Thrid Part
'Wah kya building hai, kitni shaan hai in logon ki' "Aray dekh kar nahin chal skatay kya? Tangain toti hoi hain kya?" main nay apni sochon ki duniya say bahar nikal kar chekhtay howay kaha aur jab upar dekha tu
"Allah yeh main nay kya kar diya" dekhiyey Bhai sahab maaf kejiye ga
"Bhai sahab mat kaho janeman kaho, kuch bhi kaho" uss nay mera haath pakartay howay kaha
chhhhhhhh thapar ki gonj puray kamray main gonji aur main nay hairani say apnay samnay dekha
"Besharam, koi aqal nahin hai kya? Shadi shuda mardoon say iss tarhan baat kartay hain aur wo bhi sub kay samnay besharmi say haath pakar kar" aik silm n smart larik nay chekhtay howay kaha
mian abhi tak hairani say usi taraf dekh rahi thi
Poora kamra khamoosh ho gya aur meri aankhon say Ansoo girnay lagay, main nay moon nechay kar liye aur aankhain jhuka din takay koi dekh na sakay, mujhe rotay howay
"Dafa ho jao yahan say" uss nay mujhe zoor say Dhaka detay howay kaha
Mian wapis chal pari. Itni himat na thi kay serhion say jati iss liye lift main jaldi say ghuss gai aur ankhon say Ansoo rawani say behnay lagay. "Aap ro rahi hain?" aik mardana awaz aii
"roon na tu aur kya karoon, sub kay samnay itni zoor say thapar mara uss nay, iss liye kay wo ameer baap ki beti hai, main nay ussay kuch nahin kaha tha, wo tu uss ghatia shakhas nay mera haath pakara aur phir uss ameer zadi nay thapar mara kay main nay uss kay shohr ka haath pakra tha jab kay mian nay tu aisa kuch nahin kiya" mian rotay howay bolnay lagi. Jab thoda aas pass ka pata chala tu main kaanmp gai. Samnay uss ajnabi ko dekh kar mera tu dum he nikal gya.
"Aap?" mian sub rona dhona bhol gai aur apni ghabrahat par kabo patay howay poocha.
"Mian Sherjeel hoon yahan par" main nay jaldi say uss ki baat kati aur yakeen dehani kay liye poocha
"Kaam kartay hain?"
"Na ahn haan haan yahan par kaam karta hoon"
"kya kaam?" mian nay poocha
"Main…Mian bus office ki dekh bhal karta hoon" uss nay jawab diya
"acha, main yahan job key liye aai thi"
"thi?" uss nay poocha
"haan, na main yahan par kaam dhonday aai thi, lakin abb kahan say kaam miley ga Uss ameer zadi kay baap ka office jo hai"
"umhhmmm"
aik dum say jhatka laga aur light chali gai,
"Allah, yeh kya hogya" mian nay dartay howay kaha
"kuch nahin howa, light chali gai hai" uss nay kaha aur meri taraf barhnay laga
Mian ghabra kar peechay honay lagi aur bilkul peechay lag gai. Ab main lift ki side par this aur wo meray samnay.
"aap…aap kya kar rahay hain?" mera mon say itna nikla aur…
will post next Part Soon InshAllah
140