Second part
"Ay bata na kya howa? Saans kyoun pholi hoi hai teri aur phir upar say rang bhi lal" main nay jaldi say poocha
"Khabar he aisi hai tu yakeen nahin karay ge" uss nay suspense create kiya jantay bhojtay howay kay mujhe suspense say kitni nafrat hai
"Kuch moon say phootay ge ya nahin? Ya aik lagaon teray?" main nay ghussay say haath dikhya tu 14 saal ki Nazia dar gai aur jaldi say booli
"array na baji marna mat abhi batati hoon"
"tu bol na, ab kya mon main zuban nahin rahi?" mian nay aik thapar uss ki kamar par kagatay ho way kaha
aur wo forun say bol pari
"wo baji, Razia hai na"
"kaun Razia?" mian nay darmiyan main tokaa
"Wohi baji jis nay bhaag kar shaadi ki thi" uss nay jhat say baat mukamal ki
"aur phir wapis aa gai thi"
"haan baji wohi"
"haan tu kya howa ussko?"
"baji uss kay liye rishta aya hai, ameer ghar say, baday khatay petay log hain"
"acha????" mera mon hairat kki waja say khula reh gaya
"array baji mon tu bund karlo makhi na chali jaye" uss nay mashwara diya aur jaldi say bhagi
"array bhagti kahan hai?" main nay peechay say awaz lagai
"baji wo aur logon ko bhi tu batana hai na warna tum tu janti hay na kay meray pait main dard hota hia agar main koi baat sab ko na bataon tu"
"acha chal jaa" main nay mahraniyon ki tarhan ijazat daitay howay kaha
wo jaldi say bhagi aur bahar ka lakri ka darwaza thak say bund howa
main bhar aay aur dekha tu khala jaa chuki thi, main nay socha chalo acha hai bala tu tali aur andar tyaar honay chali gai.
Jab tyaar ho kar bahar nikal tu dekha kafi dair ho gai hai aur jaldi say baghair nashta kiye ghar say bahar nikal aai.
Jaldi say bus pakri aur aik badi building kay samnay kharay howay chanay baichnay walay say chanay liye aur agay barh gai.