lol ! Bhagwan ke sharan me Tammi ko pohanchane ki taiyaari kar Di! 😂
Pyari priyatama Arundhati,
Naam hai Arundhati par ho toh meri Hema Malini
Tumne diye teen teen Anmol Ratan
Ek bechara kaam ke bojh ka maara
Doosra apni patni ke moh mein gira
Teesra sabse pyaara lekin kunwara
Mere din dhal chuke hain par raat na aaye
Tum toh chali rasmen kasmein banaane ujaadne
Socha kabhi un dinon mein kisne mujhe sambhala?
Anjana meri pyari beti jaisi bahu ne ya phir
Jhanak, meri pote ki prem diwaani ne!!
In donon ko bhi pyaar baanto jaise tum
Baakion ko prasad baanti ho!!
Aur mein kya hi bolun !
Tumhara yamla pagla diwana mein
Shringar se pehle bhi bebas
Aur Shringar ke baad bhi wohi pyaar mein !!
Mera prem tumhare liye na kabhi
Kam hoga
phir chahe tumhare sajne sawarne ka shauq kam ho tab bhi
Chalta hoon pension laane
Bolo kya chahie tumhe
Make up kit mat maangna
Sona chaandi bhi mat maangna
Ek chutki bhar sindoor aur ek dibba kaajal
Mein hi tum guzaara karna kyunki
Ab teeth yaatra ka samay aa chuka
toh peti baandho nikal pado
mere haath mein tumhara haath do
Chalte hain bhagwan ke sharan mein
Saat janmon ka saath maangte hain
Taiyyar rehna meri Arundhati
Taiyyar rehna Mrs Bose,
tumhara Amitabh jald aa raha hai,
aakhri safar tay karne ke liye
🤪
Tumhara pati Parameshwar
Amitabh- Amitabh Bose naam toh suba hoga😍🥰
1.4k