anusha had asked me to post a poem on ramji and ramayan.actually ramji's life is very difficult to describe in few lines of poem.but still i AM trying .I HAD ALWAYS WISHED TO WRITE A POEM ON 'RAMAYAN' AND ANUSHA'S REQUEST ADDED TO MY INSPIRATION.
FROM TODAY ONWARDS,I AM STARTING MY POEM 'RAMAYAN'.I WILL TRY TO DESCRIBE EVERY EVENT AND EVERY INCIDENT IN RAMAYAN STARTING FROM RAMJI'S BIRTH TO RAMJI'S RAJYABHISHEK.BUT SINCE IT IS A LARGE WORK, I WILL TAKE some DAYS TO COMPLETE IT.HOPE U ALL BEAR WITH ME.
HOPE U ALL LIKE THE POEM AND FORGIVE ME FOR ANY MISTAKE.WISH ALL UR BLESSINGS AND GOOD WISHES FOR THIS WORK.
suno RAM kahani,sunlo RAM kahani
suno RAM kahani,sunlo prabhu ki kahani
ek das,ek bhakt kare barnan unka jibani
suno RAM kahani,sunlo RAM kahani
sarayu tat par punya he dhaam
avadh nagari jiska shubh naam
dashrath raja bare hi mahan
praja hi the jinke santan
kaushalya,sumitra ,kaikeyi he tin
rani sang sukh se bitaye din
charo aur sukh sampada chaye
dashrath raj me sab anand paye
par raja na shanti paye
putrahinta dukh man me samaye
dhan sampad yash raja paye
putrasukh se banchit rahe jaye
rishyasringa rishi bare bidyan
nange pag chale nripa jo mahan
kahe rishi sreshtha kripa kar jao
putrasukh humko bhi dilao
rishyasringa avadh pe aye
dashrath man me asha naye chaye
putrakameshti yagna kare rishibar mahan
yagna se utpanna agni bhagwan
yagna paramanna raja ko dilaye
manobanchit phal tu nripa paye
ranio ko prasad khilao
putrasukh ka anand pao.
kaushalya kaikeyi prasad ko khaye
bat use sumitra ko khilaye
garbhabati ho tino rani
age se shuru prabhu ki kahani
RAMJI'S BIRTH
mangalik bela ye tithi bardani
aao suno sab prabhu janam ki kahani
mangalik bela ye tithi bardani
chaitra mash nabami tithi aayi
madhya dibas me RAM ko layi
kaushalya sut ban janme bhagwan
manuj deha dhare aaye narayan
manuj deha dhare aaye narayan
sang bharat ,lakhan , shatrughan laye
tin mat char putra ko paye
sare jag me anand hi chaye
he jagpalan ,rup manohari
bibhor ho dharti rup nihari
ati paban rup ye kalyankari
dhanya dhanya dekh dharti sari
dhanya dhanya dekh dharti sari
sang narad ,indra dev liye shivshankar bhi aaj aye he
prabhu ke bal rup ka gun jag sang bhole prabhu bhi gaye he
aapne aradhya ke darshan hetu
aapne aradhya ke darshan hetu
ashutosh dharti pe aye he
dhanya ho dharti mata jo eksang
hari aur har ka sparsh paye he
anupam sawata ye drishya dekh
charo disha me ananda chaye he
RAM kaushalya putra jo payi,bharat ka ma bane kaikeyi
sumitra ne dhare sundar do jaye
lakhan ,shatrughan naam up paye
avadh me anand utsav chaye
dashrath ke ghar char divya sundar
putra shiromani janme he
ati bhagyashali he raja jo
hari ko putra rup me paye he
koti koti jaanm ka punya phal he
koti koti janam ka punya phal he
jo sut bane swayam prabhu aye he
dhanya ho dashrath ka jivan jo
narayan ko jaye paye he
ansh aapne liye prabhubar swayam
putra ban unke ghar jo aye he
putra ban unke ghar jo aye he
CHILDHOOD
thumak chalat ramchandra rup ati manohari hain
dashrath sang avadh sare bas is rup ko nihari hain
dhanya dashrath nayan ho jayi
chalat prabhu sang liye bhai
ram chandra dharti par chale
charo aur deepshika jale
dev,gandharba ,apsara sare aye
pushp brishti avadh pe kar jaye
narayan charan avdh bhumi payo
dhanya dhanya bhumi hi jayo
mata tino ke pran sama hein
jisme uska RAM naama hain
jisme uska RAM naama hain
samay aapna gati barayi,dekhte dekhte bit jo jayi
dhire dhire sanuj prabhubar shishu se balak banta jayi
umar sang sang bare leela unke
umar sang sang bare leela unke
dekhno ko sab byakul ho jayi
dashrath ke pran,kaushalya abhiman
RAM bhai sang bara hota jayi
tin tin matao ke anupam sneha paye
sanuj leela prabhu jagko dikhai.
upanayan ki ghari jo ayi
'bhiksham dehi'kahe charo bhai
guruashram chale lene shiksha
mata hriday byakul bas aab pratiksha
dashrath se na ho paye apeksha
vashishtha rishi he gyani barehi,unke ashram prabhubar chale hain
lakhan bharat shtrughan sang guruashram raghubar jo chale hain
guruashram le shiksha swami
adhyayan kare antarwami
yog,sastra,iya shastra vidya sabme prabhubar sreshtha ban jaye
sangit ho iya ho gurugeet sabme prabhu sreshtha stan paye
dhanya he vashishtha gurubar,dhanya he vashishtha gurubar
jo prabhu ko vidyarthi rup me paye
sare jag ke vidya ke dharak
aaj vidya grahan kar jaye
mata saraswati ka gad gad ho nayan
prabhu saraswat bandan kar jaye
guru seba karke dharma nibhaye
ashram ka nishtha palan kar aye
ek rajkumar yogi jiban bitaye
dhanya ho vashishtha ke ashram
jo prabhu ka paban parash jo paye
tin bhrat sang raghav hamare ashram ke kan kan me chaye.
RETURN TO AYODHYA FROM GURUKUL
Samay ki dhara behata jayi
Balak RAM ab yuva ban jayi
Ati sundar manmohini rup dhare
Sare jag is rup nihare
Sare jag is rup nihare
Much me anupam dipti chaye
Jisme sare jag kho jaye
Bachan ati sundar,manohar jan
Mithe bachan bole RAM bhagwan
Mithe bachan bole ram bhagwan
Nayan ke drishti se jag ye bulaye
Anupam rup me jag kho jaye
Anupam rup me jag kho jaye
Guruashram kare shiksha purna prabhubar raj bhavan chale hain
Sanauj rajivnayan swami raghuvar kamalbaran chale hain
Sang chale sare avdh nagari,sang chale sare avdh nagari
Bas RAM ko dekhne chale hain
Rath ke piche aur rath ke age
Dev bhi bhesh badle chale hain
Prabhu ke dibya is rup darshan ko
Samay bhi jaise saath chale hain
Chale he char bhrat rajbhavan par
Dekhne prakriti swayam chali hain
Samay bhi jais egati bhul jaye
Dekhne prabhu rup sath chale hain
Dekhne prabhu rup sath chale hain
Ati vardani tithi ayi re mitwa
Lagan anand ka chayi re mitwa
Bhai laute hain jo char
Balak se bane rajkumar
Bhai laute hain jo char
Balak se bane rajkumar
Sabke manme khushi chaye
Ati vardani tithi aayi re mitwa
Lagan mangal ka chayi re mitwa
Dashrath ke pran aaye
Matao ke abhiman aaye
Sare avdh me anand chaye
RAM sang bhrat char laut aye hain
Suna tha jo bhavan phir se anand chaye hain
Dashrath ke man me
Harsh apar he
RAM aaj bhrat sang laut aye
Guruashram se prabhu lauti re mitwa
Lagan anand ka chayi re mitwa
Utsav avadh me chaye
Deepshikha sab jalaye
Phulo ka holi khil jaye
Bari vardaani tithi ayi re mitwa
Lagan anand ka chayi re mitwa
Dashrath paye harsh apar
Dekh ke apne rajdular
Ati anand nripa ne paye
RAM unka jo laut aye
Kaushalya ka jo he pran
Kaikeyi me sthita jisme jan
Sumitra ma ke prano se pyare
Laut aye sanauj raghav hamare
Bolo jai jai avadh ke dham
Jinme kare kripa purushottam RAM.
VISHWAMITRA'S ARRIVAL TO AYODHYA and RAM'S KILLING OF DEMONS
Rajarshi he vishwamitra, rishi bare he mahan
Yagyadi karte uo karne jag kalian
Asuro ne yagna pe badha layi
Rishi yagna puri na kar payi
Marich subahu rakshas bhishan
Pura na ho yagna jinke karan
Trasta vyasta ho vishwamitra chale avdh ke dhaam
Jane palanhar uha bane he raghav RAM
Vishwamitra avadh par aye
Dashrath anand se gad gad ho jaye
Nij hato se seba kiya
Charan unka dhokar diya
Kahe dhanya hum huye rishi
Huye aapka agaman
Sare avadh sang dhanya iye
Dashrath rajbhavan
Kripa kare prayojan batayein
Puran kare dhanya dashrath ho jaye
Dete dashrath aaj ye bachan
Hoga apka har agya palan
Kripa kare adesh kare he rishi sreshtha mahan
Chahe to mang le aap is dashrath ka pran
Rishi kahe raja hum RAM mangne aaye
Asur badh karne une le jaye
Beerta me uo he sarbottam
Asura ke liye sakshat ye yam
Aap anumati de hum RAM le jaye
Bilamb hume aur aap na karaye
Sune dashrath ka stabdh ho bachan
Itna na kathor ho he gunijan
RAM to balak he abhi
Kaise kare asur nidhan
Aaga de sena sang chale ye rajan
Vishwamitra kahe hum RAM chahe
RAM bin na kuch mangne aaye
Aap ne di he bachan he rajan
Aab bachan ka karlo palan
Dashrath bibash ho byathita bare
Byakul unka pran
RAM ko kaise de de
Kaisa ye vidhi ka vidhan
Guru vashishtha tab une samjhaye
Vishwamitra RAM kalyan karne aye
Ram ko nissonkoch karo arpan
Inse sabka kalian ho rajan
Hriday me pathar rakhke dashrath bheje RAM
Bin RAM ke phirse shunya dashrath ke pran dhaam
LAKHAN bhi agraj sang chale he
Yugal vishwamitra sang chale he
Karne asura ka sanghar
Karne sant ka uddhar
Pratham RAM ne taraka ka kiya sanghar
Asur yoni se mukti paye RAM kripa pakar
Subahu ka prabhu ant kar jayo
Atyachar se sabko bachayo
Yagna ka raksha kare jagswami
Asur uddhar kare antarwami
Bin phan ban marich ko mara
Kiya sat yojan sagar para
Rishio ke yagna ko bachaye
Raghav aapna bachan nibhaye
Jab jab hoga paap barai
Dharma ka shish jab jhuk jayi
Tab tab karne dharm asthapan
Aye shree bhagwan
Treat yug me rup RAM dhare
Karte jag kalyan
AHALYA UDDHAR
Gautam varya devi AHALYA
Patit pabani komal nirmala
Sati mahan par dukh hi payi
Saap se kaise pashan ho jayi
Indra ne kiya aise chal
Bin dosh paye ahalya phal
Gautam ne unhe diya jo shaap
Pathar ban tu kar jo bilap
Pashan huyi ahalya mai
RAM pratiksha karti jai
Vishwamitra ne RAM ko katha iye kiya barnan
Kahe karo uddhar RAM do naye jiban
Prabhu ne mayi par kripa kar jayi
Padsparsha se unhe mukti dilayi
Dhanya ahalya ka jiban
Uddhare jinko shree narayan
RAM ke charan ke sparsha hi pake
Gaya punyata rom rom me chake
Kuch na ahalya bol jo payi
Ashru ke dhara bas behata jayi
Naman kare jine shree bhagwan
Aisa mahan saddhwi ahalya jan
Koti koti janam ka punya phal ahalya jo paye
Jis charan ko chahe sabi us charan ka parash paye
Dhanya unke sparsha jo payi
Prabhudham chali ahalya mayi
Dhanya RAM leela dhanya he jan
Ahalya uddhare shree bhagwan
ARRIVAL AT MITHILA
Mithiladhipati raja janak shiv ke he sebak mahan
Nyaypriya dharmik he uo,koi duja na unke saman
Janakdulari punya punita
Bhagvati lakshmi he Devi Sita
RAM ji Vishnu ke avatari
Lakshmi ne siya ka deha dhari
Use SIYA ka bhabya swayambar
Pahuche mithila sab raj rajeshwar
Nagari bhabya sundar bhari
Jinke siya he RAJKUMARI
Gurubar sang pahuche SHREE RAM
Dhanya dhanya huye mithila dham
Soumya sundar dibya manohar
RAM rup se mohit he nripabar
Mithila dham ka bhagya mahan
Lakshmi narayn yugal ka ho sthan.
DEVI SITA'S BEAUTY
parichay kare sundarta se
aao kare barnan rup Sita ke
saundarya ka anupam srishti
Ram ka jinme bibhor ho drishti.
kesho ki adbhut ye ghata hain
mukhmandal me rabi ki chata hain.
lalat par suraj ki prabha hain
chandrama sa shitalta sama hain
gehre nayan shyaam bin kaajal
nayan me mohit ye bhumandal.
nayan me RAM ka prem sama hain
RAM-PRIYA me RAM basa hain.
mukh par dwaideepwaman he garima
khilte kamal jaise chaye lalima.
karna me kuntal ati manohari.
sundar chabi basi man me sari.
Siya rup na barnan ki jaye
Ram bin kaise koi batlaye
Kati komal kar kamal suhane
Siya saundarya ko Ram hi jane
Tan se sundar,sundar man se
Sundarta jo khile bachan se
Chabi he pyari har nate ka
putri ,patni ya ho uo mata.
Jo Siya rup satya me bakhaye
Kavya unka dhanya ho jaye.
Me to samanya, nehi koi sant
Kaise barnan karu jo hain anant
Siya rup me sare jagat samaye
Ram hriday me Siya rup dekh paye.
Jis Raghav se jagat rup paye
Hriday me unka SIYA hi samaye
Hriday me unka SIYA hi samaye.
RAM SITA IN PUSHPVATIKA
GAURI mandir bhabya manohar
Samip pushpatika bare sundar
Mandir me siya sukumari
Pushpbatika me RAGHURAI
Hum katha sunate us punya tithi kshan ki
Hum katha sunate us punya tithi kshan ki
Darshan jab ho siya aur rajiblochan ki
Pushpbatika me ram jo aye
Siya sakhi une dekh jo paye
Jaye sakhi siya ko batlayo
Dibya purush batika me aayo
Jayo siya darshan unka hi karo
Dibya rup se apne nayan yugal ko hi bharo
Pushp he batika me sundar manohari
Usse bhi sundar raghukulbhushan he
Aye une karne darshan SIYA sukumari
Jane lakshmi iye mera narayan he
Nayan se nayan ko
Nihare RAM siya dono
Palak gire jo nehi nayan hilake
RAM SIYA yugal ka darshan ho aise dibya
Dhanya huye jag sare shubh darshan pake
Rabi sa tej chayi,sang shitalta samayi
Khoye RAM SIYA dono duje ko niharke
Kuch na much se bole
Hriday me chitra bas dole
Apalak ho jo dekhe ek duje me samake
RAM ko nihare SIYA
SIYA ko nihare RAM
Dono ko nihare dono ek drishti chake
Lakshmi narayan aab ehi jo soch rahe
Bichrete kaha aur mile kaha ake
Ek aur raghav he ek aur janaki
Batika rahe jo sakshi dono ke milan ki
RAM'S BREAKING OF SHIVDHANUSH AND RAM SITA'S MARRIAGE
Katha us mor pe ayi he,katha us mor pe ayi he
Lakshmi narayan Milan ka samay jo chayi he
Hum RAMAYAN ke us mor ka karte jo bakhan,hum RAMAYAN ke us mor ka karte he jo bakhan
Lakshmi sang dharti par mile shree purushottam bhagwan
SIYA ka bhabya swayambar he
SIYA ka bhabya swayambar he
sabke drishti SIYA pe siya ka bas RAM par he
SIYA ka bhabya swayambar he
SIYA ka bhabya swayambar he
Vishwamitra rishi sang sabha me padhare RAM
Dipti chaye sabha me aaye jo gungram
Jo jis rup me ram ko chaye
Uo us rup me une hi paye
Shatru ke liye uo he kaal
Bhakto ka uo he dayal
Mata unme santan ko paye
Siya ke liye premi ban aye
Sant ka uo narayan
Kare une pranam
Eki deha me bhinna rup
Dikhaye raghav RAM
Janak raj ka kathin pran
Sun sab chauk jaye
Bhang kare jo shiv dhanush
So hi siya ko paye
Ek ek sare RAJA aye
Har ke sab laut hi jaye
Shivdhanush koi hila na paye
Khud hil gir ke jag ko hasaye
Janak raj dukhi he man
Dharti kaya biro se sunya
Kiya SIYA bibaha iccha
Bas rahega apurna
Guru agga shree ram na paya
Sahaj hi RAM ne dhanush uthaya
Kisiko tanik bhi na huye gyan
Bhang kare dhanush RAM shreeman
Dhanya dhanya ab karta jayi
Pushp devta bhi barsayi
Shiv ke dhanush hari ne tore
RAM SIYA ko dhanush ne jore
RAM SIYA ko dhanush ne jore
RAJIVNAYAN ko KAMALBARAN ko jaimala pehanayi
SIYA jaimala pehanayi
Is saswata kshan ko nirakh nirakh jag
Dhanya jo hota jai,jag dhanya jo hota jai
RAM SIYA yugal chabi pyare
Ek drishti ho sab ine nihare
Kaise anupam sundar Milan
Mile iha lakshmi narayan
Is amar jodi ke Milan pe jag me
Anand apar chayi,SIYA jaimala pehanayi
Is saswata yugal ko dekh jagat ye
Dhanya jo hota jai
SIYA jaimala pehenyi
Jaimala mel RAM ki aur chal rahe SIYA sukumari,chal rahe SIYA sukumari
Janakdulari aaj banne chale he raghav RAM ke prano ke pyari
Mukhmandal me anand chaye
Jo chahatha aaj uhi Siya paye
Jinke liye dharti par aaye
Milan unse aaj ho jo jaye
Aapke chabi man me base
Sada kiya aapka pujan
Graham kare aap prabhu
Dhanya kiya ye jiban
RAM kahe SIYA bin na RAM pura
SIYA bin RAM ka jiban adhura
Hum to premi hain janam janam ke
Milan na ho phir hamare kaise
SIYA me basa RAM hriday
SIYA me RAM ka pran
SIYA RAM dono ek hi hain
Bhinna na kisika sthan
Mangalik bela ayi tithi bardani,mangalik bela ayi tithi bardani
RAM aur JANKI
Dono ke vivah ki
Jhume nache mithila rajdhani
Mangalik bela ayi tithi bardani
Dashrath mithila padhare
Sang liye tino kumar
SIYA se jo jore nata unka
RAM rajdular
Lakhan ,bharat ,shatrughan sundar
Mohit janak unke bhi rup par
Urmil,mandavi ,shrutkirti pyari
Ek nahi bane charo jori
Antata shubh din aa hi jaye
Charo kumar sabhi bihaye
Apar harsh janak paye,apar harsh dashrath
Sake jiban ka huya shuru ek naya path
RAM siya ka durlav jori
Jo upama di jaye so thori
karein dono hi mil kaanti koti rati kaam ki
iye saswata jodi MAITHILI aur RAM ki
iye saswata jodi maithili aur RAM ki
mil gaye dono RAM aur devi JANKI
sabko dubo ke apne ras me
RAM siya kare jag ko bas me
Vivah dono ka ho jo jaye
Agnidev sakshi rehe jaye
Har phere liya prabhu ne
Bhari SIYA KE mang
Abhinav sawata jodi ka kare jag jaigan
Lakhan urmila ko hi paye,mandavi bharat se bihaye
Shatrughan shrutkirti paya
Charo disha me anand hi chaya
Charo ki jodi anupam adbhut, nayan dhanya ho jaye
Mithila sang avadh ke ghar ghar me
Deepmala sab jalaye
Hum katha sunate is yugal gungram ki,hum katha sunate is yugal gungram ki
Iye RAMAYAN he,punya katha SIYA RAM ki
to continue..............................................................