jo dil main hai
darr lagta hai
kuch bola to
jo raaz hai dil ka
khola to
koi na manaa
naraz hua
main darti hun
wo chala gaya
kya hoga mera....
mere ankhon se
mere honton se
wo ek he hai
jo sapne, batain
saans mukamal karta hai
mere bina kahe
jab darti hun
main dunya se
wo ankh main mere
dekhta hai
sab samajhta hai
na kah paon
na kar paon
har baat mukamal karta hai
mere zaat hai wo
main din hun
mere raat hai woh
har baat hai woh
woh baat jo mere honton se
chun chun ke
us ne boli hai
woh baat jo
dunya bolti hai
kyun bolne se main
darti hun..
main hun na tera..!!
saaye ki tarah
tere saath hun main
tu din hai
tere raat hun main
tu giray ge tujh ko
thamoon ga..
tu chup hai to main bolun ga
tu haray aisa na ho kabhi
tu na darr bs
tu agay barh
is dunya ki parwah na kar
tu kya chahay
main sb janu
kis baat ka aakhir
darr hai tujhay...???
jo raaz hai dil ka khola to
tu chala gya
to kya hoga...???
kyun darr hai tujhe...???
mere har manzil
mera har rasta
tere naam pe he to rukta hai
tujhe darr hai naa..!!
main chala gaya
tera kya hoga
tere sab batain
tere sab sapne
in honton par
in ankhon par
aise he paray na rah jain
main in ko mukamal karta hun..
yehi darr hai naa..!!
main jaon kahan....
mere zaat to mere hai he nahi
is dil main tu
har yaad main tu
mere raat to mere hai he nahi
agar tujh ko aisa lagta hai
tu mujh se mukamal hoti hai
to mere bhi ek baat tu sun..
mera har jalwa
mere har shokhi
tere ahat par to khilti hai
is dunya ka main kya janu...bas main to itna janta hun
SAMRAT mukamal hota hai
jab GUNJAN us ko milti hai........