Originally posted by: sweet_tania
Maine kal same notice kiya tha. Abhira ka yahi problem hai na ki sab uski soch ke according rishte jode-tode. Agar uski soch mai uska sath na do toh duniya ki sabse behsahara mode mai chali jayegi.
Kal bhi uska same he rona tha ki usne dev charu ke liye fight kiya lekin Charu ne nahi kiya, I was like behen tuje aj bhi lagta hai ki 21-22 saal ki ladki step mother bann payegi toh yeh teri apni soch ki galti hai!!! Rajan shahi show ka yeh hamesha ka hai ki female lead ko kabhi apni soch galat lagti he nahi. Upma ka bhi same hai anupama mai. Usko bhi apni soch kabhi galat lagti he nahi.
Ruhi Armaan ka shaddi ho ya na ho muje koi fark nahi padta , abhira wapas joint family mai jani nahi chahiye bas.
Indirectly abhira ko bhi wohi karna hai jo itne saal se dadi karti ayi hai. Dadi ko sabke relation apni soch ke hisab se Jodne-todne hai and abhira ko bhi dusro ki shaddi/relation apni soch ke hisab se jodni/tondi hai. Difference is dadi ki soch ke hisab se har koi kud kud kar chalta hai lekin abhira ki soch ke hisab se kisi ko chalna nahi hai like na vidya ko apni shaddi mai abhira ki soch ke hisab se chalna tha na ab Charu ko chalna hai! Ussi baat se abhira ko problem ho rahi hai ki sab uski soch ke according chalte kyun nahi, sirf dadi ki soch ke according he kyun chalte hai!!!
0