Posted:
Aap ke liye hame aana padega
Duniya se phir takrana padega
Chod chuke the jo galiya
Unmein phir kadam jamana padega
Tanhayiyon mein bas rahe the
Dukho mein bhi sukh bunn rahe the
Andhera chod sawere mein aana padega
Aap ke liye hame aana padega
Duniya se phir takrana padega
Kar chuke the tauba hum sansaar se
Mita chuke the hasti iss bazaar se
Aap ki khusi ke liye fir laut ke aana padega
Aap ke liye hame aana padega
Duniya se phir takrana padega
Apna jiwan hum kaat chukey hai
Apna jiwan hum kaat chukey hai
Maut ke kareeb ab ja chuke hai
Iss "marwadi" ko agle janam aana padega
aap ke liye hame aana padega
Duniya se phir takrana padega
Chod chuke the ho galiya
Unmein phir kadam jamana padega
Aap ke liye hame aana padega
Duniya se phir takrana padega
Originally written by Rohit aka coolmagic......... He asked me to post it here.....