Originally posted by: sweet_tania
“Mera basa basaya ghar bikhar raha hai” 😭
Kyon bikhar raha hai tumhara basa basaya ghar???! Your husband is supporting you , he is understanding for you and you both are happy with each other so basa-basaya ghar itne understanding couple ke 0 issues ki wajah se bikhar he nahi sakta.
The thing is tumne yeh ghar juth ke ret par banaya. Jaise he sach ne apna bahar aane ka rasta khud he bana liya waise he tumhe lagane laga ki mera basa basaya ghar bikharne laga.
Tumne chahe ki aarohi ne abhir ko jo bola woh kabhi bahar na aye lekin sach ne abhir ke mooh se he rasta banaya.Tumne chaha Abhimanyu and abhir ka sach kabhi bahar na aye lekin sach ne abhinav ke mooh se he rasta banaya.
Tumne chaha abhir ko kabhi yeh pata na chale ki Abhimanyu is his real father lekin sach ne abhinav ke mooh se he apna rasta banaya.
That’s why muje hamesha lagta hai ki tumhare baat baat par juth bolne ki and sach ko chupane ke nature ki wajah se he complications khade karti ho life mai.
I know Akshara mai bachpan se he sach ko chupane ki and juth bolne ki trait develop hui hai. I understand bina maa-baap ki bacchi ko kisi ne sahi guide nahi kiya ki beta aise short term ki khushi ke liye juth ke ret par koi neev nahi rakhni chahiye isiliye woh bachpan se aisi hai lekin itne life experience ke baad bhi usko yeh realisation nahi hai ki usko sach ko chupane ki bachpan se he bimari hai.
Akshara ko yeh pata hai ki Abhimanyu humble nahi hai, anger issue hai, mamma’s boy hai, kacche kaan ka hai, lekin uske khud ke inside bachpan se he sach ko chupane ki and juth bolne ki jo bimari hai uska usko koi idea he nahi hai.
I have a genuine question about Akshara
If she hated Abhimanyu so much, then y did she name her son Abhir?? She had even decided to give the father's rights to Abhinav.
10