Tum kehte the ki pyaar hai,
Phir kyun nahi mujhpar aitbaar hai,
Tum toh kehte the ki padh lete ho mere mann ki har baat,
Phir aaj kyun nahi sun paaye mere muh se nikli koi baat,
Tum toh kehte the ki har pal nibahaoge yeh sath,
Phir aaj toh beech mein hi chhodkar chal diye yeh haath,
Tum toh kehte thi ki izzat hoon mai tumhari,
Phir kyun keh diya ki koi izzat hi nahi hai meri,
Jab maan liya tha maine ki sub kuch hai tu mera,
Phir aaj kyun dikha gaye ki mai kuch bhi nahi Tera!!
Love this kusum ❤
I can imagine this as meerub's monologue