Topic ka title padhke merko lagaa yeh pakka phekrelaay.
KJo duniya ka aakhri insaan honga jisku Animal movie achha lag saktay ... at least jaisa merko lagtaay
Lekin uska comment padhke lagraay sahi mein dekha hai.
Maine pehle bhi likha tha, Arjun Vailly woh ek gaane ke picturization mein hich mera theater ke ticket ka paisa vasool ho gaya.
Aur jab Badla wala gaana bajtaay, seriously, mera bheja confuse ho gaya tha yaar. Have never experienced this in any movie. Samajh mein nahin aaya bh$$$$$d ki rone ka hai, ki gaane ke beauty ko enjoy karna hai, ki dhishoom dhishoom dekhna hai, ki Ranbir ko support karnay ki Bobby ko support karnay. Angry hona hai, ki melancholic hona hai, ki beech mein dialogues sunna hai... Dono fight karne waley ki hug and make up karne waley...
Toh woh 'breaking grammar' vimmar ka matlab aisa hich kuchh honga jo main bolne ka try karrelau...
Yaato KJo ne sach mein movie dekhelay, ya phir kisine pichchar dekha honga usse copy kiyelaay. Waise bhi bhot saare burger critic log ye pichchar bina dekhe review karrele, aur KJo pe merko bharosa thoda kam hai 💀
KJo ne already Anurag Kashyap ka hriday parivartan karke usko nipta diyelay (as I feel), toh I hope Vanga usay 10 feet barge pole se bhi touch na kare
🤞
5