10 yrs leap ke bad AnaAn ki first meeting me dono ke beech ideological clash dikhaya tha. Jaha Anand ne kaha tha ki first priority apne aap ko do, fir family and all ke bare me socho.
Aur Aanandi ne kaha tha ki first apne parents ke bare me socho Kyunki wo the is liye hum hai.
Tab se abtak maine notice kiya hai, Anand sach me bahut jyada practical hai. I-me-myself ke rule par chalta hai. Use sirf Diya Di aur Anandi se emotional attachment thi, hai aur rahegi.
Aanand ne 21 yrs me bhairavi ko maf nahi kiya ek galti Ke liye to Anjariya family ko kaise maf kar dega. In short Anand achha to hai par itna mahan nahi ,ki bure logo ke liye bhi achha hi soche.
Sach kaha tha Anand ne usne itni shiddat kisi ke liye mehsus nahi ki thi, jitni Aanandi ke liye ki. Friendship phrase me hi kitna kuch kiya usne Aanandi ki help ke liye, jab ki Aanandi to usse sidhe muh bat bhi nahi karti thi.
Ab pyar ho gaya, to ho gaya na! usme Anand ki kya galti? Diya Di ki kehne par usne bol bhi diya, shadi ke liye propose bhi kar diya. As usual Aanandi ne "No" kaha. Fir bhi wo gussa nahi hua, Kyunki wo Anand hai, jigar nahi.
Anand force nahi kar raha tha, sirf zid kar raha tha Aanandi se USA chalne ke liye just as a friend. Wo dil se chahta tha ki Aanandi apni studies USA ke best clg me complete kare. Sirf career par focus kare. India me jigar ke hote hue, safe kaise rahegi Aanandi?
Aanand sirf practically soch raha tha Anandi ki safty ke liye, is liye usne kaha ki tumhe mere sath chalna hi padega USA.
Aanand ne hamesha sirf Anandi ke liye socha, usse jyada importance kisi ko bhi nahi di. Jab koi bhi nahi tha Aanandi ke sath, tab sirf Aanand tha uski help ke liye! Aur ab Aanandi ne Anjariya family ( isi ghatiya family ke karan kitna suffer karna pada tha, ye bhul gayi Anandi ji😡) ki responsibility utha li hai apne shoulders par , to Anand gussa nahi hoga kya?
Bhairavi ne ek bat bilkul sahi boli- Anandi is not a kid. To Anand ko har bar uske pichhe bhagne ki koi jarurat nahi hai. Achha hi hua jo Anand chala gaya USA akela hi. Muze to laga ki kahi ab ye Aanandi ke liye apna career sacrifice na kar de.
See, Aanandi sirf Anand ko ek dost manti hai, aur friendship me jitna karna chahiye usse kahi jyada already Aanand ne kar diya hai.
But indirectly hi sahi par Anand hurt to ho gaya hai, I really feel sad for Anand 😭
Abtak to muze Anand ka behavior out of character nhi laga. I hope leap ke bad bhi na lage