Entwined Love : ViDev FF - Page 7

Created

Last reply

Replies

87

Views

9.7k

Users

11

Likes

125

Frequent Posters

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#61

Part 10

Hp : Aayiye naa Dev .

Dev was surprised to hear his name without that saab. Even it was surprising for Vidhi too.

Satyawati: Dev , kya Hariprasad ji tumhein Dev nahi bula sakte ?

Dev : Haan bilkul bula sakte hain. Kitne time se jaante hain. In fact mujhe accha laga yeh sunke.

Bimla: Vidhu , jaa Dev ke paas khade ho jaa.

Vidhi: Maa , Paapa kya sochenge ? Aap aise kaise?

Hp : Arrey maa - beti kya baatein kar rahe hein?

Hp came near Vidhi and held her hand and when she walked with him. When she stood beside Dev, ViDev looked each other.

Hp : Aaj ki aarti Dev aur Vidhi milkar karenge.

Vidhi looked Hp surprisingly. Bimla gave the Aarti thaali and smiled.

Bimla: Aap donon sacche mann se aarti keejiye. Mayya jodiyan banati hein.... Sab accha hoga.

Dev and Vidhi started doing Aarti together. When the Aarti was finished they both folded their hands and shut their eyes before Milapini maa.

Dev prayed in his heart : Hey Milapini maa, Vidhi se apne dil kee baat toh keh paaya maine, par aage kee zindagi mein bahut kuch hein. Vidhi kee MBA acche se ho jaaye , uski career acche ho jaaye , uski pariwar khush rahe . Mere pariwar bhi khush rahe aise aashirwad Dena Maa... Ek thankyou bhi aapko Priya aur Abhimanyu ke beech kee problems ko solve karne ke liye.

Vidhi prayed in her heart : Dev Sir ke kandhe se boch har jaaye iske liye mein Unhein kandhe de pawun aisi Shakti dena mujhe Maa. Maine himmat jutakar Dev Sir se apne dil kee baat kahi. Par jaise sir kehte hein zindagi mein problems toh aayenge. Toh woh sab kuch saamna karne kee Shakti dena Maa. Dev sir ke pariwar ko khush rakhna hamesha aur mere maa paapa ko bhi. Aapki aashirwad sada hum sab par banaye rahe Maa.

Hp came forward and distributed Prashad to everyone.

Hp : Aaj Milapini maa ke saamne khade hoke mein kuch batana chahta hun aap sabko. Meri beti Vidhi abhi naukri ke sath padhai bhi kar rahi hein. Mujhe garv hein kee meri beti unchayiyon ko choo rahi hein aur iska karan hein uska Boss Dev. Aaj mujhe bahut apnapan aa rahe hain.Isiliye Dev sab ko hatake unhein sirf Dev bulane waala hun. Apne pariwar kaa sadasya maanta hoon Dev ko. Vidhi aur Bimla ne jab Dev aur Vidhi ke rishtey kee sachai batayi tabh pehle mujhe uss mein bahut dikkatein nazar aaye. Par Dev ki maa Satyawati ji se baat hone ke baad sachai ke aayine ekdum saaf dikh rahe hain. Mein Milapini mayya kee saugandh khaakar kehta hun mujhe Dev aur Vidhi ke rishta manzur hein. Inki jodi Mayya ne hi Jodi hein, mujhe aisa hi lagta hein. Meri beti ko mujhse bhi zyada khush rakhne waala, usse samajhne waala, uski sapnon kee kadar karne waala Dev hi toh hein. Isiliye Dev se behtar koyi Daamad iss Ghar ko kabhi nahi milenge. Vidhi, mujhe tum par Garv hein beti kee tum ne ek samajhdhar aadmi se pyaar kiya.

Vidhi: Paapa !!

Vidhi hugged HP emotionally.

Dev looked Satyawati.

Dev : Maa yeh sab !!

Satyawati: Aaj Haripriya ji aur Bimla ji ghar pe aaye the beta. Wahin pe saari baatein pakke ho gaye. Maa hun beta, apni bete ki khushi se badhkar aur kya chahiye mujhe?

Dev hugged Satyawati.

Vidhi went near Bimla

Vidhi: Tabhi toh aap mujhe itni saja rahi thi..Pehle kyun nahi batayi ?

Bimla: Pehle batati toh yeh khushiyon kee chamak thodi Naa dekhne ko milte ?

Vidhi: Paapa maan gaye, Dev Sir kee Maa maan gayi, aap bhi Maan gaye .Sab theek ho gaya.

Satyawati : Shuru ho rahi hein ek naya daur zindagi kee Vidhi.

Dev ; Hariprasad ji , Mujhe yakeen nahi hota kee aap iss rishtey ke liye haan kee.

Hp : Vidhi meri beti hein, uski khushiyon se badhkar aur kya chahiye mujhe?

Satyawati: Dev jaise Hariprasad ji ne Dev saab se Dev kaha tumhein bhi unhein naam se bulane kee adaat chodni chahiye beta. Mushkil hein thoda beta , par jab tum Vidhi ke maa baap ko maa - paapa bulayenge Naa tabhi apnapan badhega. Umra ki baat se toh tumhein yeh mushkil hoga, par beta jab inn logon ne tumhein Daamad maan chuke hain toh tum bhi innhein Maa- Paapa kaho beta..... Koshish Karo beta.

Dev went near Bimla and Hp

Dev held HP's hand and took a deep breath: Paa..Paapa.

Bimla smiled and looked Dev

Dev : Maa

Hp and Bimla hugged Dev and said : Dev beta

Satyawati: Aur Haan Vidhi, tujhe naa mujhe Mam nahi Maa bulani hogi...Chalo bulawo

Vidhi: Maa

They both hugged each other in joy.

Satyawati: Anth bhala toh sab bhala.

Dev : Abhi kahan Maa ? Vidhi kee padhai puri nahi huyi .....

Hp : Haan uske baad hi hum shaadi ke baare mein soch sakte hain Dev aur Vidhi kee.

Satyawati; Woh toh hein. Lekin agar...

Dev : Maa please mujhe thoda aur time most eligible bachelor life enjoy karne kaa mauka do.

Vidhi: Kya matlab Dev Sir ? Mein aapke peeche padi hun kya ? .

Dev : Aisa thodi kaha kuch maine ?

Satyawati: Khabardar meri Bahu ki mazak udaya toh. Bholi see Vidhi hein.

Dev : Maa aap iss ladki kee bholi shakkal pe mat jaayiye. Yeh bahut khatarnak ladki hein.

Vidhi: Kya kaha aapne?

Dev : Wahi joh sabko pata hein ?

Bimla: Haan Mera beta bilkul sahi keh raha hein.

Vidhi : Aap bhi inke side le rahe ho. Mujhe baat hi nahi karni hein kisi se.

Hp : Koyi kuch nahi kahega.

Hp laughed and Vidhi made puppy faces.

Vidhi: Mein jaa rahi hoon.

Saying this Vidhi went inside her room like a kid.

Satyawati: Jawo Dev, usse manawo.Yahi toh chahte the naa tum. Yahan hum sabke saamne kuch keh nahi pawoge ...Jaan boochkar mazak udaya naa...

Dev smiled shyily..

Bimla: Dev ko toh Vidhi se zyada sharam aa rahe hain..

Hp : Roote huye biwi ko manana bahut mushkil hein. Kahin aisa naa ho kee iske liye aapko ek taang pe khada hona pade..

Bimla and Satyawati laughed.

Dev : Mein milkar aata hoon.

Bimla : Milkar nahi manake le aawo Vidhi ko ..Wahan uss taraf hein Vidhi kaa room.

Dev nodded his head and went towards her room . He knocked the door and asked; May I come in Madam ?

Vidhi was standing near the window 🪟 and she was trying hard to control her laughter.

Vidhi: Yes Come in.

Dev : Mmmhh , Miss Vidhi

Vidhi without looking back responded : Kya hein?

Dev : Mujhe woh bolna thaa....

Vidhi: Mujhe kuch nahi sun naa hein.

Dev went very close towards her.

Dev : Kaan pakadti hun, iss shaitan bacche ko maafi de do.

Vidhi smiled and turned towards Dev .

Vidhi: Khatarnak ladki hun naa mein..

Dev : Nahin bahut bholi see pyaari see Vidhi ho tum.

Vidhi: Aur aap bhi bahut cute , samajhdhar pyaare Dev Sir ho.

Dev rounded his arms at her waist and his naughty fingers were moving towards her navel. She quickly kept her palm there and blocked his hsnd. He quickly pecked a kiss at her lips. Vidhi felt goosebumps all over her body. She turned behind and Dev kissed at her back neck and passed his fingers at her back. His hands went almost near the Dori of her blowse. Vidhi turned and hugged him..She passionately kissed at his chest and he felt it as tender water drop felling at his body. They both hugged each other for a while.

Afterwards they released each other and held each other's hands.

Dev : Bye Vidhi

Vidhi: Bye Sir

To be continued 😄😄😄😄😄😄

Saumya19 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#62

Bhai sahab tum to bilkul writing spree par ho!!! Meri chandi. Koi itna mast romantic show ke liye bhi likhta to kitna accha hota chalo iska 10 percent bhi likhta to apne to maze ho jaate 🤣.

Mast likha hai.
aur Draupadi wala reference was awesome.
thank you babes and is likhne lukane mein apna dhyaan rakhna samjhi.


Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#63

Thanks a lot Shinika ☺️

I am waiting to read your BF goals too. When you feel to write ✍️ do it..har waqt mood saath nahi dega

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#64

Thanks 😊 Mayya ne Jodi bana Dee, baaki update pad lo. Hp and Bimla ko bhi sadhbuddhi dee.

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#65

Rona mat, mein sabko happy aur thoda common sense de rahi hoon 🤔 joh missing hein NUKSH se. Thanks a lot 😀

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#66

Thanks 😊 Saumya. Bas laga kee woh de, waise bhi NUKSH dekhte dekhte mein bhi Mahabharat se pyaar karne lagi hun. Haan dhyan rakh rahi hun Jaan. Abhi office nahi jaana hein naa , toh Ghar ke ke kaam ke Baad time milti hein. Toh likh rahi hun aise hi

-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 2 years ago
#67

Dat was dreamy ....

Itni sharafat se....itna simple real mein nahi hone wala 😆😆😆....

But that was good part ☺️

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#68

Thanks a lot 😀. Dreams mein hi sahi mein sab kuch theek karne kee koshish kar rahi hun..ViDev 🥰🥰🥰 ke beech kee saari pareshaniyon dur karke unke romance dikhawungi. .... Meri FF mein Dev sir romance seekh rahe hein. Hp and Bimla ko akkal hein..... Mujhe negativity likhna nahi aati, tabhi toh Amba ko do bacchon kee Maa banake use UK bhej di. Wahi reh le woh Black Daayan.yahan kyun aayegi? No Chaachi, golden and no to Dramebaazi. Mein ussi hisab se hi likh pawungi ✍️✍️☺️☺️☺️☺️☺️😀😀😀

Revutty thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 2 years ago
#69

Part 11

Time was passing. Vidhi was managing her studies as well as work. In between very few moments ViDev used to get time for each other. And when the 6 months time period finished Priya got transfer to Indore City branch and Abhi also joined back at his office in Indore. They came to know about ViDev and Abhimanyu, Priya were very happy for this.

At Raichand house

Priya: Bhaisaab ke romance bhi kitna lamba chal raha hein. I mean Vidhi kee Job, studies .....Abb MBA khatam hone tak Bhaisaab ko wait karne padenge.

Abhimanyu: Kyun mere most eligible bachelor Bhai ko sata rahe ho Priya ? Dev Bhai ek baar shaadi ho jaaye naa phir yun samajh lo kee biwi kee har khwahish ko pure karne waale adarsh pati banne padenge..

Priya : Oh Hello !! Pata hein biwi apne maayke chodke permanently patidev ke ghar aate hein..,.Itni badi sacrifice kar rahi hein biwi. Uski chote mote khwahishon ko pure karne se aapki height kam nahi ho jaayenge.

Satyawati: Kyun dara rahe ho mere Dev ko ? Bechara abhi thoda bahut seekh Raha hein apni fiancee ko khush kaise rakhna hein....

Dev : Aap sab milkar leg pulling kar rahe hein meri.Mein jaa raha hun Baalghar.

Satyawati: Baalghar kyun ?

Dev : Maa bacchon se milne aur .....Vidhi bhi aayegi wahan. Usse kuch doubts hein apni studies mein....Toh woh ...

Abhimanyu: Aap yeh tuition master kab ban gaye Bhai ?

Dev ; Abhi actually pehle bhi jab Vidhi ko Economics mein doubt huyi toh maine usse samjhayi. Pata hein uski wajah se exams pe uski acchi numbers aayi.

Priya: Bhaisaab Vidhi ko padhane jaa rahe hein, Economics yaa Romance ?

Dev : Priya ...

Abhi : Uff Touchy Touchy Priya. Economics ke bahane thode Romance .

Satyawati; Mera Dev Aisa nahin hein. Tum logon kee tarah college time pe Aashiqui karne waale Laila majnu thode hein....Dev bahut Sharif hein...

Dev ; Maa mein nikalta hoon. Yahan rukhunga toh Abhi aur Priya mujhe roast karenge. Bye

Satyawati: Bye beta.

Scene shifts to Baal Ghar

Vidhi was telling story to kids . Seeing Dev kids came forward and all of them got happy by receiving toffees and chocolates.

Dev : Abb tum sab log andar jaake padai kar lo..

Ruhi : Toh aap aur Vidhi didi kya karenge?

Dev : Mujhe Naa Vidhi ko padhana hein. Uski exams aa rahi hein.

Ruhi : Aap Masterji ho kya Vidhi didi ki ?

Vidhi: Haan Ruhi , Sir mere Masterji hein. Mujhe mere Masterji Dev Sir padayenge ko toh mein acche se samajh pawungi.

Dev looked Vidhi sharply. When the kids went inside Dev pinched her ear.

Vidhi: Aah , Sir aap kaan kyun kheench rahe hain?

Dev : Masterji hoon Naa mein, chal padarti hun bacchi ko.

Vidhi : Woh toh bas aise hi kaha thaa.

Dev : Books nikalo , wahan corner bench mein baiththe hein.

Vidhi: Ji .

Vidhi started asking her doubts and Dev explained them simply with examples and it was easy for her to understand. In between studies Vidhi stared Dev . Dev stopped by pinching her cheek.

Vidhi: Aaj Sir aap toh sach mein Masterji nikle.

Dev : Focus karo Vidhi studies pe.

Vidhi : Kya karun, itne most eligible bachelor Masterji mere paas baithi hein toh mera focus subject se hat rahi hein.

Dev : Dubara kaan kheenchu kya ?

Vidhi: Nahin nahin....Mein focus karti hoon.

And after two hours they finished it.

Dev : Bilkul tensed mat rehna Vidhi . Exams ko acche se attend karna.

Vidhi : Sir aap ne sikhaya hein naa, dekhna aapki yeh student acche marks laayegi .

Dev : All the best Vidhi

Vidhi : Thankyou Sir.

Now this was become a part of their life. More than time for romance whenever they met at weekends Vidhi used to open her books of doubts and Dev explained everything as simple for her. Finally the last semester was arriving and after that Vidhi will be finishing her MBA course. More than Vidhi Dev was tensed hell for her exams. He was walking restless in his room.

Satyawati; Kya huwa Dev ? Yeh morning walk apne room pe kyun kar rahe ho ?

Dev ; Maa aapko pata hein naa last semester hein. Pata nahi Vidhi kaise likhi hogi ?

Satyawati: Tune sikhaya hein naa sab accha hi hoga , bilkul acche se honge.

Dev : Maa iske baad results aane mein waqt toh lagenge. Jab tak results nahi aata mujhe badi chinta ho rahi hein.

Satyawati: Exam Vidhi likh rahi hein yaa tum ?

Dev : Pata nahi kyun Maa ek ajeeb see bechaini ho rahi hein.

Satyawati : Dev , yeh bechain hone kaa waqt nahi hein. Tujhe uske hausle badhane honge. Vidhi tujhe nirash nahi karegi. Mujhe pura vishwas hein.

Dev nodded his head.

And finally the most awaited day arrived. Results were announced. Vidhi became first rank holder at the University. It was unbelievable for Vidhi that she secured first rank. She received a phone call from Dev. Vidhi picked the call.

Vidhi: Sir !!!

Dev : Congratulations First rank holder Vidhi, mujhe university ke principal Sir ne abhi abhi yeh good news dee. I am so proud of you.

Vidhi: Sir !!! Mujhe...

Dev ; Vidhi !!! Kya baat hai? Tum ro kyun rahi ho?

Vidhi: Pata nahi Sir. Maine kabhi sapne mein bhi nahi socha tha kee ek din mujhe itna bada recognition milega...Aapne bahut help kee studies mein..Isliye yeh mumkin huye. Thank you sir

Dev ; Vidhi, yeh tumhari mehnat kaa result hein. Tumhari Jeet hein, achievement hein...

Vidhi : Sir aap jaldi aayiye..... Mujhe milna hein aap se. Mein University ke verandah mein hi hun.

Dev : Mein abhi aata hoon Vidhi ...

As soon as Dev's car reached the compound and Dev entered outside from the car Vidhi rushed towards Dev.

Dev held her hands. Vidhi was breathing fast.

Vidhi: Sir result board mein topper ke naam Mera hein....

Dev : I know Vidhi tujh mein bahut talent hein, tum hardworking ho , honest ho. Aaj joh Jeet huwa hein naa sahi maayine mein hum donon kee Jeet huyi hein, Vidhi. Isiliye kehta tha mein kee tumhein aage badhna hein, kyunki tum bahut kuch acheive kar sakti ho Vidhi.....

Vidhi: Mujhse zyada mujh pe vishwas aapne dikhaya hein Sir. Ek mohalle se aaj mein ek office mein accountant hun ,ek MBA holder hun aur aap meri zindagi mein aate nahi naa toh mein kabhi sapne hi dekh nahi paate Sir...Aaj mein joh bhi hun uss Jeet ke haqdaar aap hein Dev Sir.

Dev : Vidhi

Dev cupped Vidhi's face and kissed at forehead. She hugged him emotionally and he too hugged her. At that time they didn't noticed the whole University were watching them..

Some people started gossiping about them ..Dev held Vidhi's hand and walked forward. He shouted louder : Vidhi Meri honi waali patni hein. Joh bheed gossip kar rahe hein humein unki parwah nahi hein. Humein parwah hein toh ek dusre kee , ek dusre ke families kee. Yahi hein hamare rishtey kee sachai.

Vidhi : Chupke se Kaune mein khade hoke baatein banana waale se humein koyi dar nahi hein..Humne ek dusre kaa haath dhaama hein aur zindagi bhar aise hi ek dusre ke haath dhaamenge.

From the students side one of the student started clapping for them..Soon other students also joined their hands and clapped. ViDev looked each other with a smile.

After getting the appreciation threads from university, families Vidhi got a grant welcome at Raichand group of companies. Something surprising was waiting for Vidhi.

Dev called Vidhi to his cabin. Vidhi entered the cabin and find a panel of some board members.

Dev : Vidhi these board members are going to conduct an interview for you.

Vidhi, tum inke sawalon kaa jawab dena bina kisi tension ke.

Dev : All the best Vidhi.

Saying this Dev went out from the cabin and closed it . Vidhi was confused.

Yogesh: Dev Vidhi ko bataya toh nahi?

Dev ; Nahin yaar.

Kanika: I hope woh answers theek se de.

Yogesh: Zarur degi.

Dev : Hope so guys.

After a while when the cabin door was opened by an attendar , the board members came out.

" We are highly impressed with Miss Vidhi Sharma. Mr.Dev Raichand you can promote her as Finance Department Head of Raichand group of companies. "

Dev : Thank you all.

Kanika went inside and hugged Vidhi

Kanika: Tumne toh Kamal kar di Vidhi .

Yogesh: Congratulations Vidhi for being promoted as Finance Department Head.

Vidhi: Thankyou Sir.

Arjun, Anaya, Sangeeta, Rishabh congratulated her and finally when everyone left the cabin Dev gave her a letter.

Vidhi opened it and read with teary eyes

promotion order.

Dev : Aaj bhi kaagaz hi de paaya hun Vidhi

Vidhi smiled with teary eyes and hugged Dev tightly.

Vidhi ; Mujhe toh inn kagazon se aur kaagaz dene waale se bahut pyar hein.

Dev ; Waqt aa gaya hein tumhein kuch aur dene kaa ....

Dev took the red rose 🌹 which he had hidden secretly inside his overcoat.

He bend at his own knees and extended the rose towards her.

Dev : Vidhi, abhi tak pata nahi mein kahan tak tumhari juzzbaaton ko samjha hun....Tum maano yaa naa maano umra ki thodi bahut gap toh hein hum donon kee thought process mein..Par ussse badhkar ek sach aisa bhi hein kee zindagi mein raunak bhi aati hein aur woh hein Pyaar. Jab pyaar hota Hein sacche dil se tab woh kuch nahi dekhta . Naa Umra ki Seema, naa Samaj ki Bandhan. Hum aaj jahan khade hein mein maanta hoon yeh hamari pyaar kee Jeet hein. Iss Jeet ke ek haqdaar hone ke naate tumse yeh red rose dekar propose kar raha hun.... Will you marry me, Vidhi ?

Vidhi's happiness went in tears and she held his hands and nodded her head: Yes. Aaj aapne saare Jeet ke saath yeh gulab dekar Mera dil bhi Jeet liya hein. Issi liye mujhe aap par aur pyaar Ho Gaya hein. Mujhe apna bana lo Dev Sir. Mein abb aur intezaar nahi kar sakti....Puri duniya ko batani hein kee mein Mrs . Vidhi Sharma Raichand hun.....

Dev and Vidhi embraced each other emotionally..

To be continued 😄😄😄😄😄


Next will be the last part of this FF. Thanks to all readers for your support 😊🥳

Edited by Revutty - 2 years ago
Dreamzz thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 2 years ago
#70

Masterji dev sir ......


I love it. 💕

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".