Originally posted by: Mehersudha
tauba tauba paap hojayega 2 sec scene diye gaye logon se trp udegi toh 🤣🤣 sirf hair cut of fl se trp udegi, sirf pocha karne se udegi, sirf car ke neeche tyre rakhne se udegi, sirf ivf fail se bhadegi 🤣🤣
OG akshara and Naira ke season mai iss hadd tak ka gareebi gareebi nahi khela gaya tha.
Gadheera ka baap iss show mai aya or gareebi drama laya and iss hadd ka gareebi drama laya ki jaise ab kundli maar kar iss show mai baith gaya hai. Tooti chatt, fate kapde, no money for medicines, no money for treatments pata nahi kis level ki gareebi jab se gadheera ka baap aya tab se jhel rahe hai.
Gareebi card se bhi TRP toh aa nahi raha hai toh better ki sab ko middle class he dikha do jaha ghar chatt se pani na girta ho, fatti saree/kapda na pehente ho lo, basic lifestyle ke paise ho.
Aj kal viewers fatte kapde tooti chatt type gareeb rahe nahi hai and jo iss level ke gareeb hai unke ghar TV hota nahi hai toh viewers iss level ki gareebi se bore he ho jayege na!
Gadheera couple se zyada acche se to meri india ki maid rehti hai. Woh Udaipur ki top lawyer nahi hai lekin fatta kapda ya medicine ke liye tak paisa na ho yah tooti chappal type scene toh aj kal india mai househelp ka bhi nahi hai. India mai jo maids metro city mai agency ke through aati hai woh toh iss lawyer couple se bhi acha kamati hai.
Maids logo ko bhi beggars jaise line mai nahi khade rehna padta food ka daan lene ke liye. yaha toh iss level ki gareebi ki road par bhatakte bhatakte food ke liye beggar ki line mai khade raho and daan se mila khana kha.
Gadheera ne toh gareebi standard set karne mai apne baap ko bhi piche chod diya.
1.5 year se zyada ho gaya public yeh rishta mai itna gareebi dekhe ja rahi hai. At least inko bina fatte kapde toh do.
Seriously gadheera ka baap ke sath jo gareebi wale din aye hai woh I wish gadheera ke baap ke sath he chale gaye hote.
Gareebi card will not gonna help with trp so better hoga agar yeh fatte kapde, tooti chappal, futti ghar ki chatt types meena kumari era dikhana bandh kare paglet writers.
Pata nahi apne ghar tv dekhne wali kitni audience itni gareeb hogi jo fatte kapde ,tooti chappal, no medicine money ke sath bhi apne ghar TV dekhte hoge.
Edited by sweet_tania - 5 months ago