Logo ko etna "fizul" discussion karna hi hai to fact ke to saath kare na kam se kam? Kuch bhi bolna for the sake of it.
Sahiba aur uske papa ko bhi ye dhokha diya tha na Santosh ne ye kahkar ki Brar unki financial condition ke bare me jante hain. To kayde se Angad ki bajay Sahiba ke sath jyada bada dhokha hua tha.
Aur shayad yaha sabhi damn privileged hain jinhe dysfunctional family me paida hone, apne ghar ka kharch chalane ka pressure nahi jhela hai... Jo ek responsibile, kind hearted aur hardworking bachha hota hai use to aise hi conflict se gujrana padta hai jis tarah se Sahiba ko shuru me gujarate hue dikhaya.
Uski kya galti thi? Usne yahi to dekha ki Angad uski Seerat Di ko pyar karta hai, aur use bhi yahi tasalli di gayi Brars unke status ke bare me sab jante hain to sirf personal bias ke naam par kahi uski bahan ka rishta kharab na ho jaye iski wajah se use chup rahna pada. It was basically a case of emotional abuse. Log Sahiba ke sath ho rahe emotional abuse ko uska jhooth bata rhe hain. Wow!
Bhai yaha par to sab sach ki moorat hongi. Sach bolne ka matlab 5th grader wali understanding lekr sach bolna nahi hota. People are misogynistic. They won't accept it that's another issue.
India Forum ke fangirls ke logic se to jab women ko apne sath ho rahe violence ke bare me chup rahna padta hai ya jhooth bolna padta hai to wo bhi inke hisab se jhoothi hongi. Ya jab koi woman apne employer se ye kahkar chutti leti hogi ki use migraine ho raha hai jabki wo to darasal DV ke karan emotional turmoil se jujh rahi hai aur use thoda break chahiye to shartiya wo aurat bhi jhoothi makkar hi hai.
Baki TMD me keval Santosh hi hai jiska koi growth hua hai. Jisne apni galti maani. Warna wo Santosh hi to thi jo pahle Seerat ki khatir Sahiba ke saath galat karti rahi aur Shadi ke din Sahiba ko emotional blackmail karke mandap me bitha diya, knowing fully well ki use kitna kuch sahan karna hoga.
Ek tarah se Sahiba ki shadi nahi ki thi usne, uski Arthi utha di thi.
Aur kya Angad doodhu peeta bachha tha ki jab mandap me sabke saamne use sach ka pata chal gya to "PR" ke liye usne shadi kar li? Aisa kab hota hai? Kahi nahi. Pahle to isme 1% bhi logic nahi hai. Aur dusra you can always file for divorce.
Dhokha fiance aur aapka bhai de aur aap uski saja kisi innocent ke sath DV karke do! Wow! Banda pain me hai! To jis jis mard ko dard hai wo Rape attempt karta fire?
Kya dard ko process karne ka koi aur dusra tareeka hota hi nahi hai? Is logic se to old school Devdas hi thik hai (jo apne aap problematic hai). Daru peena ya Rape attempt karna hi do tareeka bacha hai kya ki hero apna pain process na kar paaye? Ye counseling kaun si chidiya ka naam hai jiske bare me ye nahi jante? They are supposed to be hero na?
Par ye achha hai ki Santosh ko sach me apni galti ka ehsas hua. Warna "Hitler Di" jaise kitne shows ITV par aaye Hain jaha FL ke saath galat karne wale Parents hamesha galat ko justify hi karte rahte Hain aur ek inch bhi character growth nahi hota. Aur FL bhi aise villainous parents ke liye Shaheed hoti rahti hain.
Aur Sahiba ka shuru me Seerat Di ka saath Dena bhi galat nahi tha. Selfish siblings par gussa bhi aata hai, chot bhi hoti hai par dar bhi lagta hai ki kahi unke saath kuch bahut galat na ho gya ho. Shayad yaha par sahi mayno me log kafi privileged hain jinhe ye sab kuch bhi sahana nahi pada hai.
Warna kitni hi families hoti hain jaha koi sibling/s addiction (Jo ek illness hai) se leker kai galat chakkaro me pada rahta hai aur kafi selfish hota hai. Agar Puri family selfish ho to wo ek alag scenario hota hai. Lekin generally aisi families me scapegoats hote hain (typical empath, kind and sacrificial individuals) jo apne parents ya siblings ke disgressions ko samjhne, unke sath empathize karne ki lagatar koshishe karte hain. Kyonki unhe lagta hai ki unke siblings basically "victim of circumstances" hain, hardcore criminals nahi.
Ab ye baat wo nahi samjh sakte jinhone ye sab nahi jhela hai aur na hi jinki is tarah ke field me professionally kaam karne ki koi advance training aur ground experience hai.
To kuch bhi bolne ka to kya hi matlab hai!
Over and out. Phew.