Originally posted by: shru_ti
Hey dii..here is the poem -
Ek Ped, Ek Jeewan.
Jee rahe hai aaj hum jinki badolat,
Kyu unka shukr nhi manate h.
Aisho aaram ki Chahat me hum,
Jungalo ko jalate hai.
Kyu jangalo ko jalakar hum,
Pradushan failate hai.
Shudh pranvayu chiin,
Artificial oxygen pr nirbhar ho jaate hai.
Pradushan hum failate hai,
Vriksh hum katwate hai,
Fir saans lene ki samasya se rog grast hokar,
Duniya par ilzaam lagate hai.
Yu to pedo ke fal sabhi ko pasanda aate h,
Fir kyu unhe kaat kar hum paapi ban jaate hai.
Jee rahe hai aaj hum jinki badolat,
Kyu unka shukr nhi manate h.
Kyu nahi samajhte hum,
Pedo ke bina ye dhara nhi hai.
Kyu nahi samajhte hum,
Taru ke bina Jeevan nahi hai.
Fir bhi ped kaat kar,
Apna Jeevan hi daav par lagate hai.
Yu to paryavaran diwas manate hai,
Par ped kaat kar, manavta bhul jaate hai.
Chalo aaj pehla kadam hum hi badate hai,
Chalo aaj ek ped lagakar apni dhara ko bachate hai.
Chalo aaj sabko jagruk karate hai,
Pedo ko bachane ka Sankalp dilwate hai.
Jee rahe hai aaj hum jinki badolat,
Kyu unka shukr nhi manate h.
14