav RAM

Janak raj ka kathin pran

Sun sab chauk jaye

Bhang kare jo shiv dhanush

So hi siya ko paye

Ek ek sare RAJA aye

Har ke sab laut hi jaye

Shivdhanush koi hila na paye

Khud hil gir ke jag ko hasaye

Janak raj dukhi he man

Dharti kaya biro se sunya

Kiya SIYA bibaha iccha

Bas rahega apurna

Guru agga shree ram na paya

Sahaj hi RAM ne dhanush uthaya

Kisiko tanik bhi na huye gyan

Bhang kare dhanush RAM shreeman

Dhanya dhanya ab karta jayi

Pushp devta bhi barsayi

Shiv ke dhanush hari ne tore

RAM SIYA ko dhanush ne jore

RAM SIYA ko dhanush ne jore

RAJIVNAYAN ko KAMALBARAN ko jaimala pehanayi

SIYA jaimala pehanayi

Is saswata kshan ko nirakh nirakh jag

Dhanya jo hota jai,jag dhanya jo hota jai

RAM SIYA yugal chabi pyare

Ek drishti ho sab ine nihare

Kaise anupam sundar Milan

Mile iha lakshmi narayan

Is amar jodi ke Milan pe jag me

Anand apar chayi,SIYA jaimala pehanayi

Is saswata yugal ko dekh jagat ye

Dhanya jo hota jai

SIYA jaimala pehenyi

Jaimala mel RAM ki aur chal rahe SIYA sukumari,chal rahe SIYA sukumari

Janakdulari aaj banne chale he raghav RAM ke prano ke pyari

Mukhmandal me anand chaye

Jo chahatha aaj uhi Siya paye

Jinke liye dharti par aaye

Milan unse aaj ho jo jaye

Aapke chabi man me base

Sada kiya aapka pujan

Graham kare aap prabhu

Dhanya kiya ye jiban

RAM kahe SIYA bin na RAM pura

SIYA bin RAM ka jiban adhura

Hum to premi hain janam janam ke

Milan na ho phir hamare kaise

SIYA me basa RAM hriday

SIYA me RAM ka pran

SIYA RAM dono ek hi hain

Bhinna na kisika sthan

Mangalik bela ayi tithi bardani,mangalik bela ayi tithi bardani

RAM aur JANKI

Dono ke vivah ki

Jhume nache mithila rajdhani

Mangalik bela ayi tithi bardani

Dashrath mithila padhare

Sang liye tino kumar

SIYA se jo jore nata unka

RAM rajdular

Lakhan ,bharat ,shatrughan sundar

Mohit janak unke bhi rup par

Urmil,mandavi ,shrutkirti pyari

Ek nahi bane charo jori

Antata shubh din aa hi jaye

Charo kumar sabhi bihaye

Apar harsh janak paye,apar harsh dashrath

Sake jiban ka huya shuru ek naya path

RAM siya ka durlav jori

Jo upama di jaye so thori


karein dono hi mil kaanti koti rati kaam ki

iye saswata jodi MAITHILI aur RAM ki

iye saswata jodi maithili aur RAM ki

mil gaye dono RAM aur devi JANKI

sabko dubo ke apne ras me

RAM siya kare jag ko bas me

Vivah dono ka ho jo jaye

Agnidev sakshi rehe jaye

Har phere liya prabhu ne

Bhari SIYA KE mang

Abhinav sawata jodi ka kare jag jaigan

Lakhan urmila ko hi paye,mandavi bharat se bihaye

Shatrughan shrutkirti paya

Charo disha me anand hi chaya


Charo ki jodi anupam adbhut, nayan dhanya ho jaye

Mithila sang avadh ke ghar ghar me

Deepmala sab jalaye

Hum katha sunate un yugal gungram ki,hum katha sunate un yugal gungram ki

Iye RAMAYAN he,punya katha SIYA RAM ki

Created

Last reply

Replies

5

Views

10.4k

Users

6

Frequent Posters

...ASB100... thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#2
Awesome poem, saby bhaiya!! just love it...!! :-))
chandnii thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#3
saby again amazing poem 👏
jingjing thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
#4
great one sabydeep bhaiya👏👏👏
jai sri ram thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#5
😍 😍 😍 😍 😍 😍
👍🏼 👍🏼 👍🏼 👍🏼 👍🏼 👍🏼 👍🏼
👏 👏 👏 👏 👏
it's marvellous
u did it very well
& finally, u rock bhaiyaa
gattu800 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 15 years ago
#6
Again u rocked bhaiya.......
👏 👏 👏 👏 👏
gajab dha diya bha mindblowing....
m speechless...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".