I'm sure you carry a micro chip with you , like you always have all the info !!Originally posted by: FIREMYSOUL
It's jigar moradabadi ka original poetry
Ek Lafz-e Mohabbat ka, adna sa fasaana hai,
Simte to dil-e aashiq, phaile to zamaana hai
Ye kis ka tasavvur hai, ye kis ka fasaana hai
Jo ashk hai aakhon mein, tasbeeh ka daana hai
Hum ishq ke maaron ka itna hi fasaana hai
Rone ko nahin koi, hansne ko zamaana hai
Vo aur vafaa-dushman Maanenge na maana hai
Sab dil ki sharaarat hai, aakhon ka bahaana hai
Kya husn ne samjha hai, kya ishq ne jaana hai
Hum khaak-nasheenon ki thokar mein zamaana hai
Vo husn-o-jamaal un ka ye ishq-o-shabaab apna
Jeene ki tamanna hai, marne ka zamaana hai
Ya vo thhe khafaa hum se, ya hum thhe khafaa un se
Kal un ka zamaana thha aaj apna zamaana hai
Ashkon ke tabassum mein, aahon ke tarannum mein
Maasoom mohabbat ka maasoom fasaana hai
Ye ishq nahin aasaan, itnaa to samajh leeje
Ek aag kaa dariya hai, aur doob ke jaana hai
Aansoo to bahut se hain, aankhon mein Jigar lekin
Bundh jaaye so moti hai, beh jaaye so daana hai
Sahi soch kar rakha hai naam - firepedia ! Well deserving👏